Kajal- Oho.....

Tanya- Kya big bhabs aap bhi.

CID BUREAU
Acp- Hume is mission pe apni jee jaan laga deni hai.

All- Yes sir.

Abhijeet- Han sir hum is mission ko kamyab karke rahenge.

Dushyant- Par sir Ahmedabad se jo company ke head aane wale the woh abhi tak pohunche nahi.

Pankaj- Kahin woh kisi khatre mein toh nahi haina!!

Sachin- Aisa kuch nahi hua hoga Pankaj tum shaant raho.

Ishita- Sir jis hotel mein woh ruke hain wahan hum call karke pata laga sakte hain.

The door open and a man enters.

Person- Kisiko phone lagane ki koi zarurat nahi hai Ms.officer.

Kavin- Tu.......

Person- Oye tu..... (both give a warm hug to each other)

Daya- Kavin ye kaun.

Kavin- Arey bhaiya ise bhul gaye. Mere college time ka sabse accha dost.

Daya- Karan??

Karan- Han. Mai aur Kavin ek hi college mein the uske baad mai Ahmedabad shift ho gaya aur koi contact bhi nahi raha.

Kavin- Ye humare Acp sir.

Karan- Hello sir this is Karan Malhotra.

Acp- Tumse milke acha laga. Welcome to CID Bureau.

Abhijeet- Tum toh Kavin ke itne ache dost ho hume pata hi nahi tha.

Acp- Thik hai Karan tumhare company se jo hume equipments chahiye the woh tum laye.

Karan- No sir. Actually Mumbai itna bheed-bhaad wala shehr hai aur mai local train mein aaya isliye woh sab mere hotel room mein hai.

Kavin- Tu local train se kyu aaya.

Karan- Taki kisiko koi shaq na ho.

Dushyant- Sorry Mr. Karan par aapne woh equipments apne room mein rakhein hain I mean woh desh ki surakhsa ke liye hai aur.....

Karan- I know aap kya kehna chahte hain par generally ese equipments kisi safe jagah pe rakhte hain aur maine isliye rakha taki koi guess bhi na kar paye.

Freddy- Arey waah Karan tumhe toh CID mein hona chahiye.

Karan- 😅😅😅😅.

Sachin- Toh phir woh sab hum kab dekhenge.

Karan- Aaj shaam ko mere room mein aap sab aa jana wahan sortout kar lenge.

Acp- Thik hai. Abhi tum zara rest karo thodi der baad sab nikalte hain.

CAFETERIA
Kavin- Abey tune mujhe kya surprise diya hai.

Karan- Mujhe bhi nahi pata tha Mumbai aana mere liye itna surprising hoga.

Kavin- Aur bata shaadi ki ya nahi tune.

Karan- Han bas 2 saal pehle.

Kavin- Toh kya karti hain Mrs. Malhotra? ?

Karan- Nothing yaar shaadi se pehle yahi Mumbai mein koi job karti thi but ab nahi

Kavin- Aur baache??

Karan- Arey nahi nahi. Meri chod tu bata tune shaadi??

Kavin- Nahi yaar.

Karan- Phir girlfriend toh pakka hogi.

Kavin- Arey bilkul nahi.

Karan- Tujhe kisi ladki ne propose nahi kiya aisa nahi ho sakta. Ya phir tune kisisey pyar nahi kiya aisa bhi nahi hua hoga.

Kavin- Propose toh bohuton ne kiya lekin koi pasand hai aayi. Aur jo pasand ayi woh...... chidna ye sab.

Karan- Arey batana..... (Karan's phone rang and it was Purvi but Kavin was unable to read the name)

Karan- Meri wife ka phone hai mai 5 min mein aata hun.

Call

Karan- Hello...

Purvi- Karan ji kalse aapka phone band aa raha tha kaha the aap?

Karan- Sorry yahan aane ke baad maine dekha toh phone ki battery dead thi. Uske baad so gaya aur subah uthke meeting mein aana tha.

Purvi- Aap thik se pohunch gaye na.

Karan- Han. Aur aapko ek interesting baat pata hai kya.

Purvi- Kya?

Karan- Mujhe mere college ka ek bichda dost mil gaya.

Purvi- Ye toh bohut achi baat hai.. purane dost milte hain toh bohut khusi hoti hai.

Karan- Purvi ji aaj shaam ko thoda kaam hai isliye mai aapko seedha raat mein call karunga.

Purvi- Thik hai. Bye.

Karan returned to the table.

Kavin- Ho gayi baat??

Karan- Han.

Kavin- Wese tune abhi tak teri wife ka naam nahi bataya.

Karan- .......
.
.
.
.
.
.
.

.
.
.
.
.
.
.
.
.

.
.
.
.
.
.

.
.
.
.

Heyaa guys a veru big sorry for not updating since 15 days. I really apologise but from today u'll get regular updates.

Do vote comment and follow me.

Regards
Lovelyn 💝

ManzeeleinWhere stories live. Discover now