ONE

3.3K 85 17
                                    

A beautiful morning.

A girl is standing outside her parents room and waiting for her mother to come from there.

When she comes outside,A girl asked;

"Baat ki aap ne Ammi?"

Anila:Kiya hai maine baat Meerab.
Meerab:To kiya kaha?
Anila:Wohi.Is ghar mein sare faisle tumhare taya lete hai.Is baar bhi wahi hoga.
Meerab:Aap mere liye kuch nahi karenge mama?
Anila:Kuch karke faida hoga bhi nahi.
Meerab:Is ghar ke mard apne faide ke liye mera istemal kar rahi hai kiya woh thik hai?
Anila:Wohi mard ke age agar bagawat karoge to pata hai na kiya hoga.
Meerab:To aap chahte hai meri kismat bhi aap ki tarha ho jai.
Anila:Sab apne apne naseeb leke is Duniya mein aate hai.Koi kisi ka naseeb nahi pata.Jo ho raha hai chupchap maan lo.
Meerab:Hargiz nahi.Mein apne sath zaidti nahi hone dungi Aur nahi unki faisle ke aage sar jhukauingi.Is ghar ke mard samajhte kiya hai khud ko.Khuda hai woh humare.Jo kahenge sahi hai yaa galat chupchap maan lenge.
Anila:Is faisle mein burai kiya hai beta?
Meerab:Koi burai nahi hai Ammi agar sahi tarike se liya jata.Lekin unhone apne faide ke liye mera istemal kar rahe hai woh galat hai.
Anila:Yaha ke mard sahi galat nahi dekhte.Agar apna bhala chahti ho to maan jao.Aur hone do jo ho raha hai.Warna Apni abbu ko janti ho na.

Meerab looks at her mother.

Meerab drop off her tears in the room.Then A teenage boy sit next to her and said;

"Roo rahi hai api?"

Meerab wipes her tears and said;

Meerab:Nahi meri jaan mein kyun ruyongi?Waise Zayan tum school nahi gaye?
Zayan:Aaj Accha nahi lag raha.Abbu se kaha Aur woh foran maan gaye.Lekin api abbu apki baat kyun nahi mante?
Meerab:Shayed meri baat humesha sahi hote hai is liye woh unki bardast ki bahar ho jate hai.Is ghar ki mard ke faisle ko agar ek aurat galat sabit kar de to unko bardast kaise hoga.
Zayan:Mein bhi to is ghar ke mard hu Phir bhi Mujhe lagta hai aap humesha sahi hote ho api.
Meerab:Tum humesha aise hi rehna.Aurat ki hifajat karna Lekin unke khuda kabhi maat banna.Chalo naste ki table pe.
Zayan:Aab to Abbu Aur tayajaan nasta kar rahe hai.Aap to unki khane ke baad khate ho.
Meerab:Chalo to Pehle mere sath.

In the breakfast table.

Anila surprised to Meerab there.She said;

Meerab:Mujhe aap logo se kuch baat karni hai.
Waqas:Bolo sun raha hu.
Meerab:Mujhe is shaadi nahi karni.Aap log is rishten se mana karde.
Waqas:Tumhara rai kon mang raha hai yaha.Faisla maine Aur Tumhare tayar Malik mukhtar ne liya hai.Aur Malik apna faisla kabhi nahi badalte.Juban de chuke hai hum.
Meerab:Juban dene se Pehle kiya aap mujhse pucha mein shaadi karna chahti bhi hu yaa nahi.Ap logo ne faisla lee liya Aur thop diya mere sar.Lekin aap log bhi kaan khul ke sun lee mein yeh shaadi nahi karungi.
Waqas:Burai kiya hai is mein?Khandani log hai.Humare barabar ki Khandan hai.Raaj karoge waha?
Meerab:Wohi raaj na jo meri maa kar rahi hai yaha.Ek qaid se riha hoke aap chahte hai dusre qaid mein umar bhar ke liye qaidi ban jao.Aur Waise bhi is rishten se Mujhe beshak koi aitraaz nahi hota agar aap logo ne apne faide ke liye mera istemal na kiya hota.Tayaji ne apni siyasati taqat ko barane ke liye is rishten ke liye haa bola hai na sab pata hai Mujhe.Kitne khudgarz Aur Matlabi log hai aap log.Lekin mein bhi aap logo ke maqsad mein kamiyab nahi hone dungi.Khud ka istemal nahi hone dungi mein.

Waqas Malik coming to her and slap her tight.Anila holds her.

Waqas:Shaadi to hoke rahega.Tum mano yaa na mano.
Meerab:Mein Inkaar karte rahungi jab tak rishtan toot na jata.Aur apne marzi se shaadi ka haq mere khuda ne Mujhe diya hai.Aap nahi chin sakte woh haq mujhse.
Waqas:To Thik hai.Tum is rishten se Inkaar kari to mein bhi tumhare Maa ko talak de dunga.Woh bhi mera haq hai.Mere khuda ne diya hai.
Meerab:Hairat hoti hai apki soch pe.Khuda ke qanun bhi apne marzi se istemal karte hai.Kis halat pe talak jaise chij istemal hote hai pata bhi hai aap ko?Bas talak ki naam se dhamki dena aata hai aap logo ko.
Waqas:Tum chahte ho is umar mein tumhari maa ki ghar toot jai.Woh dar badar ki tokre khai sirf tumhari wajah se.

Anila hold her and said;

Anila:Chalo yaha se Aur behes nahi.
Malik mukhtar:Lee jau Aur beti ko Thoda Tamiz sikhau bado ke samne kaise pesh aate hai.Kash tum uski tarbiyat sahi tarike se ki hoti.

Meerab wants to reply him but Anila takes her to the room.

In the room.

Meerab lying down on her mother's lap and anila said;

Anila:Jarorat kiya thi unse ulajh ne ki.
Meerab:To hone du khud ke sath galat.
Anila:Beta tum jitna bhi Inkaar karo koi tumhare Baat nahi manega.Hoga wohi jo tumhare taya Aur baap ne faisla liya hai.Election sad pe hai beta.Khan parivaar ki sath chahiye unko jitne ke liye.Is liye to yeh mansuba banaya hai.Agar Khan parivaar se rishtan jud jai to unke liye election jitna asan ho jayega.
Meerab:Aur is liye qurbani ka bakra Mujhe banaya?Itne Matlabi baap maine aaj tak nahi dekha.Apne faide ke liye beti ka istemal karte hui zara jhijhak nahi hui unhe.Hoga bhi kaise woh Mujhe pasand thodi karte hai.
Anila:Aise koi Baat nahi hai.
Meerab:Baat aisi hi hai Ammi.Pata hai Mujhe.Meri paidaish ke baad sirf beti hone ki wajah se unhone mera shakal bhi nahi dekhe.Bachpan se leke aaj tak kabhi do lafz mohabbat ke nahi bole.Lekin is me meri kiya Galti Ammi.Allah ne Mujhe beti banake bheje hai.Mein thodi na khud chalke aayi hu.
Anila:Beti rehmat hoti.Aur us ghar mein hi Allah bhejte hai jo ghar unhe pasand hote hai.Afsos zahil log yeh samaj nahi pate.

Anila kissed on her forehead.

Author's note:How you like the starting chapter.Story will unfold in gradually.I hope you like it as always.

𝙈𝙀𝙍𝙀 𝙆𝙃𝘼𝙒𝘽𝙊 𝙆𝙊 𝙍𝘼𝙉𝙂 𝘿𝙀Where stories live. Discover now