3

183 12 4
                                    

Vivaah sampann Hua ab aap apne bado ka aashirwaad le lijiye pandit ji bole the  devishita or avish (raavi+rishabh)  mandap se utare the or ek ek karke aashirwaad liya (avish ne maama or maami ka) tha par Jab raavi suman ke pass jaa rahi thi toh rishabh ne uska haath pakadkar roka tha use or bola

Rishabh :- raavi tumhe unn logo ke saamne jhukkar aashirwaad lene ki koi jarurat nahin hai jinhe tumhari fikar hi nahin hai

Pehli baar shayad prafulaa ko aaj achcha laga tha ya yun kah lo ki khushi mili thi Jab raavi ne rishabh ki baat ka maan rakhte hue apne kadam wapas liye the or apni maasi ko gale lagaya tha or pandya family ki nazarein jhuki thi

Thodi der baad bidayi hone waali car aayi thi dono jodo ke liye ek car jahan raavi ke naam ke saath dev ka naam dil mein likha Hua tha jise rishabh ne phada tha or dev ke naam ko hawa mein uchala tha or jo dusri car uski khudki thi usne uss car mein raavi ko baithaya oor phir khud car mein baithkar wahan se chala gaya tha

Pandya family ko aaj se zyada sharmindagi shayad Hui ho pehle Kyunki iske turant baad hi janardan jo aa tapka tha wahan rishita ko apne saath le jaane par rishita toh aayi nahin uske saath par janardan ne dhamki di unhe ki woh pandyas ko barbaad karke hi chhodega or phir wahan se chala gaya or shaadi mein aaye log pandya pariwaar ko kitna kuch sunakar chale gaye bhayi sunaye bhi kyun na raavi  ki khushiyaan chhin li thi unhone ek ladki ke bachpan ke sapne ko kuchla sach jaante hue bhi ek ladki ko uske ghar se bhaagne par mazbur kar diya or uske rishte hi tutwa diye uski family se par kahte hai na

KUCH TOH LOG KAHENGE LOGON KA KAAM HAI KAHNA

Bas ab kya baatein suni or chupchaap nikal diye apne ghar ko

Dusri taraf

Raavi car mein baithi ro rahi hai abhi bhi uske saath kya se kya ho gaya yun achanak woh bas wahi yaad kar rahi thi or ro rahi thi ki rishabh bola

Rishabh :- rona ho gaya hai madam ya or rone ka mann hai

Raavi :-......
.

Rishabh ne car roki thi or raavi ki oor dekhkar bola :- dekho raavi tum agar yun hi roti rahi toh meri family mujhe bahut daategi or phir mujhse koi baat bhi nahin karega samjhi

Raavi ne apne aasun poche the apne haathon se or boli :- or woh log kyun daantenge tumhe

Rishabh :- Kyunki tum rote rote hi ghar pohchogi or woh log bolenge tumhe dekhkar ki tumhe maine rulaya hai gunda hun na unki nazaron mein main toh tumhse kahin jabardasti shaadi toh nahin kar li maine or phir meri mom mujhe pitengi or behen mere itne pyaar baalon ko kharab karegi or Papa mujhse mera phone chhin lenge

Raavi Thodi si muskurayi thi or boli :- aisi saza kaun deta hai tum na jhooth bol rahe ho

Rishabh :- sachchi agar yakin nahin hai toh rote hue hi pohcho or phir khud dekh lena kahkar rishabh ne car dubara start kari thi or raavi ko shaant dekhkar bola

Rishabh :- waise aise hi raha karo achchi lagti ho haan smile zyada better lagti hai tumpar or lagegi kyun nahin somnath ki sabse sundar ladki jo ho par iska matlab ye nahin hai ki tum hasogi bhi nahin Pehle hi bol raha hun mummy papa or sister ke saamne meri burayi mat karna baaki kuch bhi karo sab tumhara hai

Raavi :- hmmm

Thodi der baad rishabh ne apni car roki thi or raavi utri thi car se or boli

Raavi :- ye hai tumhara ghar

Rishabh :- haan ye hai humara ghar

Raavi ne rishabh ko dekha tha or chhoti si smile aayi thi uske face par dono aage bade the or Gate ke pass poche hi the ki rishabh ne raavi ko roka tha or apni jeb se chaabi nikal kar Gate ka lock khola tha

Raavi :- Gate mein taala kyun

Rishabh :- mummy ko nahin pasand khula hua ghar Jab ghar mein koi na ho toh tum ruko main abhi aaya kahkar rishabh ghar ke andar gaya tha or Thodi der baad raavi ko andar aane ko bola

Raavi andar badhi thi ki dekha rishabh pooja ki thaali haaton mein liye khada hai jameen par chawal se bhara Hua kalah kah lo ya lota hai usmein ek chaani ka sikka rakha hai or kalash ke aage thaali jismein alta hai or uske aage safed kapda
Toh aage toh aap samjh hi gaye honge ki kya hona hai

Raavi ne grahpravesh ki saari Rasmein complete ki or ghar ke andar entry li 

Nayi zindagi ki shuraat hai
Kisi ke liye khula aasmaan hai

Okk byee

kuch nahin (On Hold) Where stories live. Discover now