Part 8

3K 268 106
                                    

Thank you for being so patient with me and extremely sorry for the delay.. Will try to be regular ...keep supporting the story 🤗
Here goes the next part ...hope you all like it ..Do vote and comment.let me know your feedback .

2nd January 1999
Ahemdabad

Zindagi mein aane wali har musibat par main socha karta tha ki isey bdi musibat ab nahi aaskti...phir zindagi kuch aisa saamne laa kar khada kardeti hai jiske saamne pichli sab musibatein choti si lagne lagti hai .... Sunaina k zindagi se jane  k bd jo zindagi tham si gayi thi voh aaj na jaane kyu Naina k  aane se phir andhere se ujaale ki aur jati hui nazar aarahi hai ... Sunaina ko itna pyar krne k bawajood uska sath na paa saka aur wahi Naina jo mujhse pyar tak nhi krti phir bhi har waqt har pal mere ache bure faisle mere sath khadi rehti hai . Aaj Rohan ko gaye pura ek mahina hogya ...Naina ne  pure ghar ko yuhn sambhal liya jaise voh hamesha se hi is ghar ka hissa thi ...mummy ko Mr Somani ko daddhi ko aur Ahana ko bhi . Main hamesha socha karta tha shayad ishwar ne meri hi zindagi k saare rang cheen liye hai par Naina ko dekhta hu toh mera yeh bhram bhi toot jata hai ..Rohan jisey usne apni jaan se bhi zyada chaha uske chale jane k bad bhi usne khud ko uske rang mein daal liya ...shayad thik hi kehta tha Rohan ki Naina Sunaina nahi aur har aurat ek jaisi nahi hoti ...Ahana se koi rishta na hone par bhi usne usko ko maa ka pyar diya ya yuhn kahu ki uski maa se kahi zyada pyar kiya us waqt jab Ahana ko apne maa baap ki sabse zyada zarurat tb Naina hi uske sath khadi rahi ....Ahana k sath jo maine kiya janta hu sahi nahi tha par Naina ne meri us galti ko bhi apna liya ...
       Rohan ...janta hu tu jahan bhi hoga jis bhi duniya mein  humko dekh raha hoga par naa jane kyu aaj sochta hu toh tujhse thodi jalan bhi hoti ki Naina jaisi achi ladki tujhse itna pyaar krti hai mere bhai .... Jaantu hu yeh sochna galat hai usey aur tujhse wada jo kiya tha ki kabhi tum tum dono k bich na aaunga par is dil ko na pta tha ki Naina ki acchaiya usko yuh badal dengi ...par mere dil ki baat hamesha dil mein hi rahegi ... apni maryada kabhi na paar karunga ...Naina teri amaanat thi aur hamesha rahegi mere bhai tu chinta mat krna ...uski aur Ahana ki khushi ab meri zimmedari hai ...aaj phir ek job interview k liye jaa rha hu dekhta hu pichle 15 din mein 4 baar reject hone wala Sameer Maheshwari aaj kuch haasil kar paata hai ya phir vahi na kaami ka aalam leke ghar lauttha hai ....

Sameer Maheswari



"Ahana ...kaha ho beta ....dudh ka time hogya aapka," called out Naina who was busy searching Ahana from past 10 minutes with a glass full of milk in her hands .  Watching Naina approaching him Sameer immediately closed his personal diary and kept it safely inside the locked drawer of his study table and walked upto her ," Kya hua kyu chilla rahi ho subah subah itna."
     "chilla nhi rahi Ahana ko dundh rahi hu kaha gayi doodh thanda ho rha hai ," replied Naina. 
      "abhi toh yehi khel rahi thi ..shayad maa k kamre mein hogi ,jao wahi jaa kar pila dena ...main taiyar hone ja rha hu aaj bhi ek interview hai mera " said Sameer passively .
   She frowned hearing about his interview ," aapne raat ko btaya kyu nahi ki interview hai ,maine shirt bhi press nahi ki ...ruko bs 5 minutes usko dudh pilaakr aayi phir kardeti hu... Kitni baar kaha hai jab jana ho toh ek raat pehle hi bta diya karo ...par nahi ...meri baat koi sunta hi nahi ," complained Naina .
Annoyed by her continuous ramblings Sameer took th glass of milk from her hands and drank it in one go ,Naina watched him curiously trying to figure out what he was upto .
  "Aise kya dekh rahi ho mujhe ghoor ghoor k ... mujh se behes mein doodh thanda horha tha ...aur tumhari baatein sun k liye takkhat bhi toh chahiye na ..waise bhi aaj busy day hai ...jao ab Ahana k liye dobara doodh garam kar do ...shirt maine Ramdhari se press krwa li thi ...mujhe pta tha busy ho tum ," said Sameer .
Naina smiled and looked upto him and he stared back gently and then she  dropped her gaze shyly ... a gentle flush of pink had arisen in her cheeks that made her look beautiful , "sharmana band karo ...ab itna khayal toh main bhi tumhara rakh skta hu tum toh pura din mere aur meri family k liye lagi rehti ho ," said Sameer.
   "Sirf aapki nahi humari family ,"said Naina softly . "Aap taiyar hokar niche aajaye ,main breakfast lgwa deti hu aur haan aaj hi yaad dila deti hu Ahana k school k admission k liye jana hai kl ,Pooja didi ka beta bhi wahi pdta hai ,fees bhi kam hai and acha bhi hai school ,bd mein agar hua toh school change krlenge ,ok ." Sameer didnt respond instead went down the memory lane to times when everything in his life seemed to be happy and dreaming of stuffs doesnt seemed expensive .

Samaina Story : Jeevansathi Hum حيث تعيش القصص. اكتشف الآن