" taimur mane ap se pocha to nhi he jo ap muje bata rahe ho k apko nhi jana."

Taimur ne ya sun kar shukar ka sans leya tha .

"thanku baba muje laga muje b jana ho."

"beta mane apko bataya he pocha nhi he.Apko jana ho ga nhi apko jana he."

" Baba ye kia baat hovi ma nhi jana chata or wase bi mare jane se kia farak par jae ga ap dono chale jana na plz . "

Farak to parna tha magar shadi pe nhi uski apni zaat pe. Ya baat wo khud bi nhi janta tha.

" ab taiyar rhena Friday wale din okk. Or ma ab is bary main or baat nhi karna chata . ghar ja raha hun main Allah hafiz . "

Zia itna khe kar apne cabin sy bahir aa gae thy. Wo jante thy k taimur ab mana nhi kare ga.

_______________

Teen dino ka pata bi nhi chala tha. Aaima or zaviyar dono hospital main bhot busy ho gae thy. Taimur us new project mian musruf ho gaya tha.Or is trha in teen dino ka pata nhi chala.Aj friday tha. Zainab ny Aaima ko chotti lena ka kaha tha.Wo chotti nhi lena chati thi.Magar kuch kar bi nhi skti thi majboran usy chutti leni pari thi.Dusri taraf Zaviyar bi Zia ko chutti na karne ke leye mana raha tha magar unke na manne par Zaviyar ne apna akhari hatteyar dalte Taimur se madat mangi thi.Taimur ne us chez ka ak haal nikala or Zaviyar ko sida hospital se function pe any ke leye kaha yiun Zia bi man gae thy or Zaviyar bi.

Aaima jaanti thi aj ke function main koi usy company dene wala nhi hoga Usman ki family k ailava koi Zainab or Aaima se baat tak nhi karta tha .

"Irha ka aj nikka he wo muje kase company de sakti he rahi baat Arhan ki wo b nikka ki preparation main musruf ho ga ma waha kia karun gi tum aa jao na plzzz Zara tuumhe hamari dosti ka wasta he plz."

Aaima abi Zara se baat kar rahi thi . Apni best friend se. Zara k bad Aaima ka phela friend Zaviyar bana tha.Ya sun kar Zara heran zada or khush kaam hovi thi .

" Yaar tum bi docter ho tum janti ho na chotti karna kitna mushkil he."

Zara ne jaise wazahat dena chai thi.

" to chotti ka kon khe raha he raat ko 8 baje he na function or wase bi log late hi aate he tum 9 bajye tak aa jana na plzzz."

" acha je.Yaad aya tum apne dost ko kaho na itne din se ma yaad nhi ai us k saat bhot ghul mil gai ho. Muje batya he khala nek wo ghar b
Aya tha.Usko kahao."

" yaar tum pagal ho . Or waise usko bi kahi jana hy. Is leya nhi kaha wrna agar ma kheti to wo aa jata tumhari tarha nhi he wo."

" aa rahi hun or us langur se b milva na muje kabi ma be dhekon Kis k itni hemmat he jis ne is larki ko dost bana leya. "

"dost nhi bhai he mera."

" wah je wah bhai tak rishta aa pouncha he."

" or han tumhari jaga koi nhi le skta Zara."

Dono muskuraien thien.

Zara abi baat kr hi rahi thi jab usy kisi nurse ny emergency ka btya tha or usny Allah hafiz kar k call kat di thi . Aaima b ab hospital k leya nikal gai thi ghar se.

Dil e Nashad Where stories live. Discover now