Part 20

694 61 4
                                    

Kafi der se Haseena apartment ke us gate ki taraf dekh rahe hai . Besabar ho gayi hai uski aakhe apne pyar ko dekhne ki khwahish mei🥺🥺. Her roz wo aise hi intezar karti hai Karishma ke liye🙃🙃 . Aaj ghar ke kam khatam karne ke bad wo thoda book padhne ke liye baithi thi . Padhte padhte ghadee( clock) ke taraf dyan jate hi jab wo dekhti hai Karishma ke anaka waqt ho gaya hai tab wo dusri sari chije bhul kar khidki taraf dour kar aati hai. Kafi wakt bitena ke bad bhi Karishma jab nahi aati hai tab andar andar usa dar lagna lagta hai 🙁🙁. Man hi man wo Ishwar se prathna 🙏 (pray ) karti hai Karishma ke salamati ki . Karishma ka siva uska is duniya koi apna nahi hai 🥲🥲. Mummy papa or dadi ji ke bad wo Karishma ko hi to sab se jada pyar karti hai isliye wo Karishma ko kisi bhi halat mei khona nahi chahti . Is bar security guard ko darvaja khulte dekh kar Haseena ki darkana tez hone lagti hai . Nahi is bar wo aur nirash nahi hoti kuki ab sach mai Karishma hi aayi hai☺️☺️ . Bechain hokar wo intezar karne lagti hai kab Karishma apni gadi se utre gi .

Dusri taraf Karishma ke dil ka hal bhi kuch aisa hi hai. Vo bhi acha se janti thi Haseena uske liye khidka pass intezar karegi . Lekin Karishmake pass bhi to aur koi rasta nahi tha. Cheetah ko aisi halat mei kaise akele chhod ti wo . Karishma ab aur der nahi karti ghadi ko (car) garage mai park karke hi wo dour kar jaati hai Haseena ke paas. Karishma ko apne samne dekh kar Haseena Jaise phir se khushi se khil jaati hai .

Chupa leti hai vo apne chehre ko Karishma ke sine mei🥰🥰.

Karishma ke sene mei lipat kar apni sari bechaini ko shant karne lagti hai vo.

(Like this)

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

(Like this)

Karishma bhi dhree dhree Hassena ka peeth per apna hath rakhti hai . Karishma achi tarah se samajh pa rahi hai Hassena itni der se uske liye kitni chinta kar rahi thi  .Kyuki abhi bhi Hassena ke saanse ko bohot tez chal rahi hai . Hassena ke pyar  se chehre ko apne hatho mei lekar jee bhar ke dhekna lagti wo . Phir thoda sa muskura kar uske forehead per kiss karti hai 🥰🥰.

(Like this)

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

(Like this)

Haseena dheere dheere hug break  karka Karishma ko fresh hone ke liye kehati hai. Karishma Haseena ki baat man kar fresh hone chali  jaati hai . Karishma fresh hone ke bad wo dono ek sath dinner karte hai🤗🤗. Dinner finished hota hi Karishma or Hassena ek sath milkar table or kitchen saaf karte hai . Phir Karishma Haseena ko apne baho mei uthakar bed room mai chali jati hai😊😊.
**************************************
Raat 2 bajkar 30 . Cheetah abhi bhi hospital ke waiting room mai baitha hai. Kuch der pahle hi Santosh ke Papa ne use phone kiya tha. Santosh ke Papa bhi aaj raat hospital mei hi rehna chahte the. Lekin wo khud puri raat yaha per rahega keh kar Santosh ke papa ko mana kar deta hai. Kyuki aj Santosh ke upar Jo hamla hua tha uske bad Santosh ko aj rate akela chhod na thik nahi hoga.Wo khud bhi Santosh ko is halat mei dekhkar ghar mei santi se nhi reh payega. Waise bhi raat ke waqt hospital mei dono ko nehi rehne dengae . Isliye aaj wo khud hi reh gaya hai hospital mei. Per uske dil mei baar baar ek hi sawal aa raha hai kisi  ne Santosh ke sath aisa kyu  kiya ? Aakhir ismei kya fayda tha uska ? Hassena ke upar attack hua tha kyuki Hassena ne apne papa ke accident ka bayan diya tha. Hassena ke Papa ka murder mai bhi wo criminal jura hua tha. Lekin Santosh ko wo kaise pehchan sakta hai. Or Santosh ko wohi kidnap karna chahta tha is baat ka bhi to koi saboot (prove) nahi hai😟😟. Ha wohi insan kidnap karna chahta tha . Shankarpur mei koi to aisa hai jo us criminal ki madad kar raha hai 🤬🤬. Shayad vo gadi bhi Janki pur ka taraf ka jarahi thi. Iska matlab wo admi Santosh ke bare mei sab kuch janta hai . Aur use Santosh ke bare mei sab kuch kaise pata chala ye bhi Cheetah thoda thoda samaj pa raha hai. Gusse mei wo apni mutthi band kar leta hai🤬🤬. Jaldi se pocket se phole nikal kar coll list se Karishma ka number nikal ta hai . Ek bar use lagta hai aaj bohot raat gayi hai . Shayad itni der mei Karishma so gayi hogi. Tabhi use yad aata hai Karishma kabhi bhi itni jaldi nahi soti. Upar se Santosh ke sath aj jo hua hai uske bad Karishma itni jaldi nahi soyegi wo ache je janta hai . Aur waise bhi police officer ki nind inti gehri nehi hoti. Case  ke liye kafi bar puri rate bhi jagna parta hai unha.Cheetah ki soch bilkul sahi thi Karishmako  coll karne ke kuch pal    mei hi Karishma phone receive kar leti hai.

Karishma= Kaho Cheetah  ,,, sab theek to hai na kahi koi problem to nahi hua?

Cheetah= Nahi Karishma yaha per koi bhi problem nahi hui. Santosh abhi so rahi hai. Kya tumne aj ki recording dekhi hai.

Karishma= nahi maine abhi tak nahi actually Hassena abhi abhi soyi hai . Uske sone sa pahle mai yeh recording nehi sakti thi . Ab on karungi laptop.

Cheetah=okay tum dekho . Mujhe lag raha hai mera andaza bilkul sahi hai.

Karishma=okay mai dekhkar tumhe pata rahi hu.

Cheetah=hmm

Cheetah phone cut karke cabin ke paas aata hai. Tabhi wo dekhta hai Santosh nind mai hi dar se chatpata rahi hai😟😟 . Shayad kuch ganta pehla hua us bardat (incident) ki waja sahi wo itni dari hui hai. Santosh asa tarapta dekh kar Cheetah khud ko or rok nahi pata. Aur kisi bhi taraf na dekh kar wo dour kar jata hai uske pass🙃🙃. Uske naram (soft) hatho ko Apne hath mei lekar usa sant karne ki koushish karta hai. Apne hatho per Cheetah ke sparsh( touch) ko mehsush ( fell) karte hi Santosh dheere dheere apni aakhe kholti hai . Kuch pal aise hi wo Cheetah ke taraf dekhti hai. Inti der bad apna samna kisi jane pehchana chehre ko dekhkar wo or apna andar ke dard ko chupa nahi pati . Cheetah ke sinema apne sar ko rakh kar rone lagti hai vo🥺🥺

Santosh= please mujhe yaha per chhod kar mat Jana ! Mujhe muja bohot dar lag raha hai 😭😭. Mai tumhare pair par ti hu ,, mujhe yaha per akele chhodkar mat jao. Wo log mujhe aha se lekar chale jaenge 😭😭,,, bohot bure hai vo log,, mujhe galat tarah se chua hai. Mere kapde bhi faad diye hai ! Mujhe dusre desh mein taskari( trafaking) kar denge vo log 😭😭.

Santosh ki  kahi hui her ek baat ko sunkar Cheetah ki aakhe bhi bhare aati hai . Santosh ke aansu aj bheegane lagte hai Cheetah ke dil ko bhi . Ab wo or Santosh ko rone se nahi rokta.Thodi  der  rone deta hai use . Wo bhi chahta hai Santosh sare dard in aansuo mai behjaye🥺🥺 . Ekbar phir wo Santosh ko apne sine se laga leta hai . Sayed ise uski taqlif thodi kam ho sake.

Cheetah=mai kahi nahi ja raha Santosh🙃🙃. Tumhare pass hi hu dekho . Koi nahi le ja jayega tumha. Mai hoon na. Koi tumhe nuksan nahi pohuncha sakta. Tum so jao.

Keh kar Cheetah Santosh ke balo ko apne hatho se sehlane lagta hai. Cheetah ke sine mei sar rakh rone rote hi pata nahi kab wo dhal gayi thi nind ke saher mei. Cheetah dheere se apne hatho se uske aasuo ko  pochkar usa bistar per sula dela hai. Lekin Cheetah Santosh ke hath ko chhodte hi Santosh phirse nind mei uske hatho ko pakad leti hai💞💞 . Cheetah bhi thoda sa muskurakar baith jata hai Satosh ke pass hi 😌😌.

**************************************
Rat ke 3 baje rahe hai. Naram bistar ke upar shanti se so rahi Haseena. Khidki se aatahua  us chandki roshni na mano pura ghar ko ak alag si khubsurti se bhar diya hai. Ghar Mai bikra  hue in      roshni ke kirnone jaise Haseena ki khubsurti ko aur bhi nikhaar diya hai😇😇. Karishma madhosh hokar dekna lagti hai apne samne soyi hui use rajkumari ko😍😍. Kitni pyari lag rahi hai Haseena💝💝. Haseena ke is masoom chehre ko dekh kar chune ka man nahi karta. lagta hai chuna se agar ya khubsurti kahi kho gayi to . Thik jaise phulo ki khubsurti dekh kar aakho ke pyas ko bujaya jata hai theek waise hi Karishma Haseena ko dekh kar buja rahi hai apni aakho ki pyas ko . Dar lagta hai agar usse chune se Hassena ko dard hua toh. Haseena ki khubsurati ko dekh kar Karishma ke sharir mei koi kamna (lust ) nahi jagti. Balki ke apne aakho se is khubsurti ke ahosh ko mehsush (fell) kar na ka man kar ta hai . Karishma bina apni palke jhapkaya dekhne lagti hai Haseena ki un sagar jaisi gehri aakho ko in gulab ki pankhudio jaise komal (soft) hoton (lips) ko 🥰🥰 . Aur sochne lagti hai Hassena jaisi itni pyari ladki ko uske Jaise itni gusse bali ladki se pyar kaise hua. Shayad ise hi opposite   attraction kehate hai. Yeh sochkar Karishma thoda sa smile karti hai😄😄.Apni unglio  se wo dheere dheere sehlane lagi Hassena ke balo ko . Aj Santosh ke sath Jo kuch bhi hua use bare mei Karishma ne Hassena ko kuch bhi nahi bataya .Kyuki agar Haseena ko Santosh ki halat ke bare mei pata chala to Hassena  aur bhi jyada pareshan ho jayegi. Isliye Karishma ne use kaha hai Santosh ka sirf ek chota sa accident hua hai. Hassena ke baloko sehlate hua hi wo sochne lagta hai kuch der pahle dekhe us recording ke bare mei .

'Aur Kitna kheloge Tum. Mai bhi dekhti hoo tum kitne bade khiladi ho. Mere sath khelne aaye ho na tum . Mai bhi dekhti hoon is khel mai aakhri chal koun chalta hai mai ya tum😏😏"Karishma murmured

***************************************************************************
If you like the chapter do click on the star button

Honest comments will be appreciated

 Pure Love Where stories live. Discover now