Haseena (angrily) - kya matlab.. aapko ye lagta hain ki hum taane dete hain.. hum mein bas taane Dene ki hi skill hain uske siwa aapko hum mein aur koi talent, koi khubi nazar nahi aati?

Anubhav (trying to cover up) - arre aise humne kab kaha, hum toh bas...(she cut him off)

Haseena - bas bas ab Hume maskha mat maariye kyuki uska koi fayda nahi hoga hum par.. kaam ki baat kijiye jiske liye aapne hume phone Kiya hain

Anubhav (coming to the point) - haan vo humne aapse do baatein puchhne hetu aapko durbhash Kiya tha

Haseena (ask raising her brows) - achha aur vo do baate konsi hain jiske liye aapne apne iss durbhash yantra ko kasht diya.. vo baatein official toh nahi lag rahi

Anubhav - haan haseena ji vo baatein official nahi hain.. darasal hume aapse puchhna tha ki kya aap jija shree duwara aayojit samaroh mein Jane wali hain? Kya pata hain aapko ki unhone vo samaroh kis sandarbh mein rakha hai?

Haseena (lil straight tone) - pehli baat toh Hume nahi pata ki Vani ne vo party kyu rakhi hain aur na Hume uske baare mein janna hain aur dusri baat ki hum uss party mein nahi Jane Wale isliye aap uss party ke baare mein sochiye hi mat..

Anubhav (ask in confuse tone) - ek kshan aap uss samagam mein nahi Jane wali toh aapko uske baare mein nahi sochna chahiye par Hume toh sochna padega na uske baare mein, Hume toh nyota bhi aa chuka hain unki taraf se

Haseena (with a tight lipped smile) - hum se humara matlab hum aur aap se tha.. baaki rahi baat nyote ki toh usko faad fud kar jala dijiye aur uski raakh ko Pani mein baha dijiye par aap uss party mein nahi jayege toh matlab nahi jayege

Anubhav - arre par kyu haseena ji?

Haseena (in lil ziddi tone) - kyuki hum aapse keh rahe hain itna kaafi nahi hain kya aapke liye?

Anubhav (smirked) - nahi humare liye itna kaafi nahi hain.. Hume ye janna hain ki aap ye hume kis haq se keh Rahi hain, humari junior hone ke haq se, sakhi hone ke haq se ya fir humari pat...

Haseena (immediately cutting him off) - sakhi.. aapki sakhi hone ke nate hum aapse ye keh rahe hain aur aapko apni iss param sakhi ki baat manni padegi.. (in soft and cute tone) vo bhi bina kintu parantu kiye

Anubhav (smiling of her cuteness) - achha thik hain haseena ji agar aap kehti hain toh hum vaha nahi jayege.. Maan Li humne aapki baat ab prasanya hain aap?

Haseena (smilingly) - haan... vaise aapko humse aur kya puchhna tha?

Anubhav - yahi ki chanda maani ya nahi.. prantu ab Hume aapse baat karke iss prasan ka utar bhi gyaat ho hi gya hain.. aap chintit mat hoiye vo shigra hi Maan jayegi vo aapse jyada samein tak rusht reh hi nahi sakti

Haseena (said after taking a deep breath) - hmm Maan toh vo jayegi par uske liye unhone humare samne Jo shart rakhi hain agar vo aap sunege toh aap bhi chintit ho jayege prabhu

Anubhav (asked raising his eyebrow) - achha Aisi kya shart rakhi hain unhone?

Haseena (about to speak) - vo actually... (that's when her phone beeps) ek minute anubhav hume case se related phone aa raha hain.. aap ek minute hold par rahiyega

As soon as she picks up the second call while trying to put the first one on hold, both calls accidentally merge.(vo kareenav ka phone merge wala scene yaad kar lo aap readers)

Haseena - hello..

From other side - hello haseena ji mujhe bacha lijiye please.. ek aap hi ho jo meri madad kar sakti ho please mujhe bacha liye haseena ji.. varna meri family Wale meri shaadi uss bhains se karwa denge

anuseena (agar kismat ne chaha toh hum fir milenge)Where stories live. Discover now