Proposal❤️

2.5K 150 9
                                    

I hope you like this proposal scene... There is a twist also... Let's start...

Sai reaches the place.. waiter comes to her gives the letter and shows the direction... The letter says...
" Sai... Kuch aur pal ... intezaar katam hone ko hai..."

After walking in the direction Sai now standing in front of a big door(remember the harini bday place.. similar to that)
As she opened the door... Spotlight falls on her ... There is no light except that... She calls virat but no response she didn't have any idea what to do.. she stood still... And thinking that " is Gabbar ko suprise dena tha toh aya kyu nahi... Akela chod diya ... Kadoos Jasoos... Kangoos..."
Suddenly she hears the voice ... Virat's voice...

" Sai... Jaantha hu ki mujhe man hi man daant rahi ho ki mai ab tak samne kyu nahi aa rahaa... Aajaungaa thodi der mein... Ab tum ek kadam aage bado..."

Sai heads one step forward the place where she stood lit up... At her side she saw a table over which she found a rose to which a card is tied and has a letter "V"

" Sai... Yaad hai hum pehli baar kaise mile the... Mere Gadchiroli mein welcome function mein mile the hum... Tab tho tum mujhe par gussa thi... Voh bhi bhohot jyada.. tab hume bhi kya patha tha ki hum shaadhi ke bandhan mein bandh jayenge aur saath mein itna safar tay karenge.... Age bado "

Sai takes one step and again the place lit up and has a table on the side with another rose and with a card saying
"I".. sai is trying to figure out why it just has a single letter..

" Sai... Hum jab bhi milthe the humare beech sirf ek baath hothi thi aabaa ki VRS... Tab hum bhi kaha janthe the ki jab hum kuch aur bhi baath karna shuru kar dete hai toh koyi nahi ruktha ....
Aage bado"

The same repeats this time she gets the flower with letter "U"

" Sai... Tumhare life mein bhohot important insaan aabaa the... Unse kiya vadaa tumse shaadi... Tab hum dono ko hamare kismath ka yeh khel manzoor hi nahi tha... Lekin tab hume patha nahi tha na ki ek din yeh khel jeevan ban jayega... "

As the voice ends she steps forward gets the rose with letter "E"

" Mera ek athith tha jiske vajah se humare beech itne saare problems aur misunderstandings kadi hogayi thi... Aur mai kush hu ki tum samajh gayi ho yeh baat ki mujhe ab tumse jyadaa kuch aur mayine nahi raktha.. naa voh athith... Na voh dosthi aur naahi voh vada.."

She steps forward gets a rose with letter "O"

" Humare shaadhi ke vakth meine kaha tha ki yeh sirf ek deal hai aur mujse koyi ummeedh na rakho... Lekin aaj kehna chahta hu ki yeh shaadhi mere liye sirf deal nahi rahi sai... Mai yeh rishtha nibhana chahtha hu... Har ek voh vada nibhana chahtha hu jo shaadhi ke vakth diya jatha hai... Voh har ek cheez poora karna chahta hu jo ek patni apne pati se ummedh rakthi hai jo tum mujhse rakthi ho..."

She had mixed feelings in her when she entered the room... She gets them cleared as she is stepping forward... Let's see what she is clear about..
She takes the step again gets a rose with letter" L"

" Sai shaadhi ke samay meine yeh bhi kaha tha ki jab tum aapne sapna poora karogi toh tum azadh hogi is rishthe se is deal se... Lekin sai aaj mai kehna chahta hu ki ... Ki tum hamesha humesha keliye mere saath hi raho... Mai tumhe is rishthe se azaad hi nahi karna chahtha... Mai jee nahi paungaa ... Yeh baat mujhe us din pata chala jis din voh..voh hatsa hua..."
Sai could feel the pain in his voice... All his words are giving her clarity of her thoughts ... Clarity to her doubts.. she wants to meet him now..
She steps forward and finds Virat standing in front of her in blue suit, black shirt and black pant.. matching with his wifie... He was looking down...
He took Sai's hands into his and says..

" Yeh saare baathe mai tumhare ankhon mein dekhkar bata nahi paunga is liye aisa kiya..."

He slowly looks at her with so much love... He moves a bit closer.... Virat with tears in eyes... Says..

" Mai tumhare bina adhoora hu sai... Tumhare bina mujhe jeena ka koyi vajah nahi diktha... Jab tum mujhe galat samajthi ho toh aisa lagta hai ki maano poori duniya mujhe galat tehra rahi hai... Tumse doori bardaash nahi hothi mujhe... ek vakth tha jab Dil toot gaya tha mera adoora tha sai... Tumne poora kiya hai mujhe... Ab is poorepan ko kabhi khona nahi chahta... Tumhare bina ab tho mai apna life imagine nahi kar pa raha hu sai... Aur yeh roses tumhe meri dil ki baat batane keliye hai aur voh baath in cards par likha hua jodne se aathi hai"
Sai looks at the cards and then looks him...
She is lost deeply in his eyes... Lost in his words ...
Virat takes deep breath to say those magical words... He is about say but shocks hearing Sai's words...

Sai: I LOVE YOU VIRAT SIR....

Yes she proposed... She said it first... Virat didn't expect this at all ... He couldn't believe what he just heard... He want to hear it again and again...

Virat: sai shayad maine galat suna hai... Hahah mai bhi na.... Kuch bhi soch Letha hu... Kya kaha phir se kaho na... Please 🥺
Sai smiles comes a bit closer and says... " I... Love... You.... Virat sir"
Virat heard the same again... That means yeh sach hai... sai moves back... Not facing virat now and speaking her heart out...

Sai: " pehle mai appko pasand hi nahi karthi thi virat sir.... Jab aapse shaadi karadi gayi thi tab mere man mein ek hi baat aathi thi ki kaash mere aaba hothe mere saath tho ye din kabhi nahi dekhna padtha... Shayad kismath ko bhi yahi manzoor thi varna aapse hi aaba apne akari vakth par vada kyu lete... Aapke ghar aane ke baad mujhe koyi nayi apnaya sivay aai shivani bua aur Devi Tai aur phir baad mein mohit ke aur baaki sab bevajah tanaa marthe hi rehthe hai... Aur hum bhi jagadthe the lekin ek dusre ka saath dete zarur the ..ha par kuch incidents exception hai...humare beech bond ban rahi thi...lekin Mujhe paakhi didi ko dekthe hi voh vada voh deal sab yaad ajaatha tha aur mein phir se humare beech diwaar kadi kar deti thi taaki mai aapke aur unko diya hua vadaa ke beech na aa saku aur humare beech koyi aisa lagav na bane jiske karan mujhe aapko chodke jaane ka gham ho... Isliye apse jagadthi thi kuch na kuch bolthi thi... Mujhe bohot farak padtha tha virat sir jab aap mere baath ko na samajh kar pakhi didi aur kuch sadasyon ke baath sach manlethe the thoo... kyunki aap ke vajah se hi hu us ghar mein aur  Aapse jyad ummedh rehthi thi ki aap mere saath de...jab Gadchiroli gayi thi na aap ko hi yaad karthi rahi na chahthe hue bhi aur phir hostel mein bhi... Aapse dhur bhi nahi reh payi... Jab aapko goli lagi thi aisa lagaa ki phir se ... Phirse mujhse mera koyi apne ko cheen raha ho... Mere aaba ko tho ko diya par aapko.. aapko nahi ko sakthi mein.."
tears falling down her cheeks... wiping them she continues...
" Aapka care aapka pyaar aapka apnapan.. sab diktha hai mujhe aur kahi na kahi mujhe bhi feelings hai lekin un sabko nazarandaaz kar rahi thi.. un se baag rahi thi... Dar tha ki agar mai feelings ko apnaliya aur phir aap mujhse door hogaye toh... Mai voh dard sehna nahi chahthi thi ....
Lekin aur nahi baag paungi virat sir.. aur nahi hoga mujse... I love you Virat sir... I really do" she cries after spilling out everything she feels... She feels so peaceful now...
Virat always has this complain about sai that she never accepts what she likes... she never speaks her heart out .... Rarely she does... He is so happy that she spoke what she feels...
He moved towards her and hugged her from behind... And said...
" I love you Sai... Love you a lot❤️"..

Ghum hai kisike pyar me❤️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें