Ye Raatein Yeh Mausam

36 17 6
                                    

1960

Vaise to college ki canteen bhookh mitane ki jagah kam yaadon ka guldasta zyada hoti h. College ke vo dheeth dost, pehle breakup ka dard, khadoos teacher ke dar se bunk maarna, in sab ki gawah college ki hi canteen hi to hoti h.

Magar Jab Ashok Swapnali ko apne haathon se khila raha tha to na jane kyon Arnav ko ek ajib si koft hone lagi. Jaise hi vo dosa lene ke liye utha, to usne Ashok ke oopar pani ka glass gira diya. (Nahi, usne giraya nahi. Arnav kyon giraega Ashok par janboojhkar pani ka glass, usse galti se hi glass gira hoga.)

Arnav: Sorry

Ashok: Are Master, dikhta nahi h tereko? Kallu, main abhi ise saaf karke aata hoon.

Ashok bahar jata h. Dosa khane ke baad Arnav staff room jaa hi raha hota h ki use Ashok ki awaz sunai deti h. Ashok ek bellbottom pehne ladki ke saath baat kar raha hota h: Are Sunita. Maine kaha na ki main sirf uske saath pyaar ka naatak kar raha hoon. Swapnali ke papa income tax commissioner the aur uske baap ne mere baap ko tax chori ke arop me teen din jail me rakha tha. Baap ki galti ki keemat kaun chukayega? Beti aur kon?

Tabhi canteen se zor zor se aawazein aati hain:

Ek aadmi chillate huye: Sharam nahin aati Swapnali tumhe padhai ke naam par gulcharre udate huye. Tumne Ashok ke saath pyaar ka naatak kiya aur badle me usse apne shauk poore karne ke liye paise maange? Kya kami reh gayi thi meri parvarish me?

Swapnali ke pita ne Swapnali par haath uthaya magar Arnav ne unka haath rok diya.

Arnav: Aap Swapnali ke pita h na? To ek jhatke me Ashok jaise bigde ladke ki baat ne aapka unnis sal ka bharosa toot gaya?

Ashok: Uncle. Swapnali ki ijjat meri ijjat hai. Main Swapnali se shaadi karne ke liye taiyyar hoon?

Swapnali Ashok ko ek thappad maar kar: Tum kon hote ho mujhse shaadi karne vale? Tum itne ghatiya gire hue ho maine socha bhi nahin tha.

Suryakant: Bas Swapnali. Bahut hua Art aur college. Ab tumhari Ashok se shaadi hogi aur jab tak Ashok ki padhai poori nahi ho jati tum Poona mehi rahogi.

Swapnali: par baba?

Suryakant: Bas

Arnav: Swapnali se koi shaadi nahi karega yahi chinta h na aapko? Agar Swapnali ki ijaazat ho to main karoonga Swapnali se shaadi par jab tak Swapnali ka college aur sabse acchi artist banne ka sapna poora nahin ho jata Swapnali Bambai me hi rahegi.

Suryakant ke na chahte huye bhi Swapnali ki shaadi Arnav se ho jaati h magar Swapnali ke aansoo the ki rukne ka naam nahin le rahe the.

Swapnali abhi Dulhan ke libaas me hi thi: Arnav Ji ye kahaan le aaye mujhe?

Lekin Swapnali andhera hote huye bhi jaanti thi ki vo kahaan h. Andhera chahe kitna gehra ho, samundar ki aawaz aur poornima ki chaandni nahin chupa sakta.

Swapnali ke aage haath badhakar Arnav kehta h: Swapnali dance karogi?

Swapnali: Dance? Yahaan?

Arnav: Mujhe pata h tumhe dance karna bahut pasand h. Us din coffee house me bhi Sangeet sunkar tumhare kadam unki lay par thirakne se rok nahi paa rahe the.

Navsari saari me Swapnali ko apne paas lakar Arnav dheeme dheeme dance karne laga aur geet gaane laga

Chalo ek baar fir ajnabi ban jayein humजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें