Galti Se Ek Galti

80 10 6
                                    

Galti Se Ek Aur Galti Hui
Dubara Mohabbat Karne Ki Humse Gustakhi Hui

Wo Anjaan Thi Mohabbat Ki Rahon Se
Fir Bhi Is Dil Ne Dil Lagane Ki Jurrat Ki

Wo Ahmek, Maghroor Andaaz Aur Bad Ikhlas Thi
Fir Bhi Na Jaane Kyun Dil Ne Usiki Chahat Ki

Humesha Usne Darmiya'n Mein Faasle Chahe
Fir Bhi Dil Ki Zidd Thi Usey Nazdeek Lane Ki

Haye Re Wo Teri Adaa Kya Zalim Thi
Khud Galti Karke Ungliyan Bhi Humpe Utha'ti Thi

Tera Guroor Tujhe Ek Din Zaroor Le Dubega
Tujhe Teri Khata Ka Ehsaas Bhi Jald Hi Hoga

Wo Bhul Thi Meri Jo Tujhe Humsafar Banane Chala Tha
Shukriya Tera Sahi Waqt Pe Apna Chehra Dikhane Ka

Maine To Wo Khoya Jo Mera Tha Hi Nahi
Tune To Wo Khoya Jo Sirf Tera Tha

Teri Bisaat Nahi Thi Saath Chalne Ki Palkon Pe Bithaya Maine
Mohabbat Ke Layak Na Thi Fir Bhi Dil Lagaya Maine

Na Shikwa Hai Tujhse Na Shikayat Hai Tujhse Galti Meri Thi
Main Bura Sahi Kamina Hi Sahi Lekin Do Naqab Pehne Teri Tarah Nahi

нααℓ-є-∂ιℓWhere stories live. Discover now