Chapter~14

2K 191 27
                                    

After having coffee and lots of chit chat with nani she headed towards home. PriNa enters home in same time. They went to their room.

Priti- kha thi tu. Tu to aaj office se jaldi nikal gyi thi aur jijaji to office me hi the iska matlab tu unke sath nahi thi fir kaha thi bata.

Naina- bataungi lekin abi nahi rat ko abi chal niche maa papa wait kar rahe honge.

They went downstairs and having their evening snacks.

Taiji- o bai..! Anand babu... Zra apni sarvagun sampanna beti naina se puchhiye market me jo naya kafe(cafe) hai waha kiske sath muh... Mera matlab hai kiske sath gyi thi.

Naina- taiji agar aapne mujhe cafe me dekha to aapne ye bhi dekha hoga k waha kaun baitha tha mere sath. Papa mai market gayi thi kuch zaruri saman lana tha to waha naniji Matlab sameer sir ki nani mil gayi unhone hi mujhe bola chalo cafe me chalte hai aur thodi bate karte hai to bas mai chali gyi. Aur taiji aapko koi kam nahi hai kya sivay mere life me taka jhaki karne ke. Mai kisse milti hu kaha jati hu kiske sath kam karti hu.

Anand- beta shant ho jaa. Aur bhabhiji maine aapko pehle hi bola tha ki aap meri bachhiyon k bare m kuch mahi bolengi lekin aapki to adat hai.

Naina*intentionally in front of taiji- papa humari company Mumbai ki readymade wear ki famous company k sath merger karne wali hai uske liye hume ek hafte k liye mumbai jana hoga.

Anand- ye to achhi bat h isse Maheshawari Textile ko to bhut fayada hoga. Kab jana hai aur kaun kaun jaa raha hai.

Naina- kal sham ki flight hai aur trip me. Sameer sir, manoj sir, Raghav, Priti, mai, Devendar sir aur ek do log aur. Hum jaye na papa.

Taiji-kahi jane ki zarurat nahi nahi hai.

Naina- maine aapse nahi puchha taiji.

Taiji- puchha nahi lekin mai ghar ki badi hu mai bol rahi hu k kahi nahi jana hai. Ek hafte kya ek ek din k liye bhi nahi samjhi.

Annad- naina.priti kal sham ko jana hai jao jaldi se packing karlo kal office bhi to jana hoga to packing kab hogi jao jaldi.

Bela- haan beta jaa. Aur agar kuch chahiye hoga to kal office se aate waqt lete aana.. thik hai.

PriNa- Thank you papa. They hugged.

After dinner PriNa start packing their things.

Priti- naina tu apna alag bag kar mai apna alag.

Naina- q hum waha alag alag room m thode hi rehne wale hai.

Priti- tujhe lagta hai itne door jaa ke jijaji tujhe khud se door rakhenge.

Naina- hat kuch bhi bolti rehti hai.

After packing and their night talk with their partners they drift into sleep.

Next day, In office..

Sameer gathers everyone who is going mumbai with him in meeting room.

Sameer-ye aap logo ki tickets hai ajj sham 7 baje ki hai. Aap log plz time se airport aa jayega.

Everyone leave but he stopped Naina.

Sameer-jaan shopping par chale.

Naina- shopping aur wo q Maheshawari?

Sameer- q mumbai jana hai to shopping nahi karni kya.

Naina- shopping q sameer mere pass kapde hai aur mujhe aapka bhi pata hai aapke pass bhi hai hi. To fir.

Sameer- meri buddhu Mrs. Maheshawari tum mumbai m suits pehnogi.

Ek Tera Sath-Towards A Unique Path Of TogethernessWhere stories live. Discover now