chapter six

103 8 0
                                    

━ AT THE ROAD

Kritarth: suno

Hoppla! Dieses Bild entspricht nicht unseren inhaltlichen Richtlinien. Um mit dem Veröffentlichen fortfahren zu können, entferne es bitte oder lade ein anderes Bild hoch.

Kritarth: suno..

Y/n apni ek eyebrow uthati hai aur piche mudti hai.

Y/n: kya hai?

Kritarth: woh, um.. tumhara dupatta fat gaya hai fight mein and raat mein jaana akele safe nahi hai.

Woh notice karta hai uske expression gusse wale the but ab confusion wale ho jaate hain.

Y/n: dupatta fata mera chinta tumhe kyu ho rahi hai?

Kritarth: y-yeah i know i hate girls but meri maa ne yeh humesha sikhaya hai ki girls ko safe rakho and yeh road ab sunsaan ho gayi hai so i was just thinking of dropping at your house.

Y/n: tum iss sada hua muh banaye aadmi ke saath ho and kapde ache pehne hain so mai assume karti hu ki tum ache ghar ke ho, par tum mujhpe itni jaldi vishwas kaise kar sakte ho? Agar maine tumhari chize chura li ya fir tumhe raaste mein maar waar diya toh?

Kritarth: ek baat yeh ki woh mera bodyguard hai and mai uska boss, yani mai kritarth chautala hu.

Yeh kehke y/n eyes widen hogayi and kritarth just smirk karta hai.

Kritarth: and dusri baat yeh ki agar tumhe mujhe maarna hota toh tum uss bande ko kabhi rokti hi nahi attack karne se and even though maine tumse rudely baat ki, tumne mujhe bachaya. So im assuming that either you are a good person or you fell in love with me.

Kritarth ki smirk aur badi ho jaati hai jab woh y/n ka tamatar se jyada laal chehra dekhta hai.

Y/n: abbe saale, tu uss bodyguard ka boss hai yaani ki tu wahi businessman ka beta hoga par teri harkate aisi hain na ki tu mithai ki dukan mein 200 mein bik jayega samjha, aaya bada you fell in love with me. Mai tera interview lene aayi thi tabhi samjh gayi thi ki bodyguard itna tedha hai toh bhaisaab boss kaisa hoga.

 Mai tera interview lene aayi thi tabhi samjh gayi thi ki bodyguard itna tedha hai toh bhaisaab boss kaisa hoga

Hoppla! Dieses Bild entspricht nicht unseren inhaltlichen Richtlinien. Um mit dem Veröffentlichen fortfahren zu können, entferne es bitte oder lade ein anderes Bild hoch.

Kritarth: (kitna bolti hai yeh)

Lakshay bas shock khada tha kyuki woh itna bol rahi thi aur kritarth bas usko hi dekh raha tha ki uski itni bejjati ho rahi thi.

Police wala: ae tumlog lad kyu rahe ho be? Aur iska dupatta fata hua kyu hai, kya hua tha yaha pe abbe aur yeh aadmi mar war gaya kya? Tum sab jail ke andar jaaoge dekh lena-

Y/n: hogaya aapka? Aur yeh banda jo waha pe hai woh bas behosh hai aur woh inko attack kar raha tha chaku se isliye uski yeh haalat hai. And ushi mein mera dupatta fat gaya tha.

Police wala: acha, par yeh aapse lad kyu rahe the?

Kritarth: abbe mai thodi na yeh tabse bole jaa rahi thi bhai, mai toh bas iski sun raha tha.

Police wala ( whispers in kritarth's ears ): koi ni bhai, biwi ki sabko sunni padti hai. Chalo mai ishe leke chalta hu aur iske muh se ugalvata hu kyu kiya aap par isne attack.

Kritarth ko biwi sunke pata nahi kya hua aur woh y/n ko dekhta hai jo bas confusion se ushe dekh rhi thi and woh bas blush karta hai.

Y/n: kya hua be? Laal tamatar kyu ban gaya tu?

Kritarth: kuch nahi, and ab inn policewale ne bhi bol diya ki safe and sound tumhe ghar pahuchane ke liye, ab toh chalogi na?

Y/n: arre par-

Woh kuch nahi bol paati jab kritarth uska haath pakad ke usko uske ghar le jaane lagta hai.

Y/n ( in mind ): ab mere gaal kyu laal hogaye?

𝐀𝐀𝐉 𝐊𝐈 𝐓𝐀𝐙𝐀 𝐊𝐇𝐀𝐁𝐀𝐑! 》jjk Wo Geschichten leben. Entdecke jetzt