TWELVE

1.3K 85 43
                                    

Feena combing Meerab's hair and Meerab asked;

Meerab:Tum yaha pe kab se ho?
Feena:Bachpan se bibiji.
Meerab:To Haya bibi kiya Bachpan se hi aisi thi jab se tumne dekha hai?
Feena:Woh jab yaha aayi tab bhi dari hui sehmi hui thi.Naye jaga thi aise hona banta tha.Lekin waqt ke sath sath woh kabhi thik hi nahi hui.
Meerab:Isne padai kyun chod di pata hai kuch?
Feena:School se shikayet aate hui suna tha maine.
Meerab:Kaisi shikayat?
Feena:Woh class mein so jati thi bibiji.Padai pe Bilkul dyan nahi tha.School ke baad aise teise karke college tak gaye Phir aur padai hui nahi.Maine to ekbar....
Meerab:Bolo ruk kyun gayi?
Feena:Aap kisi ko bolna maat bibiji.
Meerab:Thik hai nahi kahungi kisi ko.Bolo tum.
Feena:Bade khanam ko ek din maine Haya bibi ko thapad marte hui dekha tha bohot saal Pehle.Aur bohot juro se chikh rahi thi.Pata nahi kiya hua hoga.

Meerab is in deep thinking.

In the evening.

Murtasim coming home and Meerab gives water to him.

Meerab:Thake hui laag rahe hai?Aaj kam kiya jyada tha?
Murtasim:Malik ke campaign mein tha.Election ki bas kuch hi din reh gaya hai.Aur kam bohot jyada.
Meerab:Meri ek baat manenge.
Murtasim:Kiya?
Meerab:Unko support maat de.Woh log yeh deserves nahi karte Aur layek bhi nahi hai.Aap ko sunne mein hairani hogi Lekin bohot bada jhota Aur makkar log hai mere taya Aur baap.Apne maksad ke liye woh log kuch bhi kar sakta hai.Agar aap ki wajah se unki Matlab mein zara si kharoch aayi to woh aap ko bhi nahi chodenge.Mujhe dar lagta hai aap ko leke Murtasim.Unhone to apni Matlab ki khatir mera istemal karte hui bhi dobara nahi socha.Woh to meri kismat acchi thi jo Allah ne aap ko bhej diya meri Zindegi mein warna pata nahi kiya hota.

Murtasim holds her hand and said;

Murtasim:Allah hai na mere sath kuch bhi galat nahi hoga.Aur Meerab mein apna jaban de chuka hu.Aur di gaye zuban se mein pise nahi hatta.Aap mere liye fiqrband maat ho.Bas dua karna ki kuch bhi kisi ke sath galat na ho.Dua mein bohot taqat hoti hai.
Meerab:Khana laga du aap ke liye.
Murtasim:Ji jarur.

Meerab goes to set up the table for Murtasim.

In the night.

Meerab deliberately didn't sleep.She wants to go to the deep of the matter.

She waited when Murtasim's sleep get deep.When she feels He is in deep sleep.She slowly left the bed and goes out from the room.

She comes and shocked to see who is there.Meerab hides herself.She knows very well what's happens here.

She thinks when that person go to the room,Meerab still in the hidden place.

When Meerab feels safe,She comes out from there.

Meerab opens the door and see the crying face of Haya.

She shocked to see her in this miserable condition.Meerab sit next to her and asked;

Meerab:Yeh sab Kuch kab se ho raha hai?
Haya:Jab se aayi hu.14 saal ki umar se.
Meerab:Kisi ko kaha kyun nahi?
Haya:Bolne ki koshish ki Lekin kisi ne Yakeen hi nahi kiya.
Meerab:Itne saal mein kisi ko pata bhi nahi chala?
Haya:Pehle to woh Mujhe bathroom lee jata tha Phir pani ke tap khul deta tha.Chahe mein jitna chikhu jitna chillau kisi ne suna hi nahi.Aur aab to adat si ho gayi hai is liye aab jo kehta hai chup chap maan leti hu.Is mein bhalai meri hai Warna woh takleef bohot deta hai Bhabi.

Haya cried badly and Meerab consoles her.

Meerab:Tumne mere kamre mein woh chittiyan bhejti thi?
Haya:Maine nahi bheji.Yeh kam woh januwar Hadi ka tha.Uski nazar aab aap pe hai.Woh chitti bhej ke woh aap ke Aur bhai ke bich Galatfehmi paida karna chahta tha.Jab Mujhe pata chala to dusri chitti maine bheji thi.Ta ki aap bhai ko galat na samjhe.
Meerab:Hadi aab tum par iljam laga raha hai ke tum Murtasim ke piche pade ho.
Haya:Pata hai Mujhe.Woh Mujhe bad kirdar sabit karna chahta hai.Use pata lag gaya aap sacchai janne ki koshish mein hai is liye aap ka dyan batane ke liye yeh sab kar raha hai taki aap ko lage mein Murtasim bhai ko haseel karna chahti hu.Dining table pe Aur aap ki kamre mera hona yeh sab jo kuch bhi hua woh bhi uska plan ka hissa hai.Mujhe kaha agar mein aisa karu to woh Mujhe do din ka chutti dega Aur in do din qarib nahi ayega mera.Thodi si sukoon ke liye maine yeh sab kiya Bhabi.Har raat ki aziyat kabhi kabhi Mere bardast ke bahar chala jata hai bhabi.Mujhse Aur nahi hota.Woh Mere period ke din bhi Mujhe nahi chodta.Januwar hai woh.Aap ko nahi pata kis aziyat se guzar rahi hu mein.

Meerab don't know how to console her.

Meerab:Meri kamre mein se chittiyan kisne churai?
Haya:Hadi ne.Ta ki aap ko galat sabit karke aap ki Aur bhai ke bich jhagra karwa sake.
Meerab:Kitna ghatiya insaan hai na woh.
Haya:Aur yeh baat mujhse behtar kon jaanta hoga.Har raat uski wehsipan ko dekhta hu.Bhul jata hai woh darinda mein bhi insaan hu.Pata nahi kaise kaise takleef deta hai woh Mujhe.Aab mera jism bhi bardast kar hi leta hai.Na karke bhi koi faida nahi hai.Woh ruknewala thodi hai.
Meerab:Hairat ki Baat hai itne saal mein kisi ne use tumhari kamre mein aate nahi dekha.
Haya:Bohot chalak hai woh khud ko bacha leta hai.Aur ghar mein hai hi kon.Anwar mamu gao mein rehte hai Murtasim bhai America mein the.Maa begum shym hote hi bistar pakad leti hai Aur Mariyaam apni kamre mein.Kisi ko pata hi nahi laga.
Meerab:Aab bas bohot ho gaya.Aur koi aziyat yaa takleef mein tumhe sehne nahi dungi.Bohot ho gaya uski ghatiyapan aab bas.

Haya cried and Meerab hugs her tight.

Author's note:It's harsh but true Many girls face sexual abuse by their family members.It was very tough for me to write this chapter.Nobody can feel the pain of this girl who face abuse until they face it.I try my best but fail to portray.How you like the chapter please let me know.

𝙈𝙀𝙍𝙀 𝙆𝙃𝘼𝙒𝘽𝙊 𝙆𝙊 𝙍𝘼𝙉𝙂 𝘿𝙀Where stories live. Discover now