part 3 [ Zindagi ]

718 80 28
                                    

"Kahn thi tum mn kbse tmhe dhondh rahi thi." Mirha ne Ramsha se kaha tha.

Mirha university ke gate par khari thi aur ab wahn Ramsha bhi aagai thi.

"Kahn jaon gi woh ajeeb professor jan hee nahi choor raha tha khair yeh batao Bhai nhi aaye kia abhi tak." Ramsha Zargham ko bhai kheh ke bulati thi.

"Nahi yar woh bhi pata nhi kahn reh gye hain aaye hee nhi abhi tak." Mirha ne dewaar se tek laga chuki thi.

"Ary tu bawli call karlo na unhe."

"Mujhe mashwra dena se behtr hai ke khud hee krlo." Mirha ne chir ka kaha tha.

"Krleti agar... mery pas mera mobile hota tu mera phone ghar par reh gya."

"Han pata tha koi dhang ka kaam toh tum kar nahi sakti na."

"Nahi tum larti raho mery sath khare hoke yeh nahi ke unko call hee krlo wese hee mera bhook se bura haal horaha hai." Ramsha ab sath mn rakhi hwi seth pe beth chuki thi.

"Acha na kr rahi hoon call." Mirha ne bag mn se phone nikala aur Zargham ko call ki.

"Kia hwa?" Ramsha ne apny bag se chips ka packet nikalte hwe kaha.

"Nahi utha rahe."

"Yar mn behosh ho jaongi bhook se agr 5 mint mn bhai nahi aaye tu." Ramsha ne chips ka packet Mirha ko thamya tha.

"Bhooki yeh chips khalo na." Mirha ne chips ka packet usko wapis kia tha.

"Nahi yar achee nahi hain itna ganda flavour hai." Ramsha woh packet ab band krke Mirha ke bag mn dal dia tha.

"Han tou phr behosh hojao yhin pe." Mirha ne haste hwe kaha tha.

"Yar tmhe mazq sooj raha hai call karti raho bhai ko kabhi tu uthengy."

"Kar tu rahi hoon nahi utha rahe na." Mirha ne ab phone wapis bag mn dal diya tha.

"Tu ab kb tk unka intezaar karte rahen gy?"

"Jb tak woh aanahi jate." Mirha bhi ab  dusri seth pe beth chuki thi.

"Yar puri university khali ho chuki hai aur guard bhi dkho kitni ajeeb ajeeb nazaron se dkh raha hai hme." Ramsha ne itehai masoom shakal bana kar kaha tha.

"Kheh toh tm thek rahi rahi." Mirha ne uski bat se zindagi mn phli dafa itefaq kia tha.

"Chlo khud hee ghar chlte hain bharse koi rickshaw taxi krlengy." Ramsha ne seat se uthey hwe kaha.

"Pagal hogai ho kia hm yhan se nikale aur Zargham yhan hme lene aagye toh." Mirha ne uska hath pakr ke usko wapis betha diya tha.

"Ooo nhi aate yar tm aik kaam karo unko message krdo ke hm khud hee ghar aarahe hain unko hme lene aane ki zarurat nahi hm kb tk yhn pr bethe rahen gy." Ramsha aik bar phr khari hogi thi.

"Acha chlo thek hai mn message krdeti hoon phr chlte hain." Mirha ne bag mn se phone nikla aur Zargham ko message krdia.

Zargham ki aj aik bht important meeting thi aur woh hmesha meeting mn jane se phle apne phone silent krdeta tha , meeting mn masroofiyart ki waja usko waqt ka andaza hee nhi hwa phr jb woh meeting se farig hwa toh usne mirha ki missed calls aur woh message dkha usne foran se hee Mirha ko call ki thi magr uska number band aaraha tha usne Ramsha ka number bhi try kia par kisine phone attend hee nhi kia toh Zargham foran gari mn betha aur unki university ki taraf chldiya.

"Yar Mirha phone toh uthao!" Zargham shadeed gusse mn tha yeh gussa usse khud pe tha ya un dono pata yeh toh pata nhi mgar woh un dono ke liye pareshan bhi tha kyunke aj local transport ki strike thi.

𝐃𝐢𝐥-𝐄-𝐍𝐚𝐝𝐚𝐧 (ℂ𝕠𝕞𝕡𝕝𝕖𝕥𝕖𝕕 ✔️)Where stories live. Discover now