Zindagi kaisi ye paheli haye

55 20 21
                                    

Alhad sapne, ziddi armaan aur kabhi na marne wali ummeedein agar kahin ek saath dhadakti thin, to vo jagah thi JJ School of Arts. Aaj jidhar dekho, Swapnali ko titliyaan hi dikhai de rahi thi. Tabhi uske bagal vali seat me koi aakar baith gaya

"Hi, I'm Ashok," Dekhne me to vo kisi rajkumar sa sajeela tha magar kisi hawa ke jhonke ki tarah Chanchal tha vo, "Aur tum Swapnali ho na. Ye mat poochna mujhe tumhara naam kaise pata? Jab koi ladki itni khoobsurat ho to use apna introduction dene ki zaroorat nahin hoti."

Vaise to Swapnali bilkul Sharmeeli nahi thi magar na chahte hue bhi taaze seb si laali uske gaalon par chha hi gayi.

Tabhi classroom me professor sahab aa gaye aur Swapnali ki aankhein fati ki fati reh gayi. Professor sahab bhi Swapnali ko dekhkar kuch thithke magar fir vo kala ke siddhant padhane me mashgool ho gaye.

Jaise hi class khatm hui, Swapnali daudte huye professor sahab ke paas gayi aur boli, "Magar aap to kavi hai na Arnavji."

"Kavitaayein likhne se pet nahi bharta, vaise naam kya hai tumhara?"

"Swapnali," Swapnali ko kucch bura sa laga ki Professor Arnav Rane ko uska naam bhi nahi pata.

"Haan to Swapnali, sirf Kavi hone se ghar chalane layak paisa nahin milta, aur paisa dekho, to apne man ke mutabik nahi baazar ke mutabik likhna parta h isliye professor ki naukri ghar chalane ke liye aur kavitayein man ke liye. Vaise bhi kavitayein likhne ke liye main pen name ka istemal karta hoon to agar tum mere kavitaayein likhne ka zikr kisi se na karo to..."

"Swapnali, canteen nahi jaana kya," tabhi Ashok vahaan aaya.

"Aai," Ek saath chalte huye Swapnali aur Ashok ke haath aapas me takra rahe the. Haaye! Vasant ki purwai ki tarah hota hai naya pyaar aur Arnav ko Ashok aur Swapnali ko saath dekhne se bechain hone ki to koi zaroorat na thi. Aakhir vo aur Kumudbala bhi to...

 Aakhir vo aur Kumudbala bhi to

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Kumudbala...Kabhi Arnav ke dil par raaj karne vaali aaj har dil ki maalkin ban chuki thi. Sheher mein jahaan jao Kumudbala ki filmon ke poster lage hote the. Kumudbala ke Bollywood ki sabse badi adakara banne se pehle jab vo Aurangabad ki ek masoom si ladki thi, tabhi Arnav jaanta ki vo oonchaiyon ko chhuegi magar tab use nahin pata tha ki oonchai par pahunchne ke liye man par lade pyaar ke bojh ko door fenkna hota hai aur fir jab Kumudbala ne yahi kiya to...

Chalo ek baar fir ajnabi ban jayein humजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें