"What the hell is this? Tum kiya samajhtay ho? Mae is......rickshaw mae jaun gi?" Wo pair patakhti us k sar pe pohanch k chilai thi

"Han......jana hai to bolo......warna ye raha tumhara saman........" ayyan ne us k dono bag wahan patkhay thay

"Apnay dad ki car mangwao or usi mae jao" apnay kapray jhartay huay wo bola to wo usay barbarati hui ghoornay lagi

"Q mangwaun mae dad k ghar se gari? Mujhay wahan nahi jana......mae un sab se naraz hun" ayyan ne chonk k sar uthaya tha.....wo ab rohansi ho rahi thi

"Q? Q naraz ho?"

"Bas marzi meri......chalo ab" wo ghussay se kehti us rickshaw ki janib barh gae.....ayyan bhi us k pichay gaya tha

"Sorry.........mae car laya hun.....us mae chaltay hain" us k pas pohanch k ayyan ne kaha to us ne ghussay se uski janib rukh mora

"Nahi......." ayyan us k jawab pe chonka tha

"Mae ab isi rickshaw mae jaun gi......tum ne ana hai to bata do?" Wo ab rickshaw mae apna handcarry rakh rahi thi

"Aray kiya zaroorat hai is mae janay ki jab car hai...." wo jhunjhulaya tha

"Tum jantay ho ayyan.......mae apni kahi baat se hatti nahi hun......ana hai to ajao meray sath" wo ghussay se boli to nachar ayyan ko us k sath baithna para tha
Unka ghar wapsi ka safar shuru hua tha
Sham k saye phail rahay thay,asman par halkay badil chaye thay,sarak k dono atraaf mae roshnian jalnay lagi thin,or har taraf shor sa tha

"Kiya tum janti ho k ye Pakistan hai?" Un k darmyan khamoshi ko ayyan ne tora tha,jab k wo apna chehra jhukaye or hi sochon mae gum thi

"Han......janti hun......bohat achay se" wo tanzia muskurai thi

"Phir yahan k asulon ka kuch khayal karna chahiye tha" ayyan k lehjay mae kuch sakhti thi......wo kuch pal usay herani se daikhti rahi

"Logon ki nazron se khud ko bacha k rakhnay mae hi behtari hai" uski agli baat pe wo or ziada heran hui thi,uski kahi baatein wo samajh chuki thi

"Sorry" uski mazrat pe ayyan muskuraya tha

"Aurat ki jhuki nazar mae bhi itni sakhti honi chahiye k koi palat k usay daikh na sakay" ayyan k is jumlay pe wo muskura di

"Tum bohat samajhdar ho gaye ho"

"Waqt ne bana diya hai......warna mera esa koi irada nahi tha" us ne kandhay achka diye

"Sab kesay hain?"

"Sab.......thk hain"

"Kisi ne mujhay yad kiya?" Ye uska pasandeeda sawal tha.......wo har bar ye sawal karti thi

"Iska jawab tum achay se janti ho"

"Matlab kisi ne nahi kiya" wo udas hui thi.....ayyan ne uski janib daikha tha
Wo ek shararti,zidi larki thi,apni kahi baat se hatna to wo janti hi nahi thi,apnay dimagh mae I har baat ko manwa k hi dam leti thi,behad batooni  thi wo,uski aadaton se sab pareshan or ajiz rehtay thay,or aksar usay khub dant parti thi....lekin naraz ho kar jab wo khamoshi ikhtyar karti to uski ye khamoshi bhi koi bardasht nahi kar pata tha,ayyan or aliyan se uski kafi betakalufi thi,wo un k sath apnay dil ki har baat share karti thi jisay wo ali ko bhi nahi keh pati thi,wo dono bhi usay bohat chahtay thay bas us k sath ye masla tha k wo bolti bohat thi or wo dono itni baatein sun nahi saktay thay

"Ab esi bhi baat nahi" ayyan uski udas surat daikh kr foran bola tha

"Jesi bhi thi......mae samajh gae hun"

"Tum kiya chahti ho?"

"Ek esa shakhs jo bas mujh se pyar karay" wo khoye huay lehjay mae boli thi,wo esi hi thi....ayyan sir hilata reh gaya

Meri ChahatWhere stories live. Discover now