part 4 [ Iqraar]

705 72 32
                                    

"Kahn ja rahi hoo?" Zargham ne usse rok ke poucha tha.

"Khain bhi jaon apko isse kiya faraq parta hai." Mirha ne kaha aur bhair ke darwaze ki tarf muri.

"Faraq parta hai issliye pouch raha hoon!" Zargham ne uska hath pakr kr kaha tha.

"Mein apko jawab dene ki paband nahi hoon." Ussne apna hath usske hath se choorte hwe kaha tha.

"Toh ban jao na meri.......hamesha ke liye!"

"Kiya matlab hai apka?"

"Tum achee se janti hoo ke mn kiya khehna chahta hoon."

"Mujhe university ke liye late horaha hai Azaan bahair gaari mn itezaar kar raha hai bd mn kbhi beth kar apki phehliyan bujhaongi."

"Thek hai jao magar iss phehali ko bujhana mat bhoolna mn itezaar karonga." Woh peeche hwa tha Mirha se.

Mirha ko smjh nahi aaraha tha ke woh usse kia kahe toh woh ja kar gaari mn beth gai aur Ramsha jis ki timing bht achii thi aur jisne Zargham ki phehli bhi bhujha di thi kyun ke woh undono ki saari batain sun chukii thi.

Mirha Ramsha uni se aachukee the Tamsha lawn mn beth kar phone use kar rahi thi uss waqt jb Zargham ne Ramsha ko akele bethe dkha toh woh uske pass ake betha tha.

"Naraz hoo?"

Ramsha uski bat ko unsuna karte hwe apne mobile mn masroof thi jbke woh ander se Zargham se bat karne ke mari ja rahi thi kyun ke uske dimag mn abtk woh phehli wali bat thi.

"Acha na sorry yar kal gusse mn zayada bol dia tha mene." Isne bari hee koi masoom shakal bana kar kaha tha kyun ke usse lag ke Ramsha usse sach mn naraz hai.

"Nahi nahi ap kyun sorry bol rahe hain saari ghalti hmari thi apki toh KOI ghalti nahi thi." Usse apna drama continue rakhawa tha.

"Sorry bol toh raha hoon ab bachee ki jaan logi kiya."

"Thk hai phr sirf aik shart pe maaf karongi."

"Kesi sharat?"

"Apko mere aik sawal ka jawab dena hoga."

"Koi dhang ka sawal pouchna."

"Yar ap jaen mujhe koi bat hee nahi karni apse jaen ap."

"Acha acha poucho kia pouch rahi thin."

"Phle promise karen ke ap mujhe uss sawal ka jawab bhi dengy aur gussa bhi nahi karengy."

"Aisa konsa sawal hai jisko sun ke mujhe gussa ajega."

"Hai na ap bs promise karen."

"Han bhae promise jawab bhi donga aur gussa bhi nahi karonga."

"Ap Mirha ko pasand karte hain?" Usne excited hoke poucha.

"KIYA??" Zargham ko aise kisi kism ke sawal ki umeed nahi thi ramsha se woh herat mn khara ho chuka tha.

"Yar ap toh aise heran ho rahe hain jese mene apse kidney mang li hoo."

"Yeh tum kia...sochti rehti hoo har waqt-

Ramsha ne uski bat kati thi aur kaha

"Bas bas zyada jhoot bolne ki zarurat toh hai hee nahi apko subha ap dono ki saari batain mn sun chuki hoon."

"Kia..kia suna tumne?"

"Wohhi jo phehliyan ap Mirha se bujhwane ki koshish kar rahe the." Woh hass rahi thi aur usski hassi ne Zargham ki hawiyan ura di thi.

"Ab chup kyun hoo gaye ap bolen YES or NO?"

"Ramsha!"

"YES or NO?"

𝐃𝐢𝐥-𝐄-𝐍𝐚𝐝𝐚𝐧 (ℂ𝕠𝕞𝕡𝕝𝕖𝕥𝕖𝕕 ✔️)On viuen les histories. Descobreix ara