Ek Ashq

44 6 2
                                    

Ek Ashq Ne Dil Ki Dastaan Batani Chahi
Jab Zubaan Khamosh Rahi To Wo Baat Kehni Chahi

Saare Armano Ko Apni Bahon Mein Sameta
Fir Palkon Pe Dheere Se Kaampta Sa Qadam Rakha
Tabhi Ek khayal Ne Ashq Ko Samjhaya

Ki Isne Bhi Kayi Baar Waqt Kiya Tha Zaya
Zahir Hone Tak Sab Maayne Badal Jaate Hai

Jo Ab Saath Hai Armaan Wo Palkon Par Reh Jaate Hai

Ashq Siskaa Kuch Ghabraaya
Fir Kuch Socha Aur Muskuraya

Us Khayaal Ki Badhkar Hatheli Thami
Aur Fir Vishwas Se Bhari Ek Baat Batayi

"Mujhe To Ek Din Sabse Vida Hona Hi Hai
Bahar Jaake Kisi Mein Astitva Khona Hi Hai

Armaan Hai Ki Us Ki Ungliyon Mein Mil Jaun
Yaa Fir Andheron Par Gumnam Hi Kho Jaun"

Ashq Chala Palkon Se Chhalkaa
Akela Umeed Se Bharaa
Tha Kabhi Dil Mein Pala
Uske An't Se Nayi Shuruat Hone Ko Hai
Wo Ek Muskaan Ki Ya Ek Aur Ashq Ki Ye Kahani Baaki Hai

нααℓ-є-∂ιℓWhere stories live. Discover now