chapter 115

112 3 64
                                    

Chapter 115 :-
Aareeti,rayvan, snebhav :- theek hai papa/bhaiyya/debu/bade papa.

Baalpari :- baalveer ab aap sab ko jaldi se ghar jaana chahiye. Paani pari or karigar pari apne bachchon ke liye pareshan ho rahi hongi na.

Debu :- ji maa.
Then wo sab log wahan se teleport ho jaate hain or Ghar pohoch jaate hain.

Bharat nagar scene
Karuna :- ananya beta, payal beta kya tum dono ko sneha or bhavna ka pata chala? Or vivaan ka ki wo kis haalat mein hai?

Anayal :- nahi Karuna ji, hume nahi pata chala.

Khushi :- mummy aap ro kyun rahi ho? Bhabhi aap dono bhi? Kuch baat ho gayi kya?

Dadaji :- beta wo subah se sneha or bhavna ka pata nahi chala hai or uske baad Karuna ko bhi ajeeb sa feel ho Raha hai or vivaan ki tasveer bhi neeche gir gayi thi.

Khushi :- mummy inko ---

Snebhav :- mummy!!!!!!

Anayal :- sneha/bhavna!!?? Meri bachchi, kahan thi tum dono? Tumhe pata bhi hai ki hume kitni chinta ho rahi thi tumhari.

Devray :- arre Devi maata shaant!!! Inko mas-- mera matlab megha ne dhundha.

Payal :- megha ne kaise?

Vivi :- wo bhabhi, megha didi ne na hamari baat sunli thi toh jaake inko dhundhna shuru kar diya and ye dono megha didi ko inke school mein mili.

Anu :- school mein?

Bhavna :- haan chachi school mein, kyunki hamara basketball match pass aa raha hai na toh hum sab players school mein hi ruk kar practice kar rahe the.

Sneha :- haan mummy and aapko tention lene ki zaroorat nahi thi kyunki hamare saath teachers bhi the.

Karuna :- bolo nahi suno, inki baat toh samajh aa gayi lekin vivaan beta tujhe toh kahin chot nahi aayi na? Ya tujhe kuch toh hua nahi hai na?

Vivi :- huh? Mujhe kya hoga maa? Main toh bilkul chakachak hun.

Debu (whispering to vivi) :- shayad maa ko mehsus ho gaya hoga ki tum kisi musibat mein ho.

Vivi :- oh achcha aisi baat hai. (To Karuna) haan maa main theek hun. Mujhe kuch nahi hua hai.

Karuna :- haash!! Sunkar achcha laga.

Chintu :- vivaan!!!! Khushi di Neeti-- Aarohi!!???

Vishi and aareeti :- kya hua chintu?

Chintu :- hume jaldi se college jaana hai.

Khushi :- lekin kyun chintu?

Aaru :- oh shit!!!

Vivi :- kya hua?

Aaru :- sir ne sabko jaldi se bulaya hai, college ka group kholke dekho, and keh rahe hain ki it's really important and wahan sab hone chahiye and koi bhi bacha rehna nahi chahiye.

Vivi :- toh ab hum kya karen? Itni jaldi toh college pohoch sakte nahi.

Chintu :- sab apni bikes lelo, jald pohoch jayenge.

Vivi :- kaise?

Neeti :- abhe lullu prasad!! Tu bhool gaya kya ki tum sabki bike mein ek aisa feature hai ki tum sab kitni bhi speed par chalalo tumhe bilkul safely tumhari destination tak pahuncha degi.

Aaru :- haan, sahi hai idea. Lekin bikes toh sirf boys ke pass hai na.

Vivi :- girls, tum sab hamare saath hi chalna.

Aaru :- theek hai.

Vivi :- chintu tum jaake sab boys ko kaho ki apni bikes ke saath ready rahen, hum bhi aa rahe hain.

Childhood Love (Virohi Fanfic)Where stories live. Discover now