Tu Jaane Na Tu, Chahat Meri Kitni Betaab Hai

423 55 31
                                    

She chided herself for staring at him,"Pagal Ladki kuch bhi karti hai, kaise ghoor rahi thi usko, agar usko pata chal jata toh tere liye kitna awkward ho jata", She was thankful he still had his eyes closed and he didn't get to know that she was staring at him.

But what she didn't know was he had already seen her staring at him, he was elated but then closed his eyes as he didn't want to make it awkward for her.

She got up from the table,"Main abhi chalti hoon, tumhe aur bhook lagegi toh issi boxes mai aur kuch snacks hain khaa lena aur Accha dhyaan rakhna apna."

He looked at her,"Tumne lunch Kiya ?"

Naina shook her head,"main baadme karlungi mujhe bhook nahi hain."

Sameer picked up a box and took a sandwich from it,"itni bhaag daud karti hoo, aur khud ka khayaal bhi nahi rakhogi toh theek rahogi kya."

Naina quickly answered,"main khaa lungi, main apne meals miss nahi karti, tum kabhi Anjali se miloge toh puchna wo mujhe kis naam se pukarti hai", She turned towards the door when he quickly caught her wrist.

Both of them again felt currents at the mere touch of their hands.

As she turned to look at him, he could see her eyes had windened, maybe she didn't like him touching her, so he left her hand,"Naina tumhe meri baat maan ni padegi, kyunki Maine bhi tumhari baat maani na khaana khaa ke, abh tumhari baari."

But what he didn't know was Naina felt butterflies in her stomach because of his touch, the way his warm hand held her wrist gave her goosebumps.

Sameer Looked at her than gestured her towards the chair,"Aao Baitho aur khaa ke chali janaa, itni bhi jaldi kya hai", he didn't want her to go away.

She came and sat quietly and started having the snacks.

Sameer started,"waise subah bohot shock lag gaya tha tumhe bike race karte dekh ke, I didn't expect ki tum itni acchi tarah se Peter ko overtake karlogi, school mai toh maine bus tumhe wo pink bicycle chalate dekha tha"

Naina chuckled,"Ye ek aaisi aadat thi, jo Mumbai main aake lag gayi, hostel mai meri jo roommate thi ussi ne mujhe biking sikhayi."

Sameer didn't know about her past,"Tum hostel main kyun rahi Naina, you had a family in Ahmadabad, Tumhare Mummy Papa ko toh maine bhi dekha hai, aur chalo unhone tumhe Mumbai bhi bhej diya hoga lekin abhi kyun nahi hain tumhare saath", He finally asked the question, he was wondering about from long.

Naina couldn't hide the sadness and grief in her voice as she said,"Meri Mamma ki death hogayi jabh mai 7th class main thi fir kuch din baad Papa bhi iss duniya se chale gaye, iss wajah se mere Tauji aur Taiji mujhe Kisi Gaun wale se shaadi karwa dete issliye Chachaji ne mujhe Mumbai bhej diya, pehle hostel main meri padhai puri karli aur fir jab kaam shuru kardiya tabh Meri Bua dadi ne mujhe unke ghar bula liya, aur wo mujhse bohot pyaar karti hain."

Sameer couldn't believe his ears, the girl infront of him had so much pain inside her but still was battling with the pain and was smiling and being happy everytime,"Mujhe Pata Hi nahi tha ki Rakesh Sir ki death ho chuki hai, School main kuch bataya kyun nahi iss baare mai ? Aksar toh kisi ki death hoti toh bataa dete lekin uss waqt kyun nahi bataya."

Naina looked down to hide her tears,"Pricipal sir batana chahte the Iss baare mai saare school main annouce karna chahte the, lekin Tauji ne mana kardiya, mujhe nahi pata kyun mana kiya par itna toh mai Jaanti hoon Tauji aur Taiji ko Zara bhi dukh nahi tha Papa ke jaane se."

Sameer didn't know her family dynamics so he couldn't tell anything to them, but the thought of Her getting married to a villager caught him off the guard. He couldn't even imagine how the situation much be for her.

Pal Pal Dil Ke Paas Where stories live. Discover now