20. PIHU, MY PRINCESS

307 25 8
                                    

As soon as Purvi entered inside her house, a little girl hugged her from her legs. Purvi smiled brightly. She then sat down so that she can see the little girl's face. Purvi kisses her cheeks.

Little girl (smile) : Mumma.. Aap Pihu ko akele chod ke kaha gayi thi..?

Abhijeet (pov) : Mumma..? Iska matlab Purvi ne vakai mei Arjun se shaadi ki hai.. Lekin vo yaha Singapore mei kyun hai..? Arjun ke saath kyun nahi hai..?

Purvi : Pihu, mumma kaam karti hai na.. Isliye mumma kaam karne gayi thi..

Pihu : Mumma.. Pihu aapki kya lagti hai..?

Purvi (smile) : Pihu meri princess hai.. My whole world bhi..

Pihu (innocent) : Aapko pata hai mumma.. Abhi thodi der pehle jab mai so rahi thi na tab maine ek bura sapna dekha..

Purvi (sad tone) : Oh.. Kya dekha aapne..?

Pihu (innocent) : Ek kaala saaya mujhe aap se dur le jaa raha tha.. Mai bahut zor se chilla rahi thi ki mujhe mumma ke paas hi rehna hai lekin saaye ne meri baat nahi suna..

Purvi just hugged her princess tightly & said..

Purvi : Aapki mumma aapko chod kar kabhi nahi jaayegi beta..

Pihu : Promise..?

Purvi : Promise..

Pihu : Mumma mai bahar khelne jaau..?

Purvi : Thik hai lekin ghar ke bahar bilkul mat jaana.. Ok..??

Pihu : Ok mumma..

Purvi smiles & then she went inside kitchen to make some food as her princess may be hungry at any time. Pihu came outside & saw Abhijeet standing infront of the door at some distance.

Abhijeet (smile) : Idhar aao beta.. Pihu comes near him.. Aapka naam kya hai..?

Pihu : Mera naam Pihu hai..

Abhijeet (smile) : Achchha.. Bahut pyaara naam hai.. Achchha, aap kitne saal ke ho..?

Pihu (smile) : Mai 6 saal ki hu uncle..

Abhijeet (smile) : Aapke papa kaha hai..?

Pihu (sad) : Papa kaam karte hai na isliye vo hamare saath nahi rehte.. Mumma kehti hai ki papa bahut zyada kaam karte hai aur vo sabse achchhe hai.. Lekin mujhse milne aate hi nahi..

Abhijeet (smile) : Koi baat nahi beta.. Aap jaake khelo.. Papa aapse milne zaroor aayenge..

Pihu : Ok uncle.. Bye..

Abhijeet : Bye..

Pihu gets busy in playing while Abhijeet decides to make sure that Pihu meets her father no matter how much time it takes. He leaves from there.

Abhijeet (pov) : Purvi yeh sab kya ho raha hai..? Tumne agar Arjun ke saath shaadi ki hai tho phir yeh lukka chupi kyun..? Tum seeda Arjun se milkar yeh sach kyun nahi keh deti ki tum dono ka ek beti hai..?

Abhijeet sighs because he can't talk to Purvi about Pihu for right now because if she gets to know that Abhijeet knows the truth about her daughter then she might run away from everyone again.

Abhijeet (mind) : Nahi.. Ek baar Purvi agar kahi jaati hai tho uske baare mei pata lagana itna asaan nahi hai.. Mai abhi Pihu ke baare mei kisi ko kuch nahi kahunga..

On the other hand, Kavin was working in his company. Suddenly, he got a call from someone. He saw the caller ID & a small smile crept on his face.

Kavin : Ishita..

Ishita (low tone) : Kavin tum kaise ho..?

Kavin : Mai thik hu.. Dushyant aur tum kaise ho..?

Ishita : Hum dono bhi thik hai..

Kavin : Dushyant tumhara achchhe se khyaal tho rakh raha hai na..?

Ishita (smile) : Vo kab mera khyaal nahi rakhta hai..?

Kavin (sad) : Dushyant aas paas nahi hai isliye call kiya na tumne..

Ishita (sad) : Kavin tum tho jaante ho ki Dushyant...

Kavin (sad) : Jaanta hu Ishita.. Sab meri galti hai..

Ishita (sad) : Nahi Kavin.. Aisi koi baat nahi hai.. Galti Dushyant ki bhi hai.. Unhone gusse mei is tarah ghar chod kar nahi aana chahiye tha..

Kavin : Mujhe khush karne ke chakkar mei Dushyant ko bura bhala keh rahi ho..?

Ishita (smile) : Bade ajeeb bhai ho tum dono.. Naraaj hote ho ek dusre se lekin bahar wale aake kuch bhi bura bhala bolta hai tho bhaichara start kar dete ho..

Kavin smiles lightly as he remembers how Dushyant used to fight with everyone if any one said something about Kavin.

Ishita : Achchha Kavin.. Ab mai rakhti hu.. Dushyant ab kabhi bhi aa sakte hai..

Kavin : Thik hai Ishita.. Apna aur Dushyant ka khyaal rakhna..

Dushyant was standing behind Ishita. He knew that she was talking with Kavin but he didn't said anything to Ishita. She saw him standing behind her. His face clearly said her that he already listened to her talks.

Ishita (mind) : Dushyant ab ghar chaliye na.. Kab tak aap is tarah Kavin ko aur dard denge..?

She sighs because the next moment she understood that Dushyant will not be going to his house (where Kavin is there). She just followed him silently.




BEYHADHWhere stories live. Discover now