FOURTEEN

1.2K 74 16
                                    

Meerab comes to Maa begum and asked;

Meerab:Aap ne bulaya?
Maa begum:Haa bulaya.Beitho idhar kuch baat karni hai tumse.

Meerab sit next to her and she said;

Maa begum:Dekho ek waqt aisa tha ki Marhum Shahnawaz khan is gadde ki jaanashin the.Woh bahar hukmrani karte the Aur mein andar.Ghar ki baat maine kabhi unki kano mein nahi aane diya.Unko mein ghar mein hi samhal liya.Aaj tum woh jaga pe ho Jaha kaal mein thi.Ghar mein Aisi bohot sari baten hogi jo bahar ayegi to badnami ki ilawa kuch nahi layegi.Is liye samajdari ise mein hai ki ghar ki Baat ghar mein hi reh jai.Use bahar maat lao.
Meerab:Taki zulm karnewalo ko badhava mile?
Maa begum:Galti kisse nahi hoti sab se hoti hai.
Meerab:Galti agar koi ek baar bina samjhe kare to woh Shayed mafi ke haqdar hote hai.Lekin jo soch samajkar woh galti barson se karti jai to woh zurm ban jata hai.Aur Waise bhi izzat pe hath dalna na Galti hai Aur nahi us dharinda mafi ke haqdar hai.
Maa begum:Kyun ghar ki izzat nilam karne pe tule hui hu.
Meerab:Hairan hu mein aaj aap ki soch pe.Aap ko ek ladki ki izzat se aziz ghar ki izzat hai.Aap jaisi mao ki wajah se ladki apna muh nahi khulna chahti.Marke darake dhamka ke use chup kara deti hai Lekin use Kuch nahi kehte jo yeh zurm karta hai.Is liye woh log bhi mauka pate hai kyun ki unhe pata hai hume to Kuch kahega nahi sara dosh ladki ki sad pe aa jayega.Aap bhi agar izzat pe hath dalnewale ka hath us waqt hi tod dete to baat aaj yaha tak nahi aati.Ghar ki izzat insaan ki khushiyon se jyada nahi hota.Ek ladki band kamre mein ghut ghut ke ji rahi hai Aur aap uske sath dene ke wajai Mujhe keh rahi hai ke ghar ki Baat ghar mein hi reh jai.Sorry Maa begum chup rehnewalo mein se mein nahi hu.Awaz to uthaungi chahe iske baad aap ki izzat nilam ho yaa ghar ki Mujhe zara parwah nahi hai.Mujhe parwah hai sirf us masum ladki ki jo band kamre mein aise ji rahi hai jaise kisi gunha ki saza kat rahi hai.Aur uske gunhegar sad uthake apni Zindegi aish se ji raha hai.Aur yeh to na insafi hai.Insaaf ki haqdar to har koi hota hai.Is liye Insaaf to use milke rahega.Is baar aap Mujhe chup nahi karwa sakti.Kyun ki mein Haya nahi hu Meerab hu.Meerab ko rukna mushkil hi nahi na mumkin hai.
Maa begum:Aisa kuch nahi karo Jiske baad tumhari apna ghar na tot jai.Maat bhulo mera beta Murtasim mera tabedar beta hai.Mein jo kahungi meri baat sar jhukai manega.Na Mujhe sawal karega na jawab mangega.Tumhari bhalai bhi isi mein hai ke tum meri baat maan lo.Phir maat pachtana.
Meerab:Kaha na aap ki baton se dar ke chup rehnewali mein nahi hu.Aur Kaisi maa hai aap ek beti ke sath itna galat hua hai Phir bhi aap beti ke sath dene ke bajai gunhegar ke sath hai.
Maa begum:Ghar ka baccha hai woh.
Meerab:Nahi hai woh ghar ka baccha.Dharinda hai woh.Kisi ko bhi nahi bakshega.Kya pata uska agla shikar aap ki khud ki beti Mariyaam ho.
Maa begum:To Phir Use bhi mein yehi kahungi chup raho.Kyun ki yeh baat jab bahar nikelegi to izzat aur uchlega.Kuch faida nahi hoga.
Meerab:Hairat hoti hai Mujhe aap jaisi logo ki soch pe.Beti ko usse bachane se bajai use chup kara denge.Ek aurat hoke dusri aurat ke upar yeh zulm aap bardast kar lenge.Allah bachai aisi mao se jo beti ki nahi ghar ki izzat ki fiqr hai.

Meerab can't take it anymore and left from there.

Meerab comes to the room and cried after recalled Maa begum's word.

She knows everything from the beginning still she wants to save That criminal because she don't want to tarnish the so called respect of the family.Is Family's respect more important than the safety of a girl.Why these mothers always wants Girls stay quiet.If she stop Hadi then his courage would not increase so much.

Murtasim comes to the room and said;

Murtasim:Aap Mujhe khulke batainge aap ko hua kiya hai?
Meerab:Bohot kuch Murtasim Lekin abhi mein aap ko kuch nahi bata sakti.

Murtasim sit next to her and holds her hand and said;

Murtasim:Agar batana nahi chahti to mein aap ko force bhi nahi karunga.Jab lage aap ko mujhse share karni hai to kar lijiyega.
Meerab:Jab mein aap ko kuch kahu to kya aap mera Yakeen karenge.
Murtasim:Of course karunga.Mujhe aap pe Yakeen hai.
Meerab:Mujhe apne himmat badane ke liye aap ke sath ki zarorat hai Murtasim.
Murtasim:Mein hu aap ke sath.Bas apna himmat maat tootne dena.
Meerab:Sath bhi denge na aap mera agar puri Duniya meri khilaf chali jai.
Murtasim:Yeh bhi koi kehne ki baat hai.Mein aap ka sath kyun nahi dunga.Agar aap sahi honge to mujhe apne sath khade payenge.Trust me Meerab.

Meerab put her head on his shoulder and Murtasim caress her hair.

Meerab tightly holds his hand and thinks how to unmask HaDi infront of everyone and gives justice to Haya.

Author's note:Tere bin journey is going to end.I started my writing journey with Meerasim.I never know when I was started writing their Fanfiction that I will able write back to back.Their on screen chemistry gives me inspiration to write more.Going to miss this series and the sizzling chemistry of Meerasim.Just because of them it's become blockbuster.

𝙈𝙀𝙍𝙀 𝙆𝙃𝘼𝙒𝘽𝙊 𝙆𝙊 𝙍𝘼𝙉𝙂 𝘿𝙀Where stories live. Discover now