Chapter 6

152 16 4
                                    

Days are passing just like that and with each passing day yuvraj and adhira's bond grew stronger they both came so close to each other, initially they were strangers but now they both are best buddies but for adhira it's all about her love and she also confessed her love to priya saying she is in love with Yuvraj. Listening this priya was so happy and was waiting for the day when she confesses her love to yuvraj.

At the other side yuvraj was also restless because somewhere he knew that there are only limited days that are left with adhira and after that she will leave the house and most importantly he was scared that she might forget him, because he did not want her to forget him. He was so used to by her presence that he was behaving weirdly nowadays.

Vasundhara: Kya hua bacche aaj kal itna khoye khoye kaha rehte ho?

Yuvraj: Pata nahi maa bahut kuch ajeeb sa ho raha hai kuch samajh hi nahi aata ki kya karu? kisi kaam mein mann hi nahi lagta.

Vasundhara: Okay! this is something serious kyunki maine aaj se pehle THE YUVRAJ MATHUR ko itna confused kabhi nahi dekha. Kya hua hai?

Yuvraj: Agar main aap se sach sach kahu toh aap hasogi toh nahi and promise me ki yeh baat sirf hamare beech rahegi.

Vasundhara: (smiles) Accha baba promise ab batao kya hua hai?

Yuvraj: Phele muhje lagta tha ki yeh film stars and unki duniya bahut hi fake hai inn logo mein koi emotions nahi hote bas sab dikhawa hota hai par pata nahi kyun jab se adhira se mila hoon sab kuch badal sa gaya hai. Mera opinion, meri soch aur mera nazariya, I mean maine usse bahut kareeb se dekha hai and jaisa main sochta tha vo bilkul vaisi nahi hai infact meri soch se bahut alag hai.

Vasundhara: Haan toh yeh acchi baat hui na ki tumhara perception change hua and tumne apni soch badli ismein itna pareshaan hone wali kya baat hai.

Yuvraj: Maa aap samajh nahi rahi hai adhira kuch dino mein chali jaayegi aur yeh khayal ki vo chali jaayegi muhje bechain kar raha hai. Aur iss bechaini ki wajah main samajh nahi paa raha hoon.

Vasundhara: (she smiles and patted his head with her hands) Iss bechaini ko pyar kehte hai jo tumhe adhira se hai, samjhe mere buddhu laal.

Yuvraj: (he was shocked with the statement) Maa aisa kaise ho sakta hai main aur pyar vo bhi adhira se? aap mazak kyun kar rahi hai mere saath.

Vasundhara: (she chuckles) Maa hoon main tumhari apne bete ko bahut acche se jaanti hoon tumhari aankhon mein jo chamak aati hai adhira ko dekh ke, tumhara yun bewajah musukrana uska naam sunke aur iss tarah bechain hona yeh soch ke ki vo yaha se chali jaayegi. Tumhi thay na jo nahi chahte thay ki film ki shooting hamare ghar mein ho and jab se tum adhira se mile ho maine tumhe ek baar bhi chidte hue nahi dekha, ek baar bhi tumhe complain karte hue nahi dekha infact tum har subah ka intezaar karte ho yeh soch kar ki kaise tum apna din adhira ke saath spent karoge, muhjse roz do cup coffee banwate ho taaki adhira ke saath share kar sako, chupke chupke uski tasveere banate ho uska har reaction tumhe affect karta hai uski har baar tumhe affect karti hai. Ab bhi yahi kahoge ki yeh pyar nahi hai.

Yuvraj: Aap muhj par spy kar rahi thii kya itna sab notice kab kiya aapne?

Vasundhara: I am your mother MR. MATHUR so never ever underestimate my capability.

Yuvraj: (saluting) YES MA'AM!

Vasundhara: So are you agreeing that you are in love with her?

Yuvraj: (smiles brightly) Definitely YES!!! I AM IN LOVE WITH HER!!! I LOVE ADHIRA!!!!

Vasundhara: Finally mere iss buddhu aur sadu bete ko akkal toh aayi toh batao adhira ko meri bahu bana kar kab laaoge?

Aapke Aa Jaane Se! ✓Where stories live. Discover now