Chapter - 20

313 23 3
                                    

AV - Deewan ji batayenge kya hua?

[Everyone left the police station and came outside]

D - Sir aap aaiye to sahi.

[Deewan ji took them all toward a sacred space behind the thana.]

D - Sir ye dekhiye.

[He showed them a notepad that had Saurabh's writing on it.]

HM - 'Wo sun rahi hai.'

[HM read aloud the text and everyone's eyes popped out.]

[Deewan ji turned all the other pages with similar texts on them.]

AV - Deewan ji ye Saurabh ne kaha aapko?

Deewan ji - Haan sir. Pehle to wo wahi baatein ghuma raha tha jo usne pehle bhi boli thin phir baar baar haath kholne ke liye ishara karne laga.

KS- Aur aapne khol diye?

Deewan ji - Arre agar kholta nahi to ye pata kaise chalta?

HM - Ek second to matlab Saurabh ab tak jo keh raha tha wo uski boss ke kehne pe bol raha tha.

AV - Lekin phir wo hume ye kyu bata raha hai ki thana bugged hai?

KS - Ab to aur bhi jyada ulajh gaye hai hum. 

Deewan ji - Lekin sir ye dekhiye yahan Saurabh ne kya likha hai.

[He turned to a specific page and showed it to Amar who then read it carefully.]

AV - Iske hissab se to jo bhi information hume abhi tak pata hai wo sab ye jo bhi koi iss sab ke peeche hai usne hi hume batayi hai.

HM - Haan kyuki saari information hume ultimately koyi sahi clue nahi de rahi.

Deewan ji - Kya matlab?

HM - Dekhiye jaise usne kaha ki jo college students hai wo scholarship or apne college ki fees bharne ki wajah se iss sab me shamil huye the. Par ye to hume bhi pata chal hi chuka tha aur iss information se bhi hum unhe pakad to nahi sakte.

AV - Haan aur jaise real uniform use kyu ki ya phir Arushi Jain ka kya lena dena ye sab bhi Saurabh ne clearly nahi bataya.

KS - Lekin phir bhi humare paas Saurabh to hai hi na. Madam sir aap hume bataiye iss Saurabh se sach jhoot sab bahar nikalwa lenge.

HM - Usse koi fayda nahi hoga.

D - Madam lekin agar Saurabh samne aa gaya to baaki students aur unki boss ke khilaf hum warrent niklawa sakte hain.

AV - Aur waarant se pakdenge kisko Deewan ji? Hume abhi nahi pata hai ki inka lair kahan pe hai?

HM - Agar humne Saurabh ko aage kiya to sirf un students ko saja milegi. Jisne ye sab kuch kiya hai wo to bach ke bhaag jaayegi. 

KS - Yakeen nahi ho raha hai ki itne sab ke baad bhi hum wahin per hain.

AV - Humare jitni information case shuru karne ke pehle 2 -3 din ke ander thi abhi bhi wahi hai bas thoda description bhad gaya hai.

KS - Lekin sir Saurabh ab hume ye kahe bata raha hai ki thana bugged hai? Ya phir ye bhi uski boss ke kehne pe hi?

D - Sir hum Saurabh se puch sakte hain ki agar wo ab sach bola raha hai to iska proof de.

AV - Kya proof dega Deewan ji?

D - Lie detector test?

AV - Aapko pata hai na wo 100 % sahi nahi hota.

HM - Aur waise bhi uske liye apply karna hai to reason aur person dono ki identifictaion deni padegi. Aur agar aisa karenge to phir Saurabh ko guilty bata ke samne rakhna hoga.

KS - Ek dusra rasta bhi hai madam sir. Do mukke lagayenge to saara sach bahar aa jayega.

AV - Ek kaam kar sakte hai. Saurabh aur Arushi ki baat karate hain aur hum wo monitor karenge.

D - Sir lekin thana to bugged hai na.

AV - WO sahi karne ke baad.

HM - Aur usse kya hoga? Aarushi iss time khud hi confused hai. Even agar wo Saurabh se baat karegi to bhi sayad wo uska sach ya jhoot nahi pakad paaye.

AV - To phir to ek hi rasta hai.

D - Kya?

AV - Main aur aap Saurabh se sach niklawayenge.

[AV looked at HM and the team was certain that this time they will get answers.]



*DO you guys trust Saurabh?


Also, I think I messed up Deewan Ji and D, but they are same. 😅

Now, I know that the story is about HM and AV but I don't want to sideline KS......

So the upcoming chapters are revelations and solving of the case further.*


P.S. If you like story prompts or short stories, you can check out 'Coffee and a Story'.

It is a collection of random short stories, each on a different prompt and theme.

New Beginning for Haseena MalikWhere stories live. Discover now