15. ATTACK ON RAGHUNATH ?

254 21 3
                                    

5 years passed by & there was no news about Purvi or Chitrole from that day. Everyone stopped searching for Purvi as Kavin was really very angry on Dushyant that day.

After 2 days of their fight, Kavin met a girl named Sneha in his company. Both became good friends. One day, Sneha came to meet Raghunath & Kavin who were sitting in the outhouse.

Dushyant called Kavin because of some urgent work, so he left. When Kavin returned back, he saw that Sneha was standing near the door with a scared face. She tried to say something but her voice stuck in her mouth. She just directed towards the outhouse.

Kavin opened the door forcefully & saw that Ramesh was about to kill Raghunath. Kavin stopped Ramesh from behind. At that time, Dushyant & Ishita also came. Ishyant were asked to present in the outhouse as Raghunath wanted to discuss about the company.

Kavin (angry) : Yeh kya kar rahe hai aap..? Pagal ho gaye ho..?

Ramesh (angry) : Kavin, aaj mujhe mat rokna.. Aaj tho mai inki jaan leke rahunga.. Aur agar beech mei aaye na tho mai tumhe bhi maar dunga aur is baar tumhe bachane ke liye Purvi bhi nahi aayegi...

Dushyant : Purvi..? Ab Purvi kaha se aa gayi..?

Ramesh (angry) : Kavin chodo mujhe.. Varna mai tumhe is baar maar dunga.. Pichli baar party mei bach gaye Purvi ki wajah se, lekin ab nahi bachoge..

Raghunath : Party..? Kaunsi party..?

Kavin (surprised) : Purvi ne mujhe bachaya tha...?

Ramesh : Ha.. Lekin ab mai tumhara jaan le lunga.. Taaki inhe pata chale ki apnon ko khone ka dard kaisa hota hai..

Ramesh (to Raghunath) : Aap ne achchha nahi kiya.. Pehle aapne mujhse vo saare kaam kar waaye jo aap chahte the aur maine majburi mei aake jab ek kaam karne se mana kar diya tho aapne mere pure pariwaar ko hi khatam kar diya..

Raghunath : Kya bakwaas kar rahe ho..?

Ramesh : Jhoot mat boliye.. Mujhe achchhe se pata hai ki aap ne hi Dr saab ko paise diye the jiski wajah se Purvi ki maa ka operation nahi ho paaya aur vo mar gayi hai..

Everyone except Raghunath & Ramesh were shocked. Ramesh was so angry so he kept on saying things....

Ramesh : Aapka beta Kavin bhola ho sakta hai mai nahi.. Aapko kya lagta hai saab aap mujhe kuch bhi bolenge aur mai aapki bete ki tarah chup chap vo maan lunga... Nahi, yeh aap ki galat fehmi hai.. Mujhe pata hai ki Purvi ne Kavin se kitna pyaar kiya tha..

Ramesh turns towards Kavin, looks into his eyes with hate holding his collar..

Ramesh : Kavin kitne bade bewakoof ho tum.. Tumhe akal hi nahi hai.. Kabhi apne dimaag ka bhi istemaal kar lete tho shayad aaj apne baap ke kiye hue saazishon ka shikaar nahi hote.. Aaj tumhara pyaar tumhare paas hota.. Aaj mai tumhe vo saare saazish batata hu jo tumhare baap ne racha..

Kavin : Kaisa saazish..?

Ramesh : Himmat hai tho suno...

Ek din tumhare papa tumhare school aaye the tumse milne.. Vo car se nahi aaye paidal chal kar aaye tumhe surprise dene.. Us din unhone tumhe aur Purvi ko ek saath dekha, unhone Purvi ka pura biodata nikalwaya hai.. Aur jab unhe yeh pata chala ki Purvi gareeb hai aur vo apni maa ki ilaaz karwaane ke liye part-time job karti hai tab inse raha nahi gaya..

Unhone kuch din tum dono pe nazar rakha aur uske baad vo aadhi raat ko Purvi ke ghar gaye aur use paison ka lalach dekar tumse dur karwaana chahte the.. Magar Purvi ne na vo paise liye aur na hi usne tumhe choda.. Usne inse seeda seeda keh diya ki vo apni aakhri saans tak tumhe nahi chodegi..

Phir chup chap yeh ghar aa gaye.. Phir outhouse mei pata nahi kya kiya.. Bas kuch ghanton ke baad yeh office aaye aur hasne lage.. Mujhe laga ki inhone zaroor Purvi ke saath kuch kiya hoga.. Isliye mai Purvi ka part-time job wali canteen mei gaya.. Maine vaha dekha ki ek ladka use bahut pareshaan kar raha tha..

Mujhe laga kuch khaas nahi tha bas normally pareshaan kar raha hoga isliye mai vaha se laut aaya.. Roj roj tumhare papa ke chehre pe hasi badhti aayi aur mujhe kuch gadbad laga..

Isliye maine ek din chutti li aur mai Purvi ke peeche lag gaya.. Us din maine dekha ki vo aadmi Purvi ko normally nahi tumhare papa ke kehne pe pareshaan kar raha tha.. Vo ladka Purvi ka peecha karne laga.. Usne Purvi ko itna pareshaan kiya ki bechari ko kaam se nikaal diya tha..

Vo roi, gid-gidai apne canteen owner ke saamne  ki usne naukari se na hataye.. Lekin koi faayda nahi hua.. Purvi ne dusri jagah naukri dhundhi bahut mushkil se lekin us ladke ki wajah se use vaha se bhi nikaal diya gaya tha.. Baad mei Purvi ki maa bahut bimaar rehne lagi..

Bache hue paison se vo kaise bhi kar ke apni maa ko hospital mei admit karwaaya.. Purvi jaise taise kar ke school, part-time job aur apni maa ki dekh-baal kar rahi thi.. Lekin, usne tab bhi tumhara saath nahi choda..

Yeh baat jab inhe pata chala tho inse raha nahi gaya.. Inhone Purvi ka jeena mushkil kar diya tha.. Inhone paison ki power ka istemaal kar ke kuch padosiyon ko khareed liya aur un sab ne milkar Purvi ki character pe keechad uchaal ne mei koi kasar nahi choda..

Vo ladka baar baar Purvi ka ghar aata gaya, kabhi kabhi der raat ko.. Purvi us waqt akeli rehti thi aur sab ne isi ka faayda uthaya.. Uska khaana, peena sab band hogaya.. Isliye vo apna water bottle roj bhul jaaya karti thi..

Kavin understood that Ramesh taunted him by saying that.. Kavin never noticed why she forgot her bottle every day. He gave her his water bottle & she drank from his bottle.

BEYHADHWaar verhalen tot leven komen. Ontdek het nu