Custody Battle ( Part 6 )

Start from the beginning
                                    

That time only Swarna enters in.

Swarna: Akshu tunhe mujhe bulaya tha.

Akshara: Ha badi mumma actually maine Mimi se kaha tha ki mujhe samose khaane hai.

Swarna(cuts her in between): Ha maaji ne mujhse kaha tha pehle main kuch kaam kar rahi thi isliye nahi jaa paayi. Main abhi jaake bana deti hoon.

Akshara: Nahi badi mumma koi zarurat nahi hai mera mann nahi horaha hai iss wakt kuch khaane ka. Thodi der pehle bohot ultiya kiya tha maine isliye mera gala abhi dukh raha hai aur jalan bhi horahi hai toh main kuch khaa nahi paungi. Badi mumma lunch mein na mujhe pasta khaana hai, toh aap mere liye white sauce pasta bana sakti hai.

Swarna: Theek hai main bana dungi tere liye pasta. Tu ab aaram kar aur kuch bhi chahiye toh mujhe ya kisi aur ko bula lena, khud uthke aane ki zarurat nahi hai tu sirf aur sirf aaram karegi theek hai.

Akshara: Ok badi mumma.

After some time
Akshara is resting lying down on the bed. She feels thirsty and goes to drink water but sees that the jug is empty.

Akshara: Yeh pani toh khatam hogaya hai, main kitchen mein jaake pani piti hu.

She goes down to the kitchen.

In kitchen
Swarna is in the kitchen busy making pasta along with Surekha helping her, that time Arohi enters in. Swarna Surekha see Arohi but ignore her.

( Here Arohi doesn't call Swarnish as bade papa and badi mumma instead she calls them dadaji and dadiji only. Neither does she call Suhasini as Mimi, she calls her par dadiji only. Swarnish and Suhasini didn't allow her to call them these names as it's only called by KaiShu. Krishna calls Swarnish as dadu dadi. Only KaiShu calls Suhasini as Mimi, Krishna and Luv Kush's kids call Suhasini as badi dadi.)

Arohi: Dadiji aaj mujhe aap ke haathon ki bani kachoriya khaani hai, aap please bana denge?

Swarna(coldly): Main busy hoon, mere paas time nahi hai tumhare liye kuch bhi banane ka, tum staff se kehdo tumhe joh bhi chahiye woh bana denge. Mujhe iss wakt Akshu ke liye pasta banana hai toh main manhoos logo ke faltu demands puri karne nahi beth sakti.

Arohi: Dadiji Akshu keliye pasta staff bana sakta hai, aap mere liye kachoriya bana dijiye na. Akshu toh itne dinon se yaha hai aur aapke haath ka khaana khaarahi hai, main toh aaj itne samay baad aayi hoon toh aap mere liye kachoriya banaye na.

Surekha(coldly): Arohi Akshu pregnant hai toh hum uske hi saare nakhre uthayenge na. Humari bacchi hai woh naaki kisi staff ki bacchi, joh koi staff Akshu ke cravings pure karenge. Humhe kanhaji ne phirse mauka diya hai humare bacchi ke nakhre uthane ka, uski seva karne ka uski pregnancy mein toh hum woh mauka kisi manhoos aurat keliye nahi gava sakte. Pehle mauka toh humare haath se chut gaya tha ek abshaguni ke wajah se dusre mauke ka hum pura fayda uthayenge. Akshu ko apne pehle pregnancy mein Udaipur chodke jana pada aur bechari bacchi ko kitna kuch sehna pada Pathankot mein sirf ek sadakchap manhoos aur apshaguni aurat ke wajah se. Agar Abhinav ji nahi hote Akshu ke paas toh pata nahi kya hota uske saath.

Arohi(shouts): Akshu Akshu Akshu pareshaan hogayi hoon main yeh naam sunke. Bacchpan se sabke zabaan pe sirf Akshu ka naam hi hota hai. Akshu yeh Akshu woh Akshu Akshu Akshu. Akshu ke alawa bhi ek beti hai yaha lekin mere toh kisiko padi hi nahi hai. Sabko toh bas Akshu hi dikhaye dete hai aur woh Krishna jisse papa ne taras khaake adopt karliya. Raaste ki bhikaran ko uthake mahalon ki rajkumari kya bana diya kuch zyada hi udd rahi hai woh Krishna. Bohot attitude dikhaati hai woh mujhe. Yeh teeno Krishna Kairav aur Akshu mujhe sadakchap bolte hai, dadaji aur choti dadiji mujhe ganda khoon bolte hai. Arey sach toh yeh hai ki sadakchap woh Krishna hai joh Goenkas ki beti banne se pehle raaste par ek bhikari thi aur ganda khoon bhi woh hi hai. Maa-baap ka toh koi pata hi nahi hai toh zaroor woh najayaz hogi kisiki paap ki nishaani isliye toh usse chod diya gaya raaste par. Aur manhoos main nahi manhoos aur abshaguni toh woh Akshu hai paida hote hi usne apni maa ko maar diya, phir meri maa ko bhi maar diya aur mere papa ko bhi maar diya usne. Usse bhi uska mann nahi bhara toh usne mere Neil ko bhi cheen liya mujhse. Arey behtar hota agar woh khud hi marjati, duniya se ek bojh toh kam hojata.

YRRKH OS BookWhere stories live. Discover now