"Baba ne is friday ko party rhaki he ma usko invite karon ga to ap phir..."

Taimur ne uski bat adhuri hi rehne di.

" Aary bhai mang lun ga ma mafi!!"

Dono muskurae thy.

_____________________

" Maa."

"Je beta??"

Aaima jo apni maa ki goud pe sir rhake bheti thi kuch yaad ane par unhe pukari thi.

" Maa baba ke koi dost thy Zia naam ke??"

" jee par apko kese pata.ap to tab bhot choti thi."

"Jee muje to nhi yaad tha but wo mile thy muje Irha ke nikkah ke functoin par darasal chachu ne hi btya tha ke wo baba ke dost hain."

" Dost kaam bhare bhai zada thy wo beta."

" par many to nhi suna unke bary main ap se ya dhekha unhe kabi."

"Beta zindagi main masrufiyat hi itni hoti hain na mene zikar keya na unka ana hova ho ga.lekeen Taiba unki wife bhoot achi hain .unse mili ap??"

Wo to nhi mili thi .or jese kuch paheliyon ko soljane lagi.

" mama apko aik or bat btaon Zia uncle Zaviyar ke baba hain."

"Ary wah .Ye to achi bat hovi bhot."

" but mama Zaviyar ki mama ki to kafi arse phele death ho gai he usne btya tha."

" Allah."

Zainab ne afsus keya tha.or saat hi andaruni darwaza pe dastak hovi thi.

" Chachu hon ge ma dhekti hun."

Aaima kehti darwaze ki taraf bhari thi or darwa khula to uska andza sach sabit hova Usman apni began or apne bete Arhan ke saat khare thy darwaze par."

"Assalmu alikum,kese hain saab??"

Aaima piyar leti khushi se boli thi.

"Allhumdulillah sab theek hain ap sunao kesi ho meri beti."

Usman ne bhot shafkat bhare andaz main pocha tha.

Kuch dair yiun hi salam dua or kheriyat ka charcha raha.

"Beta functoin se jaldi kiun aa gai thi??"

Aaima ki chachi ne pocha tha.

"Bus chachi subha jana tha na is leye."

" jhoti bus bhagne ki pari thi ise apni dost ke saat."

Arhan daant nikalta bola tha.
Or Aaima ne juwaban ghora tha.

" chachu ma chai le kar ati hun."

Aaima ne baat badli thi.

" han beta itne din ho gaye tumhre haat ki maze dar chai nhi pi, bhot achi banati ho."

" or aata hi kia he apki ladli ko chai bana ne ke ilwa."

Dil e Nashad Место, где живут истории. Откройте их для себя