Virat's breakdown

3.1K 150 18
                                    

Seeing Sai again in such condition... He couldn't take a step ...he went numb... It felt like as if his world is breaking down into so many small pieces in front of his eyes and joining those pieces back and making it back to normal is impossible now...
Meanwhile the other members of the family were shocked... They always saw Sai fighting and protecting herself and now the same sai became so weak that she took such a step..
Guilt is being seen in everyone's face for that moment except pakhi..
Mohit is calling for ambulance but no-one is responding...
Virat came to senses...
Virat: Mohit hum kudh le jaathe hai hospital varna der hojayega...
And was about to lift her in his arms..
Mohit stops him from doing so...
Mohit: Dadaa aapko yeh sab karne ki zarurat nahi... Aapko vahini ke baare mai chintha karna aur yeh natak karne ki bhi zarurat nahi hai... Vahini mujhe apna bhai manthi hai aur uska yeh bhai use hospital bhi lejayegaa aur uska dyaan bhi rakhegaa...
Virat: Natak... Mai natak kar raha hu .. kya tumhe aisa sachme lagtha hai..?
Mohit: hum badh me behes karlenge... Philhal vahini ko hospital lejaraha hu...
Mohit lifts sai in his arms... Takes a care and leaves along with ashwini and shivani..
Virat follows them ignoring others in another car...
Mohit joins sai in hospital and informs pulkit also...
Virat arrives while nurse is taking her in.. He kept looking through the screen of the door and kept hand over the screen..
Pulkit also arrived and inquired what happened... He takes virat out of the hospital...
Pulkit: kyu Virat... Kyu hamesha thum silent ho jaathe ho jab sabse jyaada tumhari zarurat hothi hai use...
Tum janthe ho ki uske saath har koyi rudely behave kartha hai aur tum use akela chhod dete ho us ladayi mein... Kya yahi pyaar hai tumhara... Bholo...
Virat didn't answer anything... He mind is still struck at the scene where he found sai in such condition...
Mohit came running to call them inside as doctor came out to say about Sai's condition...
They all reach the doctor..
Doctor: koyi serious baath nahi hai.. samay par laaye hai ... Par voh abhi behoshi mai hai aur aaj raat yahi rukna padegaa apko... Sirf dho log rukh sakthe hai yahaa...
They decided that pulkit and shivani stay there... Virat wants to stay but no-one wants him to stay near sai.. they forcefully sent him back home..
Mohit drives back home along with ashwini and virat...
Everyone started asking how is the condition what happened and all...
Pakhi didn't ask any single question..
Pakhi: yeh kya naya drama hai sai ka... Kudh galath karthi hai aur use chipaane keliye aise harkat....
Virat was silent and lost in his thoughts about sai... Once he heard pakhi's dialogue... The anger.. frustration.. pain ... Fear everything spilled out he couldn't control them now...
With his full energy and high voice he sai..." Bas....!!! Pakhi ... Ohh sorry sorry  pakhi nhi na.. aap toh PATRALEKA ho... Chauvan niwas ke chahithii bahu... Kaku ki , baba Omi kaka sonali kaku sabki favourite ho tum... Pakhi voh log bhulate jo tumhe ache se jaanthe hai haina... (Pakhi nods her head in approval..) mai kaha tujhe jaantha hu.. tum voh ho hi nahi jise mai mila tha... Ya phir ye roop choopaake rakha tha tab... "
Pakhi: yeh kya bhol rahe ho tum virat...
Virat: sach.. PATRALEKA JIII sach bhol raha hu... Ek aur sach batau tujhe... Mujhe is wakth aisa lag raha hai ki kaash kaash mai virat chauvan .... PATRALEKA ko uski shaadi se pehle mila hi na ho... Kaash aisa hota ki na hum milthe... Na hum dosth hote...
Aur  mujhe tumse dosti bhi nahi rakhna hai... Humara ab bas ek rishta hai bas devar bhabhi ka... Voh bhi nahi rakhna chahta lekin samrat ke wajah se hai voh rishta... Bas aur kuch nhi ... Kuch ... Bhi... Nahi..
Kaku: virat yeh kaise baath kar rahe ho ...voh bhi us jungli mulgi keliye... Voh itna sab kuch karke kudh  yeh suicide karli... Usme hamara yaa pakhi ka kya dosh...
Virat:  dosh tho mera hai na kaku... Na mei chup rehtha aur nahi itna kuch hota... Tab hi bolna chahiye tha ki mujhe sai se jyada bharosa aapme se kisi par bhi nahi... Lekin nahi... Pataa nahi mei kya kya soch raha tha us wakth... Aur dekho mujhe apni patni ke pass bhi nahi rehne de rahe hai... Bhohot teek kiya hai Mohit... Aisa hi hona chahiye mujhe...
Ninad: virat us ladki ne bevakoofi ki hai aur uska zimmedar tum kudh ko kyu de rahe ho... Tumhe itna pareshan karthi hai..usko hona chahiye thoda sharam... Kudh galat karke kudh hi aise harkat karthi hai...
Omkar: aur nahi tho kya dada... Fest mei stage par hame credit dhi... Hame acha lagne keliya natak tha voh aur apna manmaani karne ka plan tha uskaa...
Sonali and karishma kept silent because they were shocked that fighter sai ko aisa kadam utaana pada matlab kitna toot gayi hogi andhar se... Though they taunt her somewhere in their hearts they have a small place for her ... Now seeing Virat's condition they decided not to speak anything supporting the Trimoorthi...
They can see the pain that virat is going through...
Virat: natak.... Acha achaa... ( Sarcastically)Natak aap bhi bhohot acha karlete hai na Omi kaka... Risvath dekar papers badalvadiye... Sangeeta Deshpande naam ka chitti bej diye(pakhi gets tensed listening this but stays quiet..) aur ghar mei itna drama hua uska baad.. aur aapne ne kuch nahi patha hona ka bohoth acha acting karliye...( With sarcastic laugh) arre Mohit tumhe in Trimoorthiyo se acting seekhna padega.. kaise kamaal ke actors hai yeh log.. tai aur pulkit ko alag kia... Harini ko tai se dhoor kiya.. aur hame andhere me rakha sach choopa liya... Wah wah!!!( Slow claps) yeh hota hai asli natural acting... (Tears rolled down his eyes..)
Pakhi: yeh kya tareeka hai Badoo se baat karne ka virat... Hum sab bhi dhuk hai sai ka aisa step lene se lekin uski galatiya undekha nahi kar sakthe na tumhare tarah...
Virat(with sarcastic smile): are PATRALEKA jii aap phir bholi... Kyu... Kyu har baat me apna naak ghusana hotha hai apna raai dena hotha hai tumhe...kisine poocha... Kya meine poocha kuch ... Nahi na..
Pakhi: yeh mera parivaar hai aur bholne ka poora hak hai...
Virat: aur yeh sai ka bhi parivaar...
SAI VIRAT CHAUVAN hai voh... Jaise tum bahu ho voh bhi hai... Phir jis tarah  tumse bartaav karthe hai yeh log uske saath kyu nahi kartee... Roj roj koyi naya thamashaa.... Voh sab kuch seh lethi... Ghar ka kaam karthi hai par kisiko dikhta nahi... PATRALEKA chai banathi hai bas tareef ka phool bandh dete hai...
Voh college jaathi phir ghar aake padayi karthi hai mere kuch kaam karthi.. sab manage karthi koyi complain kiya bagaair... Ghar me jagda phir college ka padayiii... Kabhi socha hai uskoo kitna stress hoga... Nahi... Aapse kya ummeedh rakhu jab ki mei kudh dyaan nahi diya... Aai Mohit aur shivani bua yahi toh hai use har vakth sambalthe hai jabki voh mera jimmedari hai....
Use shaadi karke is ghar mei le aya socha usko itna badaa pariwar ka pyaar milega saath milega... Nahi... Har roz ka thane aur beizzati... PATRALEKA jii aap kehthi hai na har baath par beizzati.. asal mei aap hi sabse jyaada beizzati karthi hai in sabse milkar... Lekin yeh baat apko diktha nahi na...
(Pakhi was about to say something virat stops..)
Phir se... Kitne baar bholu... Beech me math bhola kijiye...
Aisa lag raha ki uski zindagi sudharne bajai meine kudh bigaad diya...
Kaku: virat ... Sare inzaam tum kyu aapna sir le raha hai... Aise bhol rahe ho ki uski koyi galatiya nahi saare galatiya humne ne hi ki hai...
Virat: sahi bhola kaku aapne... Saari galatii humari hi hai...
Aapse jyadaa toh meri hai... Usse is parivaar ka hissa bana diya jo har roj uski sanskar aur aaba ka diya seekh par prashn chinn lagane me rehthe hai....
Usko yeh yakeen dilaya ki mei hamesha usko protect karunga lekin jab wakth ayaa toh nibhaya hi nahi..
Uska character par sawal utathe hai par mai patni .. zimmedari. bhol bholkar  kuch nahi karthaa..
Har tamashe ke baad yahi boltha raha ki sai tum is ghar ki bahu ho thoda bhohot adjustments karne padthe hai... Jabki adjust karkarke voh toot bhi gayi par yaha in logon ko koyi farak nahi padtha.. sirf uski galatiya ginna hotha hai...
Socha tha parivaar aur patni dono ko mila doonga jab realise hua ki yeh possible nahi ho raha toh socha ki separate hi sahi manage karlunga... Par nahi... Phis chuka hu mai ..parivaar aur patni ke beech ek ko chunna nahi chahtha tha .. par gutan hone lagi mujhe... Na patni ka saath de paya aur naahi apna parivaar ko kuch samjha par raha hu...

I hope you like this... I hope everyone wants virat to realise the reality... I personally wanted this... Please stay tuned to the story for more interesting updates ☺️. Thanks for supporting.. more to come


Ghum hai kisike pyar me❤️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें