Chapter 67

1.5K 244 22
                                    

✨Happy Diwali Guys✨

Tejasswi apni aankhein ponchti hai aur apne room mein wapis aakar sone ki koshish karti hai.
Karan call par jo kaha woh shyed, kafi hadd tak sahi tha.. par Tejasswi iske bare mein sochna nahi chahti thi.. abhi toh bilkul bhi nahi.. par baar-baar usse flashbacks aa rahe the.. aur Karan ki baat sahi lag rahi thi..
School mein Uska ignoring ka silsila.. poora 33 din tak chala.. School mein Valentine week boht ache se celebrate kiya gya tha.. STUDENTS KE DWARA
Sabne khoob chup-chup kar chocolates diye.. teddies diye.. promises kiya.. hugs and kisses kiye... par Tejasswi ka toh rookha-sookha hi tha. Chocolate day wale din bas doston ne chocolates diye. Aur kar kara ke Valentine week khatam ho gya.. Exam mein bas 17 days baki the. Sab ab padhne mein lag gye the Even Tejasswi bhi.
Woh apne ek classmate shekhar ko English ka padha rahi thi.m kyon ke first exam English ka tha..
Most of the class bahar dhoop mein baithi padh rahi thi..
Tejasswi ko dhoop zyada achi nahi lagti thi, winter ka fayda kya huya.. agar dhoop mein hi baithna hai.. aisa uska maan-na tha.
Tabhi uski class mein Karan aa jata hai. Jo uske bench ke paas aata hai "Shekhar... Umar ko dekha kahin??"

Tejasswi sir ooper utha ke dekhti hai.. uske face par koi reaction nahi tha.. aur Karan toh usko dekh bhi nahi raha tha..
"Woh shyed Devoleena ke sath Bathroom wali side gya hoga.." Shekhar replied.
Aur Karan wahan we chala jata hai.

Tejasswi ko thoda sa ajeeb lagta hai.. par ab woh kar bhi kya sakti hai.. wahi toh ignore kar rahi hai..
Kuch samay baad wahan Umar, Devoleena aur Karan sath mein aate hain..
Umar ki nazar Tejasswi par padti hai.. "teja... tum yahan kya kar rahi ho???" Umar uske paas aakar bolta hai.

'Shekhar ki help kar rahi thi iss chapter mein.." Tejasswi jawaab deti hai.

"Kya tum aur Shekhar room se bahar se jaa sakte ho please???" Umar request karta hai.

Tejasswi ghoor ke usse dekhti hai.. Umar ke chehre se usse samjh aa gya tha ke woh kya kehna chahta hai.. "okay... chalo Shekhar, hum bahar chalte hain.."
Aur woh wahan se chali jati hai.

Karan room ke bahar khada ho jata hai.. aur Umar Devoleena ke sath andar tha. They were kissing for obvious.. kisi ko toh bahar khadna hi tha.. security ke liye😂

Bahar Pratik... Tejasswi ko dekh kar uske paas aa jata hai "tum aaj galti se bahar kaise aa gyi???"

"Umar ko aashiqi jo karni thi.." Tejasswi replies.

Pratik has padta hai "aur bahar kise khada kiya???"

"Karan ko!!!"

Yeh sun kar Pratik haste huye bhaag ka Karan ke paas jata hai.. aur woh zabardasti se Tejasswi ko bhi kheench laya tha..
"Kyi be??? Tu kab se Z Security ban gya?? Tujhe toh boht dikkat thi iss sab se!!!"

Karan, Pratik ko dekhta hai.. "jaise tum... Sahil ke liye karte ho.. vaise main itna toh Umar ke liye kar hi sakta hoon!!! Vaise bhi last year usne mere liye boht kiya tha!!!"

Tejasswi chup-chap unko dekh aur sun rahi thi.
"Haan.. tu aur Akasa... ab kahan hai woh??" Pratik asked.

"Pta nahi, kabhi baat nahi hui yaar!!!" Karan replied.

Tejasswi unki baaton mein involve nahi hona chahti thi toh woh jaane hi lagti hai ke Karan ussi se sawaal kar deta hai "kitna padh liya English ka???"

Yeh sun kar Tejasswi uski or dekhti hai "almost sara..."

"Boht padhaaku hai yeh." Pratik replied.
Aur phir woh chali hi jaati hai.

Issi silsile mein exam start ho gye the... 3rd exam Hindi ka tha..
Karan ne bhi Computers ki jagah Hindi li thi.. toh yeh last time tha ke Tejasswi Karan ko dekhegi.. kyon ke iske baad woh Science wale students apne ghar jaane wale the.
Aaj usse zyada acha nahi lag raha tha.. kyon ke Karan jaa raha tha..
Hindi ka exam bhi ho jata hai.. lunch ke liye woh sab Mess mein jaate hain.. wahan par sirf 12th ke students the.. jinhone exam diya tha.
Karan bhi apne doston ke sath baitha tha. Umar, Tejasswi ko awaz dekar.. apne wale table par bula leta hai..
Tejasswi, Karan ke bagal wali chair par baith jati hai.. kyon ke wahi khaali thi.
Woh sab baatein kar rahe the..
Tejasswi beech-beech mein Karan ko dekh leti thi.. par Karan ne usse ek baar bhi nahi dekha aur naa hi usse koi baat ki.

Lunch khatam hote hi.. Devoleena, Karan ko gale laga leti hai "I will miss you.. Karan"

"Me too..." Karan replied.

Tejasswi uski or dekhti hai "tum sach mein jaa rahe ho???" She asked.

"Haan... jana hoga!! Mera last exam 17 din baad hai.. toh" Karan jawaab deta hai.
Science wale students 17 din baad bas exam dene aa jayenge.. wahan par faaltu mein hostel mein rehne ki koi sense nahi thi.

Karan apna hath aage badhaata hai.. Goodbye habdshake ke liye.. Tejasswi uski or dekhti hai aur woh hath mila leti hai..
"All the best for your future Tejasswi" Karan usse wish karta hai.
Aur aise hi woh chala jata hai.
Tejasswi kuch nahi keh paati.. ya kehna hi nahi chahti thi.. woh chala gya...
Ab jab woh aankhon ke saamne hi nahi tha, toh uski zyada yaad bhi nahi aayi.. warna.. break ke time, assembly mein.. school mein.. har time ek wait sa rehta tha.. Karan ko dekhne ka.. par ab intezaar toot gya tha. Woh kahin bhi nahi tha!!!

March ke end tak Tejasswi ke exams bhi khatam ho gye the.. woh apna sara samaan pack karti hai.. aur saare doston ko bye bol kar.. chali jati hai.. usse hostel se lene uska bhai aur mom aaye the.
Tejasswi school ke gate se bahar nikal kar.. school ke jee bhar ke dekhti aur ek gehri saans leti hai..
"Jo jahan huya.. usse yahin rehne diya jaye.. nyi jagah par jaakar.. wahan ka banna hai.. Crush bhi nya dhoondhna padega!!!" Tejasswi khud hi se baat karti hai.. aur phir chali jati hai.
Uska school time yahin par khatam ho gya tha..

Vaise toh Karan ke sath bhi sab khatam ho jana chahiye tha.. par Tejasswi ne aisa hone nahi diya.. woh usse apne mind mein hi lekar sath sath chalti rahi..
Universe ne finally uski sun kar.. Karan se milwa diya.. boht time lag gya.. par woh mil gye!!
Aaj cheezien thodi bigad gyi thi.. Tejasswi ne past ko itna hold karke rakha tha.. specially Karan ko.. ke Karan ne relationship se hi break le liya..

Subah ho gyi thi..
Tejasswi ke Maa usse idhar-udhar ki baatein kar rahi thi par Tejasswi lost thi.. usse apne relationship ki chinta ho rahi thi.
Tabhi uski Maa usse baat karti hai "Tejasswi, beta maine raat tumahare bare mein kafi socha.. aur main uss ladke se khud baat karna chahti hoon, agar acha lagega.. toh tumahare papa se baat karoongi!!!"

"Theek hai, Maa..." Tejasswi bas jawaab de deti hai.

"Haan toh, karo phone..."

"Abhi????" Tejasswi thoda hairaani se poochti hai.

"Haa... shaam ko toh main chali jaaoongi naa!!!"

"Woh abhi office mein hoga, lunch break mein karwa doon???" Tejasswi explain karti hai.

"Theek hai.."

Tejasswi tabhi wahan se chali jati hai aur seedha Karan ko phone karti hai..
Karan uska phone nahi uthaa-ta, text kar deta hai 'abhi busy hoon.. talk to you later."

Tejasswi bhi text karti hai "it's urgent"

"Okay... 20 mintue wait karo.." Karan ka reply aata hai.

Karan apne office mein files vgera padh raha tha.. Tejasswi ka text dekh kar woh sochne lag jata hai ke ab kya huya hoga!! Tejasswi ko school time ki koi baat yaad toh nahi aa gyi hogi? Woh jhijhak raha tha baat karne ke liye.. par baat toh karni hi hogi...
Woh sare files side par rakh kar call back karta hai.

Toxic (Tejran)Where stories live. Discover now