end to the exile!

247 18 12
                                    

"dard ....woh shabd jo shayad ek army officer ke dictionary mai nhi hota, ek aisa shabd jiske matlab se meri zindagi koson dur thi ....ab toh Aisa lagta hai mano yahi shabd jis se mai saari zindagi bhagta raha, jiske ehsas se mera koi sambandh nhi tha aaj maano wahi iss ek doori par atki zindagi ki ek lauti wajah ban gaya hai...

Sita ......tumse Milne ki umeed saalon pehle chod chuka tha par Aaj ek umeed dikh Rahi hai par .....darta hu sita kahin phirse me tumhse tumhari khushiyan na cheen lun...

Dar lagene laga hai tumse phir Milne ke ehsaas se, khud se aur apni badkismati se...."

farook - kahan kho Gaye janab???

Ram: kya farak padta hai janab sita ko ab woh chitthi mile yaa 10 saal pehle, farak sirf itna hai ki abhi tak woh iss intezar mai thi ek na ek din mai wapas aunga par aab uss chitthi ke milne se woh bhi khatam ho jayegi ...

Farook: kaisi behuda batein kar rahe ho Ram ..... brigadier sahab ne tumhe isliye nhi bachaya tha ki tum in Pakistan ki gaaliyon mai ek gum naam zindagi jeeyo woh tumhare  aur sitaji ke paak mohabbat ko mukamal hote dekhna chahte the......unhone sirf tumhe bacchane ke liye apne watan se bewafayi ki, zindagi bhar ki aapni kamayi hui izzat aur rutbe ko sirf Isley khone ko tayyar ho gaye ,kyunki woh jaante the ki tumhara Pakistan aane ke peeche ka maqsad pakk tha, tumhari baton mai unhe sacchayi nazar ayi ram, tumhari ankon mai pyaar aur imandari dikhayi di unhe....yeh zindagi Jo tum Aaj jee rahe ho na woh tumhari aapni nhi hai woh sitaji ki hai aur iss pai sirf unka haq hai....aur waqt aa gaya hai ram ki brigadier sahab ke adhure kaam ko pura Kiya Jaye Ram...

(Turning towards him he gently wipes the errands of water flowing unconsciously from his eyes slowing patting his back as if consoling him, this is no dream .....and finally he can dream of meeting his love back .....getting his sita back....he will no longer be an ordinary Ram ....he will get back his name, his country, his position, respect, job and his due honor which was mercilessly snatched away from him just because he was a soldier, a soldier who was ready to sacrifice his everything just for his motherland, a soldier ready to sacrifice his life to protect a little girl who was probably as innocent as him....but was trapped between the hatred of the two nations.)

Waqt aa gaya hai Ram tumhari adhuri mohabaat ko usske muqamal manzil tak paunchane ka tumhe tumhare watan, tumhari sar zammen wapas bhejne ka..

( He tightly hugged him not able to believe his ears ......all his lost hope of meeting his sita, his ever so expanded family, his country ....he will be able to meet them again....these words seemed merely like a firefly admist the darkness, whose light is not enough to see the path but more than enough to feel a presence in the lonely night .....)

Ram: umeed harr chuka tha mai janab, harr chuka tha ........
Apne watan lautne ki, apne logon ke beech wapas jaane ki, sita se Milne ki......par Aaj aisa lag raha hai ki shayad zindagi phirse mujh pai meherban hona chahti hai mujhe phirse ek mauka Dena chahti hai....
Nhi janta ki apka shukriya kaise Ada Karu farook sahab ....iss duniya mai koi mera aapna nhi tha, phir sita ayi ...iss berang zindagi mai mano rangon ki barish ho gayi ho...phir ek din ek zor ki andhi aayi aur sab apne sath uda le gayi.....
Aur kuch iss tarah le gayi ki unke wapas aane ki koi umeed hi nhi bacchi...bhagwan hote hai yaa nhi, nhi janta par haa farishte hote yeh jaan gaya hun, aapka brigadier sahab ka ehsan mai apni Puri zindagi nhi Chuka paunga janab kabhi nhi....

Farook: Ram tum humari zimmedari ho .....aur hamare mulkon ke beech na jaane kitne hi tanav kyun na ho par hum sabhi sabse pehle insaan hai, aur insaniyat ke dharm se baada koi aur dharm nhi, koi mazhab nhi....tayari shuru kardo major sahab aap apne watan wapas Jaa rahe hain....
Ab ansun aur akelapan nhi khushiyon ke darwaze kholiye, nayi subha ka istaqbal (to greet) kariye...sita se Milne ka khwaab dekhiye...
Samay aa gaya hai aapke vanvas ke khatam hone ka......

_____________________________________________
Indeed after a long time.........

Thank you everyone for your constant love for the story.....

Please do vote and comment as they are very precious❤️
THANK YOU💝




SITA RAMAMTempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang