8

137 14 2
                                    

Shiva khada hai gaadi ke pass or wait kar raha hai avish ka aree sorry haan batana bhul gayi ki baaki sab Mandir jaa chuke hai raavi or rishabh nahin gaye the sabke saath kaaran tha rishabh ki online meeting toh shiva ruka tha unke liye Kyunki pooja mein time tha abhi

Avish thodi der mein baahar aaye the or Shiva ne unhe dekhkar smile di or phir car mein jaakar baith gaya (Shiva car chalane waala hai na) or uske bagal mein aakar rishabh baith gaya or peeche waali seat mein raavi toh Shiva ne rishabh ko dekha tha

Rishabh :- aree yaar achcha nahin lagega na ki tum aage car drive karo or hum dono (raavi ki oor ishara karke) aapas mein busy rahe or tujhe akela feel ho isiliye main aage aa gaya ab tum car chalao or thoda mujhe apne baarein mein bhi batao

Shiva ne car start ki or chupchaap driving par dhyaan dene laga

Rishabh :- are shiva kuch toh batao na yaar apne baarein mein

Shiva :- batane layak kuch hona bhi toh chaahiye meri chhodo tum apne baarein mein kuch batao

Rishabh :- kuch khass nahin hai main rishabh hun or Mumbai mein rahta tha par phir chaar saal pehle yahan somnath shift ho gaye or phir ek Din meri sister se meri kaha suni ho gayi or usne bhare bazaar mein mujhe chaanta maar diya or logo ko bola ki maine use chheda hai uske saath jabardasti kar raha hun car mein baitha raha hun use uski marzi ke bina or kya main bechara logo ko bolta raha ki woh jhooth bol rahi hai par koi mana hi nahin or jab mujhe ek do chaante or pade Kisi or se tab meri sister ne sach bola or mujhse bhi maafi maangi usne or phir kya main use wahan se chupchaap lekar ghar laut aaya or phir ek haftein tak baat hi nahin ki or phir jab baat karne wala tha (rishabh thodi der ruka tha)

Shiva :- phir uske baad

Rishabh mujhe bhookh lag rahi hai khaana kahan rakha hai raavi ne Shiva ki baat ko kaatte hue bola tha

Rishabh :- khaana toh aaj bana hi nahin tha  woh Mandir jaana tha na tum do minute ruko

Shiva kya yahan kahi koi restrorent ya koi dhava hai kya

Shiva :- thodi aage hai bas das minute dur hai raavi thoda wait kar le theek hai

Raavi :- hmm

Das minute baad Shiva ne dhaave ke saamne car roki thi or sirf raavi ne hi khaana khaaya tha Shiva ya rishabh ne nahin Kyunki unka vrat tha

Jab rishabh Bill pay kar raha tha toh raavi Shiva ke pass aayi thi or boli

Raavi :- Shiva

Shiva Jaise bahut khush Hua tha itne time baad apna naam sunkar raavi ke muh se woh smile ke saath bola

Shiva :- haan kuch bolna hai tujhe

Raavi :- haan woh tu rishabh se uski family ke baarein mein mat puchhna or na hi Kisi or se usko puchhne dena please

Shiva kuch kahta ki usse pehle hi rishabh aa gaya tha wahan or unki baatein adhuri rah gayi thi or Shiva car chalane baith gaya or soch raha tha ki raavi ne aakhir mana kyun kiya rishabh se uski family ke baarein mein puchhne ke liye

Or raavi peeche waali seat mein baithi apna grahpravesh wala Din yaad kar rahi thi

Flashback

Rishabh ne raavi ka grahpravesh karwaaya tha or use andar laaya tha ghar ke ki raavi boli thi usse

Raavi :- rishabh tumne ye rasam ki ghar mein bhi tala laga tha Kisi ko pata nahin hai kya

Rishabh smile ke saath :- nahin sabko pata hai mummy papa or sister teeno ko pata hai balki woh toh wahan bhi the humari shaadi mein

Raavi hairaani se :- kya or tumne Bataya bhi nahin

Rishabh :- are chalo ab milwa deta hun unse

Raavi :- kya woh log ghar mein hi hai

Rishabh :- haan har jagah hai woh aao tumhe milwata hun unse

Kahkar rishabh raavi ko apne saath lekar gaya tha or raavi bhi chupchaap chal di thi rishabh ke saath Or jab rishabh use apni family se milwaane laga toh raavi ne bhari Hui aankhon se rishabh ko dekha tha Kyunki rishabh use mandir mein lekar gaya tha uske ghar ke or wahan bhagwaan ji ke saath uske mom dad or sister ke bhi photo lage the jinki death 3 saal pehle ho gayi thi

Raavi :- rishabh ye sab kya tum toh kah rahe the ki...

Rishabh smile ke saath :- meri family ki death ho gayi hai raavi par mere liye woh aaj bhi zinda hai or humesha rahenge

Raavi ne rishabh ka haath pakda tha or boli :- kaise Hui thi unki death

Rishabh raavi ke haath ko pakadte hue :- ek baar meri sister vaani se jhagda hua tha or usne mujhpar ilzaam laga diya bhare bazar mein ki main use chhed raha hun uske saath jabardasti karke use car mein baitha raha hun or kya mujhe teen chaar chaate pade or phir jaakar meri behen ne sach bola or mujhse maafi maangi par main usse gussa tha mere saath aisa karne ke liye ek hafta maine usse baat nahin ki or phir jab meri usse baat hui toh woh baat aakhiri thi usse jismein usne mujhe sorry bola or phir Chup ho gayi humesha ke liye or phir mere mom dad bhi uski maut se sadme mein aa gaye or mujhe akela chhodkar chal diye maine bahut koshish ki ki main bhi unke saath chala jaao main bhi Mar jaaun par nahin Hua aisa maine do baar jaan dene ki koshish ki raavi par dono baar bach gaya main or phir mujhe meri mom dikhayi di or unhone mujhe bahut daanta or kaha ki woh mujhse baat nahin karengi agar maine aage phir se aisi harkat ki toh mujhe unka sapna pura karna hai unke buisness ko aage badana hai life mein move on hona hai or dekho aaj main ho gaya hun uss Din se move on or main tumse bhi yahi chaahta hun raavi ki tum bhi apna past bhul jaao main help karunga tumhari par tumhe rone se or purane Din yaad karne se khudko rokna hoga vaada karo mujhe

Raavi ne rishabh ko dekha tha or uski aankh se aasu baha tha jise rishabh ne apne haath se pochha tha or bola

Rishabh :- abhi mana kiya na toh bolo abse past ko bhulkar ek nayi zindagi jeene ki shuruaat karogi meri tarah apne past se move on hogi

Raavi :- promise par time lagega rishabh mujhe ye shaadi apnane mein khudko purane atit se baahar laakar aaj ko apnane mein

Rishabh smile ke saath :- puri zindagi hai humare pass raavi toh tumhe bura feel karne ki koi jarurat nahin hai hum dost bankar rahenge theek hai

Raavi smile ke saath :- dost

Shiva ne car roki thi or bola :- Mandir aa gaye hai hum

Flashback over

Kuch rishte umeed dene aate hai
Kuch rishte pyaar se badkar ho jaate hai
Atit sabka hota hai bura
Koi paar kar jaata hai toh koi ulajhkar rah jaata hai

Okk byee

kuch nahin (On Hold) Where stories live. Discover now