part 9 [ Ishq ]

458 61 53
                                    

Nikkah hone ke bd ab rukhsati ki taayri thi bi jaan ke khehny ke mutabik larki ko nikkah ke bd hee rukhsat krdena chahye jis bat par sb ne ittefaq bhi kia tha toh faisla yh hwa tha ke do din bd mirha ki sadgi se rukhsati krdi jaye

"Bhabhi meri betiyan khn reh gai?" Nimra jayesha se mirha aur ramsha ke bare mn pouch rahi thi kyun ke sewey in dono ke sb nashte ke liye aachuke the

"Nimra woh mirha tbiyat kuch thk nhi hai issliye woh abhi soo rahi hai aur ramsha uss hee pass hai abhi"

"Kyun kiya hwa usse?"

"Kuch nhi bs shyd thkawat ki waja se bukhar hogya hai"

"Aye bhabhi ko abhi se bhukar char gya abhi toh bhaiya ne unka dedar bhi nhi kia" Zinia armaan ko shararat bhari nighaon se dkh rahi thi

"Zinia..." armaan ne dant beechte hwe kaha

"G bhaiyaaaaa" zinia ne bhi ussi tarike se kaha mgr usske chehrey pr muskrahat thi

"Chln ami bhabhi se milke aate hain aur bhaiya ap yhin rahye ga mn apki begum ki khabar le kr aati hoon "

"Ary beta phle nashta toh krlo bd mn mil lena usse woh khin bhaagi thorii ja rahi hai" jayesha ne kaha

"Hn bhabhi thk kheh rahi hain nashta krlo phle "

"Nhi ami agar tb tk bhaiya ko heart attack agya toh akhir ko unki begum ki tbiyat kharab hai bhae pouchna toh banta ab woh bichre khud toh ja nhi skte hme hee jana hoga na"

"Chlo bhae"

"Oyee suno" armaan ne zinia ko roka

"G koi pegham wagira dena hai toh bata dein mn de dongi unko"

"Usko zyda tang mat karna bs tbiyat pouch ke aajna uski tbiyat wese hee thk nhi hai whn koi drama mat shuru krdena"

"Wah ji wah bari fikr ho rahi hai kheh toh sath le chalo apko ap khud bhi mil lejeyga"

"Chup kr jao drame baz"

Zargham aur azaan bhi whin bethe the zargham sbko ignore kraha tha aur azaan ko apne hospital jane ki jldi mn apne nashte par focus tha

"Mirha?" Nimra ne darwaza knock kia

"G phupho ajen" ramsha ne aagye bhar ke darwaza khola

"Kisi tbiyat hai mirha ki?" Mirha soo nhi rahi thi mgar usne nirma aur zinia ko dkh kr ankhen band krli thi toh nirma ne ramsha se poucha tha

"Halka sa bukhar hai bs"

"Ary larki nikkah ki khushi mn bhukar charra bethi yh toh"

"Hn bs kuch yhi smjh lo" ramsha mirha ki tarf dkhti hwi boli

"Chlo ab usko aram karne do zinia chlo"

"Chln ami jaan"

"Aur kitne logon ko dhoka dogi mirha kia tmhe nazar nhi aata yh sb tumse kitna pyaar krte hain agar inko sach ke bare mn pata chal gya toh kia hoga" ramsha ne un dono ke jane bd mirha se kaha

"Nhi hoon mn kisi ke bhi pyaar ke kabil" uska chehre be tassur tha

"Mirha khuda ka vasta hai khud ke sath hee insaaf krlo jo kr chuki ho ab usko hee nibha lo"

"Aik ajeeb si jang hai mujh mn ramsha koi mujhe se hee tang hai mujh mn toh insaaf kese hoga"

Woh lawn mn khara apne dil ko tasli de raha tha ke uske jane se usko koi farq nhi parta aur uska dil usse kheh raha tha ke woh seh nhi payega uski judaai ko aur itne mn mirha aayi woh usse kuch khehne aai thi mgr uske samne aate hee sb bhool gai thi agar kuch yad tha toh taleef jo usne usse di thi zargham ne usse dkhte hee andar jana chah mgr

𝐃𝐢𝐥-𝐄-𝐍𝐚𝐝𝐚𝐧 (ℂ𝕠𝕞𝕡𝕝𝕖𝕥𝕖𝕕 ✔️)Where stories live. Discover now