THIRTEEN

1.2K 75 10
                                    

Meerab comes to her room and unable to forget what Haya told her.

She sitting in the bed and cried by holding her mouth.

In the early Morning.

Murtasim gets up from the sleep and see Meerab is sitting here.

Murtasim:Neend se kab uthi?
Meerab:Bohot Pehle.
Murtasim:Aaj Itne subhe subhe uth gayi tabiyet thik to hai na aap ki?
Meerab:Mein Bilkul thik hu.
Murtasim:Pakka?
Meerab:Ji pakka.
Murtasim:Lekin aap ko dekke lagta nahi aap thik hai.Ankhen kitni laal hai.Meerab aap ko hua kiya hai?
Meerab:Murtasim ek baat pucho.
Murtasim:Ji puche.
Meerab:Aap Mujhe us din keh rahe tha na ki aap Mujhe raat ko yateem ke ghar pe khairat dene nahi lee jayenge.
Murtasim:Haa kyun ki raat ko aap ka bahar Rehna aap ke liye mehfoj nahi hai.Aur shohar hone ke nate yeh mera farz hai aap ka hifajat karna.
Meerab:Raat gaye bahar Rehna mere liye is liye mehfoj nahi hai kyun ki raat ki andheron mein insaan nahi bheriyan ghumte hai bahar.
Murtasim:Aisa hi SAMAJ lijiye.
Meerab:Aap Mujhe bahar ki bheriyon se mehfoj to kar lenge Lekin ghar ke andar jo ghum raha hai usse kaise bachainge.

Murtasim gives her a surprising expression and unable to understand what Meerab wants to say.

Murtasim:Kiya hua hai Meerab?
Meerab:Murtasim Mujhe ghar ke andar chupe dharinde se khauf aa raha hai woh kisi ko nahi bakshega.Kisi ko bhi nahi.
Murtasim:Khul ke bataiye hua kiya hai.
Meerab:Kuch nahi.Bas aise hi bol diya.

Meerab knows very well without any proof Meerab can't make him trust her.

Murtasim:Bolo Meerab.
Meerab:Kuch nahi maine bas ek bure khwab dekh liya tha is liye khaufzada thi.Aur koi baat nahi.
Murtasim:Fazr ka waqt ho gaya hai.Mein masjid hoke aata hu.Mujhe lagta hai aap thode der so jaiye.Tabiyet thik nahi laag rahi Mujhe aap ki.
Meerab:Ji.

In the Day.

Meerab comes to meet Haya and said;

Meerab:Thik ho?
Haya:Jaisa har roz hoti hu.
Meerab:Aaj ke baad mein tumhe uske hath zalil nahi hone dungi.Tum daro maat mein hu na.Hum milke dharinde ko sab ke aage be naqab karenge.
Haya:Aap ki baton se bohot himmat milti hai Bhabi Lekin Mujhe yeh baat bhi pata hai humare baat ka Yakeen koi nahi karega.Woh kabhi benaqab nahi hoga.
Meerab:Pata hai Haya firaun ka hukmrani humesha ke liye nahi hota kyun ki uske liye Allah har dour mein ek Moosa jarur bhejti hai.Is baar woh sirf be naqab nahi hoga use uski karmo ki saza bhi milega.Bohot karliyan usne zulm Aur bohot sehliyan tumne aab Aur nahi.Bas bohot hua.
Haya:Aap ko pata jab woh Mujhe chu ta hai to mujhe kitna gandegi mehsos hota hai.Mein 3/4 ghante lagake shower leti hu Phir bhi woh dag nahi mitta bhabi.Mujhe puri tarha se ganda kar diya hai usne.Kabhi kabhi khud khushi karne ka maan karta hai Lekin himmat nahi hota.

Haya cried.

Meerab:Khabardar yeh baat dobara kahi to.Tum kyun maroge isme tumhari kiya Galti hai.Ganda tum nahi woh hai.Tum bohot pak ho Haya.Aur Ek Baat Mujhe abhi tak samaj nahi aayi.Woh itne salo se tum par zulm kar raha hai Aur kiso ko kano kan khabar nahi hui.Maa begum ke pas to sabke khabar hote hai to unhe kaise yeh nazar nahi aayi.
Haya:Jage hui insaan ko neend se jagana bohot mushkil hai.Logo ko lagta hoga ghar ki Baat hai yaha dab ke reh jai to behtar hai.Aur Waise bhi mein jau bhad mein kisi ko fadak thodi padega yateem jo hu.Sad ke upar na baap ka saya hai na bhai ka.Yeh sab to hona lazmi hai.
Meerab:Galat.Humesha baap bhai humere hifajat ki thikedar nahi hote.Mujhe dekhlo baap hote hui bhi yateem hu.Beti ko paida karke kabhi mohabbat nahi de paya.Apne faide ki khatir meri is ghar mein shaadi karwai na pasand pucha nahi marzi.Woh to Allah meherban the mujh par.Ek Baat yaad rakhna Haya apni hifajat khud karni padti hai.Ek baar to tum awaz uthake dekho.Phir dekhna Kuch faida hota bhi yaa nahi.Kyun ki jo zurm karta hai Aur jo zurm sehta hai woh dono ek barabar hote hai.

Haya looks at Meerab and Meerab touched her hair and smiles.

Meerab comes out from the room and collides with Hadi.

Meerab gets hell angered by him but control her frustration.

Meerab:Zara samhal ke.
Hadi:Aap Haya ki kamre mein?
Meerab:Aap kiya uski kamre mein humesha nazre bicha ke rakhti hai ki kon waha jaa raha hai yaa aa raha hai.
Hadi:Nazar to rakhni padti hai.Warna kab kya kar jai pata nahi chalega.
Meerab:Fiqr nahi karo.Mein hu na use kuch karne nahi dungi.Sahi kehte log khule aam dushman se jyada khatarnak chupe hui dushman hote hai jo naqab ke piche chupke war karte hai.Lekin mein chupe hui dushman ki chaal kamiyab nahi hone dungi.Use nazre ki samne rakkhe Duniya ke samne benaqab karungi.Pit piche war karne ka din khatam.Aab jang hoga amne samne taki Duniya bhi dekh sake dushman kitni ghatiya Aur gire hui hai.

Hadi forcefully smiles and said;

Hadi:Sherni hai aap waise.
Meerab:Jab yeh sherni aapne pe aa jati hai na to kisi ko bhi nahi chodti.Dushman ki aab ulti ginti shuru.Qadam zara samhal ke rakhe kya pata kab bhanda phur jai.

Meerab left from there.

Hadi is in hell tension is Haya tell something about him?No Haya will never do this something like this.Is Meerab gives open threat to him?But she don't know about him.He can't understand nothing.

Author's note:After writing "MEERAB MURTASIM KI HUI" I get immense requests to write something like this.So I decided to write another one on social issues and a sensitive one.I hope you give the same love and support to this just as you give the previous one.

𝙈𝙀𝙍𝙀 𝙆𝙃𝘼𝙒𝘽𝙊 𝙆𝙊 𝙍𝘼𝙉𝙂 𝘿𝙀Where stories live. Discover now