chapter 110 B

81 4 5
                                    

Chapter 110 B :-
Bambaal :- or ab tumhare pass tumhari shaktiyan bhi nahi bachi hain.

Birba :- haan kyunki mere ek waar se hi tum kamzor padne Lage the and uske baad apne hi waar se tumhari saari shaktiyan lagbhag khatm ho chuki hain.

Vivi (in mind) :- oh no 😥😥!! Ab bhaiyya ko kaise bataun main ki main yahan phas chuka hun. Mujhe bohot kamzori ho rahi hai, bhagwan ab bas aap hi madad kar sakte hain meri.

Veerlok scene
Aaru :- ab tak vivaan wapis kyun nahi aaya?

Neeti :- arre haan ab tak toh uska kaam pura ho chuka hoga na.

Debu :- mujhe kuch ajeeb sa lag raha hai. Mujhe toh vivaan ki urja bhi nahi mehsoos ho rahi hai.

Shaurya :- haan baalveer tum sahi keh rahe ho. Vivaan ki toh urja mujhe bhi mehsoos nahi ho rahi hai.

Ray :- kya?? Vivaan kisi musibat mein toh nahi hai na?

Shaurya :- mujhe nahi pata Ray. Baalveer vivaan toh aapse juda hua hai na toh aap apne veerchihn ki madad se usko dhundhiye.

Debu :- ji shaurya, koshish karta hun. (After few minutes) shaurya main nahi pata laga paa raha.

Dhwani pari :- baalveer main madad kar sakti hun tumhari.

Debu :- aap kaise karengi dhwani pari?

Bharat nagar scene
Karuna :- mujhe pata nahi kyun ajeeb sa lag raha hai. Kahin mere bachchon par koi musibat Naa aaye. Ek kaam karti hun apni dono bahuon ke sneha bhavna or apne chaaron bachchon ke naam ke diye jala deti hun.

Anu :- Karuna ji aap kya kar rahi hain?

Payal :- ji Karuna ji.

Karuna :- pata nahi kyun--- ye kaise gir gayi? (Saw vivi's photo lying on the floor) se bhagwan mere bachchon ki raksha karna. Ye vivaan ki tasveer neeche kaise gir gayi.

Anayal ek dusre ki taraf dekhte hain or mindlink karte hain.

Anu :- paani pari mujhe lagta hai hume veerlok jaake dekhna chahiye.

Paani pari :- haan ananya mujhe bhi ye hi lagta hai. (To Karuna ji) Karuna ji main or ananya aate hain abhi. Mujhe na apni behenon se milna hai.

Karuna (tensed) :- theek hai beta jaao. 
Then they both go from there and teleport.

Veerlok scene
Dhwani pari :- main ye pata laga sakti hun ki jo awaaz tumhe or vivaan ko aayi thi wo kahan se thi or ye bhi ki vivaan uske baad kahan gaya hai.

Anayal :- yaani hamara shak sahi tha.

Glimpse :-
Vivi in danger⚠️ + same as before!!!

Childhood Love (Virohi Fanfic)Where stories live. Discover now