chapter 112 B

86 4 15
                                    

Chapter 112 B :-
Ray :- dhundh lega nahi dhundh liya hai.

Birba :- tum yahan kaise aaye?

Baalveer :- jaise sab aate hain, or apne bhai ko bachane bhi aaye hain.

(Note :- Vivi can hear everything)
Vivi :- bhaiyya aa gaye, ab main kaafi jaldi bahar aa sakta hun or apni aaru se bhi mil sakta hun.

Neeti :- mera bhai kahan hai?

Birba :- birba naam hai mera, bigdi banana kaam hai mera, wo toh mujhe nahi pata ki tumhara Bhai kahan hai.

Aaru :- achcha? Toh phir ye anda wo bhi itna bada, jo tumhare peeche hai, kya kar raha hai?

Bambaal :- ye toh bas aise hi hai.

Vivi :- ye kya bol raha hai? Mujhe hi ab bhaiyya ko batana padega ki main hi iske andar hun.

Birba :- baalveer dhundho apne bhai ko nahi toh wo hamesha ke liye tumse dur ho jayega😈. Tumhara pass bass 3 ghante hi bache hain.

Debu (in mind) :- kya humne itna zyada wakt gawa diya? Nahi aisa nahi ho sakta, vivaan ko jald hi dhundhna padega.

Aaru :- Neeti debu bhaiyya bohot hi zyada tensed lag rahe hain.

Neeti :- haan vivaan ke liye tensed hain.

Vivi :- BHAIYYA!!! MERI AWAAZ AAP TAK AA RAHI HAI!!??

Devray :- ye toh vivaan hai!!

Aaru :- ye awaaz uss ande mein se aa rahi hai.

Dhwani pari (telepathy) :- baalveer hume iss gole ko veerlok lekar jaana chahiye jisse hum vivaan ko azaad kara sake.

Baalveer :- haan dhwani pari, aap Aarohi or Neeti kisi bhi tarah se vivaan tak pohocho main or Ray inko sambhalte hain.

Dhwani pari :- theek hai baalveer, chalo Neeti Aarohi.

Aareeti :- chaliye dhwani pari.

Birba :- dekho baalveer tumhare saare saathi toh chale gaye, ab humse kaise ladoge?

Baalveer :- jaise ladta hun, waise hi ladunga or ab tum sabko humse koi nhi bacha sakta.

Ray :- or hum apne bhai ko bacha ke bhi jaayenge.

Bambaal :- bada hi ghamand hai tumhare andar.

Devray :- ghamand nahi aatm-vishvas hai.

Vivi (in mind) :- ye log aise hi wakt zaahir karte rahenge ya mujhe-- (loudly) aah, ye achanak se hilne kyun laga.

Dhwani pari :- vivaan tum chinta mat karo, ye hum sab hain tumhe veerlok lekar jaa rahe hain.

Aaru :- haan vivaan shaurya tumhe bahar nikaalne ka koi tareeka zaroor denge.

Vivi :- achcha!! Lekin yaar sambhalkar mujhe chot na lag jaaye.

Glimpse :-
Vivi got saved!!

Childhood Love (Virohi Fanfic)حيث تعيش القصص. اكتشف الآن