Chapter 47

2.2K 213 17
                                    

Pratik aur Umar ki date wali baat sun kar Jay boht khul kar hasta hai aur Shamita ke paas baith jata hai.. "tumhe pta hai!! Mujhe lagta tha.. ke Karan aur Umar date kar rahe hain!!! Tum believe nahi karogi.. hostel mein yeh poora time sath rehte hain.."

Tejasswi, smile karte huye Karan aur Umar ko dekhti hai.. she knows.. ke woh dono best friends hain!!!
Umar chidte huye "bhai.. main sirf Devoleena ko date kar raha hoon... Pratik aur Karan mere yaar hain!!! Pakke wale!!! Main Gay nahi hoon.... I am straight!!!!"

Umar ki daleel sun kar sabko aur bhi zyada hassi aa jati hai... ke woh safaayi de raha hai!!!
Karan haste huye Umar ki gaal kheench deta hai "jhooth kyu bol rahe ho?? Kal toh mujhse vaada kiya tha.. ke teri meri ek baat hai!! Ajj bc Devoleena ka ho gya???"

Tejasswi pehli baar Karan ki yeh wali side dekh rahi thi.. funny!!! Woh tease bhi karta hai!!
"bhai kyu tu teen ladkiyon ke saamne izzat utarwaa raha hai!!! Thodi toh sharam kar le!!!" Umar defended himself.

"Sharam kis baat ki, sach toh sach hai Umar!!!" Tejasswi teased again.

This was fun... Par Karan ne Tejasswi ko ek baar bhi nahi dekha!! Tejasswi ko aaj iss baat ka bura nahi laga!! Par toh completely usse hi dekh rahi thi..
Tabhi break time khatam ho gya tha!! Aur sare students apni-apni classes ki or jaane lagte hain...
Karan bhi Umar aur Pratik ko bye bolta hai...
Shamita iss hath pakad kar khdi ho jati hai.. Karan rashmi ki or smile karta hai.. aur at last Tejasswi ko dekhta hai... dekhna hi padta hai... aur uski taraf bhi smile karta hai...

"Bye Karan... kal ko phir aana!!!" Tejasswi jaan-boojh kar bolti hai...

Karan phir se smile karta hai... par kuch kehta nahi!!! Toh Jay bolta hai "tum poocho mat Teja... aaj isse boht mushkil se kheench kar bahar laya hoon!!! Aata hi nahi!!!"

"Bhai woh padhne wala ladka hai..." Umar take his side..

"25 mintue se kya ho jayega??" Tejasswi asked.

Karan ab ache se usse dekhta hai.. "har mintue ki keemat hai!!!"

"Poore din se 25 mintue toh chura hi sakte ho!!" Tejasswi replied.

"Arts li hoti toh, zaroor!!!"

Yeh sun kar Umar ghoor ke usse dekhta hai "kya matalb??? Arts!! wale padhte nahi kya??"

"Tu ab yeh hostel mein clear kar lena!!!.. ab jaane de yaar" Karan said.

"Han.. saamne toh baat karne ki himmat nahi!!" Tejasswi taunted him.

This was really too much... Karan unkahi nazar se Tejasswi ko dekhta hai.. pta nahi kya soch raha tha... par kuch kehta nahi!!!... bas chala jata hai!!

Umar, Rashmi, Pratik aur Tejasswi bhi apni class mein aa jate hain..
Umar dheere se Tejasswi ko bolta hai "tumne usse cheda kyu???"

"Karan ko???" Tejasswi clears

"Aur kiski baat ki maine???"

"Maine kab cheda???"

"Toh woh aur kya tha??"

"Nahi... main toh baat clear karne ki koshish kar rahi thi.. attitude dekha tha uska??"

"Woh thoda gusse wala hai!! Ab tum bach ke rehna.. tumhe karaara jawaab milega!!!" Umar warned.

"Dekhte hain..." Tejasswi smiled.
Deep down Tejasswi ko pta tha.. ke nazrien toh milayi nahi jati.. Jawaab toh boht door ki baat hai!!! Woh uske paas bhi nahi aayega!!!

Tejasswi yeh sab baatein soch kar smile kar rahi thi.. ke school mein sab kitne pagal aur stupid hote hain.. kisi ko bhi akal nahi hoti.. except her... she was 16 at that time.. par usmein boht maturity thi compare to others... Tejasswi ko Karan ki yaad aa rahi thi, ab toh school ki memories bhi kam pad rahi thi... toh woh usse video call karti hai...
Karan aadha neend mein tha.. jab uske phone ki Ringtone bajti hai... It's Tejasswi...
Woh aankhein bina khole hi phone pick kar leta hai.. Tejasswi ko kuch bhi nahi dikh raha tha "Karan???? Where are you??"

"Haan... bolo...."

"Andhere mein kyu ho???"

"I was sleeping Tejasswi, kya huya??"

"Ohhh shit... am so sorry...."

"Haan.. ab batao..?"

"Kuch nahi bas tumahari yaad aa rahi thi..."

Karan yeh sunte hi lights on karke Tejasswi ko dheyaan de dekhta hai "seriously???"

"Haan...."

Karan phir se lights off kar deta hai.. "subah ke 4:08 bjj rahe hain!!!!"

"I know... par meri neend khatam ho gyi thi, aur mujhe tumahari yaad aa rahi thi.. school ki memories thodi painful thi toh aage kuch yaad nahi kiya... tumhe pta hai.. I've always missed you.. itna mann kiya hai na.. tumhe call karne ka!!! Par kabhi kar nahi paaayi... ab kar rahi hoon.."

"Itna time wait karke khud ko control kiya hai.. toh 2 ghante aur leti!!!"

"Ab main kyu wait karoon???"

"Mere uthne ka!!!!"

Tejasswi ko Karan ki awaz se lag raha tha ke woh irritate ho gya... hoga bhi kyu nahi? Jab koi aapki neend kharaab kar de... bina wajah ke bura toh lagega hi!!! "Acha.. tum so jao, phir baat karenge!!"

"Okay.. good night..." itna keh kar Karan phone rakh deta hai!!!
Tejasswi dobara sone ki koshish karti hai..

Toxic (Tejran)Where stories live. Discover now