2

231 11 2
                                    

Jab Kisi ka judna qismat ki baat ban jaaye
Toh yaadein bhi kitni yaadein yaad dilane lagti hai

Kya kaha tune bhagodi ki beti suman boli thi dhara se

Dhara :- maa yahi sach hai

Dhara Shiva ke pass jaate hue :- Shiva ab tujhe koi jarurat nahin hai raavi se shaadi karne ki somnath ji ne mere dil se bada bojh utaar diya tujhse teri zindagi ka sabse bada faisla karne ka haq maang rahi thi main par ab sab theek hai ab tu jisse shaadi karna chaahe usi ke saath teri shaadi hogi

Shiva in mind :- kya raavi ne mujhse shaadi karne se mana kar diya yaa phir woh ab humare ghar mein aana hi nahin chaahti hai woh theek toh hai na or bhabhi itni khush kaise ho sakti hai raavi ki zindagi ki sabse badi khushi usse chhinte hue dekhkar bhi

Dhara :- lo aa gaye ye log bhi maa main abhi aayi raavi ko lekar

Shiva ne raavi ka naam suna or khudse baat karna bandkarke raavi ki oor dekhne laga hairaani se

Raavi dulhan ki tarah hi sazi Hui thi bas ab thodi udaas thi chehre ki khushi gayab thi aankhon mein aasun the jise usne rok kar rakha tha or nazarein jhuki Hui hi thi par Shiva ko usko dekhkar ajeeb sa dard mahsus ho raha tha par kyun use nahin pata

Dhara raavi ko apne saath lekar aa rahi thi or Shiva bas raavi ko uski oor aate hue dekh raha tha Jaise samjhna chaah raha ho woh ki raavi kya chaahti hai kya woh chaahti hai uske saath shaadi karna ya koi jabardasti ho rahi hai uske saath par Shiva kuch bole usse pehle hi raavi ki chunni uske pairon mein atki thi or woh girne waali thi ki Kisi ne toh use bachaya tha or jab Shiva ki nazar uss insaan par padi toh use thoda gussa aaya tha uss insaan ko dekhkar par woh kuch bola nahin bolta bhi kaise shaadi toh raavi ki uske saath honi hai aisa Shiva ko lagta tha Kyunki use ye thode hi pata tha ki raavi dulhan bankar toh aayi hai par uski nahin uss insaan ki jisne use abhi girne se bachaya tha raavi Shiva ke pass pohchi thi dono ki aankhon ne Jaise kuch baatein ki or phir Shiva ne apna haath badana chaaha tab tak raavi rishabh ke saath aage mandap mein bad gayi Shiva hairaan Hua tha ki ye hua kya Jab usne mudkar raavi ki taraf dekha toh use pata chala ki raavi ki shaadi usse nahin par rishabh se jarur ho rahi hai

Or ab use dhara ki baat bhi samjh aa rahi thi ki

Shiva ab tujhe koi jarurat nahin hai raavi se shaadi karne ki somnath ji ne mere dil se bada bojh utaar diya tujhse teri zindagi ka sabse bada faisla karne ka haq maang rahi thi main par ab sab theek hai ab tu jisse shaadi karna chaahe usi ke saath teri shaadi hogi

Shiva hairaani se ek ek karke sabki oor dekh raha tha dhara par uski nazar jaakar ruk gayi kyun chaliye thoda peeche

Flashback

Dhara shiva ke aage haath jodkar apna aanchal failakar boli :- Shiva aaj agar tujhse kuch maangungi toh dega mujhe

Shiva :- bhabhi aap aise kyun bol rahi ho aap bas order karo

Dhara :- order nahin shiva order nahin par kya jo main tujhse maangungi dega mujhe

Shiva :- bhabhi aap bas bolo

Dhara rote hue :- raavi se shaadi kar le Shiva

Shiva :- bhabhi aap kuch or maangti main khushi khushi de deta balki jaan bhi maangti na toh bhi de deta par raavi se shaadi

Dhara :- dekh Shiva jaanti hun tujhse teri zindagi ka sabse bada haq maang rahi hun par kya karun ek bachchi ki zindagi ka sawal hai shiva bachpan se iss ghar ki bahu banna chaahti thi woh dekh humare uppar ek ladki ki hatya ka paap lag jaayega ek ki galti ki saza pura pariwaar bhugtega tune toh dekha na usne kya karne ki koshish ki thi thodi der pehle (suicide 🙄) maan jaa Shiva please

Shiva :- karunga main uss maami ki behen ki beti se shaadi karunga bhabhi par aap aise mat roye

Dhara shiva ko gale lagate hue :- thank you shiva tu nahin jaanta tune aaj do do pariwaaro ki izzat bachane wala kaam kiya hai kahkar dhara Shiva se alag Hui

Dhara :- chalo gaumbi maama or maami ko bhi raazi karna hai or raavi ko bhi kahkar gaura wahan se gaye the or jab wapas aaye toh sirf suman ke kaan mein kuch bola tha dhara ne or phir jo Hua woh sabko pata hai

Flashback over

Ajeeb kashmaksh hai dil mein kai sawal hai
Ek ka hone wala humsafar ho raha Kisi or ka aaj hai

Okk byee

kuch nahin (On Hold) Where stories live. Discover now