Manzil E Jaan

34 12 14
                                    

Wo Naqaab Aapse Uth Jaaye To Kuch Dur Nahi

Warna Meri Nigah-E-Shauk Bhi Majboor Nahi

Khatir-E-Ahl-E-Nazar Husn Ko Manzoor Nahi

Isme Kuch Teri Khata Deed-E-Mahzoor Nahi

Laakh Chupte Ho Magar Chup Ke Bhi Mastoor Nahi

Tum Ajeeb Cheez Ho Nazdeek Nahi Dur Nahi

Zarayat-E-Arz Par Woh Kuch Nahi Kehte Lekin
Har Adaa Se Yeh Tapakta Hai Ki Manzoor Nahi

Dil Dhadak Uth'ta Hai Khud Apni Hi Har Aahat Par
Ab Kadam Manzil-E-Jaan Se Dur Nahi

нααℓ-є-∂ιℓWhere stories live. Discover now