Chapter - 3

632 43 2
                                    

The next morning, KS and HM were sitting inside a cafe on the first floor.

Ks - humne pata karaaya hai maddam sir. SHO Aarushi roj apni subah ki coffee yahi se leti hain. Par hum unpe nazar kahe rakh rahe hain? 

Hm - karishma singh kisi bhi side pe bharosa karne se pehele uske baare me jaan lena acha hota hai. Aarushi Jain sahi hain ya nahi ye hume pata hona chaiye. Aur agar kisi police officer ka naam leke koi aur chori kar raha hai to wo officer koi na koi koshish to jarur karega. Dekhte hain Aarushi Jain kya karti hain. 


Aarushi enters the Cafe. She couldn't see HM and KS but they can see her through the first floor. 

She ordered coffee at the counter when a man approached her from behind. She looked in both directions before taking his hand as she left the cafe.

KS and HM watch them through the glass window, talking furiously. They couldn't hear AJ

KS - Maddam sir yahan se to kuch sunai nahi de raha.

HM - Chaliye thoda paas chalte hain.

They started to leave when they saw AV standing behind their table.

KS - Jai hind sir. Aap yaha kya kar rahe hain?

Av - ye sawal to hum aap se bhi puch sakte hain. Aap SHO Aarushi pe nazar rakh rahi hain?

Hm - Aur app hum par nazar rakh rahe hain. Batana chaenge kyun?

Av - hum nazar nahi rakh rahe the. Hum yahan subah workout ke baad latte peene aate hain. Yahan aapko dekha to socha saath hi thane chalenge par aap Aarushi Jain pe nazar rakhi thin.

AV - Dekhiye Haseena ji, aapki tarah mujhe bhi Aarushi Jain pe 100% bharosa nahi hai. Kyun na hum saath chale dekhne?

HM - Acha. Aur aapko aisa kyu lagta hai ki hum akele nahi jaa sakte.

AV - Aisa nahi hai Haseena ji. Abhi to aap Mumbai aayin hain. Yahan ke raaste bhi nahi pata hain aapko. Hum saath rahenge to jaldi peecha kar paayenge.

HM - Dekhiye Mr. Amar --

KS come near HM and whispered

KS - Maddam sir, saath le lete hain na sir ko. Waise bhi humko to sach se matlab hai, ye saath ho ya nahi kya farak padta hai?

HM - Fine. Aap bhi saath chaliye.

As they approached the exit, Aarushi and the man both entered a car and speed past them.

HM - Arre...

AV - Koi baat nahi humare paas bike hai uspe peecha karte hain.

HM - Haan chaliye.

KS - Maddam sir hum seedha thane me milte hain aapse.

HM - Ji Karishma Singh


They chase after AJ for some time but their car was fast and HM and AV couldn't catch them.

AV stopped his bike.

HM - Bike kyu rok di?

AV - Koi fayda nahi haseena ji bahut aage nikal gaye hain wo log. 

HM - Jab aapki bike chalti nahi to leke kyu aaye isse? Isse acha to hum Karishma Singh ke saath aa jaate.

AV - Relax Haseena ji hum unhe doobara pakad lenge. 

HM - Acha. Aapko lagta hai Aarushi Jain dobara usi cafe me usi insaan se milenge aur phir wahi jaayengi jaha ab jaa rahi hai?

AV - Humara wo matlab nahi tha --

HM - Aapka kuch bhi matlab tha filhaal wo log nikal chuke hain. Hum waapas jaa rahe hain.

AV - Ghar?

hm glared at AV

HM - Thane. Thane jaa rahe hain.

AV - Hum bhi wahin jaa rahe hain aaiye aapko bhi chod denge.

HM - Ji nahi thanks hum chale jaayenge.

AV - I insist Haseena ji.

HM hopped back on the bike.

HM - Waise aapko kyu lagta hai ki Aarushi Jain iss sab me involve hain.

AV - Aarushi Jain shuru se hi iss case ko lekar sensitive lag rahi hain. Aapko yaha laane ki shifarish bhi unhone hi ki thi phir achanak se ye kaha ki aap Dadar thane me nahi rahe to acha hai.

HM - Hmm... To aapko lagta hai ki Aarushi khudi apne naame ki wardi use karke chori kar rahi hai just so ki hum ye case dekhe?

AV - Yahi baat to samajh nahi aa rahi. Agar wo iss sab ke peeche hoti to kisi aur officer ka naam use karti. Ya apna naam bhi kyu case me aane deti?

AV stopped the bike in front of a house.

AV - Haseena ji if you don't mind, me do minute change kar leta hu. Phir saath me hi thane chalenge. 

HM - Arre lekin hum --

Bunty came out of the house.

Bunty - Haseena mam aap? Lekin aap to Lucknow me thi yaha kab aayin?

AV - Bunty saare sawal yahi puch loge ki Haseena ji ko ander bhi le jaaoge.


Meanwhile in Lalbaug Station

KS and MS discussed the case.

KS - Ye jitne bhi area hain inme kuch common?

MS - Nahi waise to kuch common nahi hai par haan mujhe ek cheez ajeeb lagi. 

KS - Ka?

MS - Jitne bhi gharon me choriyan huyi hain unki condition itni achi nahi hai. Wo saari families bpl (Below poverty line) main aati hain.

KS - Aur aise ghar se chori kya hua hai?

MS - Kuch cash, jwellery ya jo bhi expensive item dikha wo sab.

KS - Lekin aise gharon me itna kuch nahi milega.

MS - Exactly. Chor us jagah chori karega hi kyun jahan par paisa ya gehne milne ke chances kam hain?


New Beginning for Haseena MalikTahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon