New Entries

1.9K 93 40
                                    

"Ayyan" ek dam cheekhnay ki awaz pe us ne chehra hathon mae chupa liya........esi hitak pe wo khud sharminda ho k reh gaya tha

"Ayyan" awaz phir se gunji thi.......wahan mojud tamam logon ne foran chehra mor k us awaz k taqub mae daikha tha

Surkh sapaid rangat,teekhay maghroor nakoosh jo uski khubsurti ko mazeed dilkash or haseen bana detay thay,Brown full sleeves top,blue jeans,kandho pe bareek shawl lapaitay,khulay baal,brown long shoes,ankhon pe glasses lagaye wo ek janib dakhti,muskurati hui hath hila rahi thi......ayyan k ilawa wahan mojud har shakhs ne us hussan k shahkar ko dichaspi or sataishi nazron se daikha tha

"Beta....." wo ab bhi chehray pe hath jamaye rukh moray khara tha jab kisi aurat ne usay kandhay se hila k mutawajo karwaya tha
Ayyan ne foran unki janib rukh phaira

"G....."

"Beta lagta hai wo....larki tumhay hi bula rahi hai" us aurat ne kuch faslay pe mojud us larki ki taraf ishara kartay huay kaha

"Anti kiya musibat ko kabhi khud ja k galay lagaya jata hai?" Ayyan k sawal pe us aurat ne mashkook nazron se usay daikha tha

"Beta jao us k pas......kab se awazain de rahi hai......or agar tumhara irada nahi wahan janay ka to bata do bohat se hain jo uski madad karnay ko betab lag rahay hain........hai bhi to itni haseen"

Unki baat pe ayyan foran ghuma tha
Ek pal ko uski tewari charhi thi.......wahan mojud bohat se nojwan or mard usi ki janib ajeeb or maini khaiz nazron se daikh rahay thay
Wo sulag k reh gaya

"Lagta hai is musibat ko khud hi galay lagana paray ga" wo barbarata hua uski janib barha tha

"Hey ayyan.......kesay ho?" Us k wahan pohanchnay par wo foran us k galay lagi thi,ayyan ek pal ko garbara gaya,wo hamesha us se yunhi milti thi us k mana karnay k bawajud

"Mae thk tha.......ab kuch kuch kharab mehsus kr raha hun" usay khud se alag kartay huay wo bola tha

"Hooo.....really?" Us ne shararti andaz mae mu pe hath rakhtay huay pucha to ayyan usay ghoornay laga

"Mae janti thi..........tumharay dil mae meray pyar ka diya abhi bhi jal raha hai......" uski agli baat pe ayyan sir hilata reh gaya

"Oh really?" Us ne eyebrow sawalia andaz mae uthai thi

"Such hi to keh rahi hun..........tum mujh pe kitnay farayfta thay ye mae achay se janti hun.......bachay ne dil hara bhi to kahan.......dunia ki sab se haseen dosheeza pe.........hayeee......ayyan......I love you too" wo shararti andaz mae kehti hui phir se us k galay lagi thi.......ayyan ne foran usay pichay kiya

"Tumhara to dimagh chal gaya hai" wo ghussay se kehta agay barha to us ne foran uska hath tham k roka tha
Ayyan ne is harkat pe ghussay se uski janib rukh kiya
Logon ki mahzuz nazrain wo khud pe or us pe mehsus kar sakta tha
Yahan ye sab tamasha laga daikh kr sab hi unki janib mutawajo huay thay or wo zabt karta usay ghoor raha tha

"Ye...."

"Ye pakro or chalo" us k kuch kehnay se pehlay hi us ne ayyan ko apna suitcase or handcarry pakraya tha
Ayyan shishdar reh gaya.......wo dono cheezain is qadar bhari thin k wo girnay wala ho gaya tha
Khud wo baal sanawarti bari ada se agay barh gae
Ayyan pair patakhta us ka saman ghaseetta us k pichay aya tha

"Gari kahan hai tumhari?" Airport se bahir aa kar us ne ayyan ki janib rukh moray pucha tha jo khukhwar nazron se usay daikh raha tha

"Konsi gari han? Tumharay liye mae ne rickshaw mangwaya hai wo daikho" ayyan ne dant pistay samnay ek rickshaw ki taraf ishara kiya......wo sakit si usay hdaikhti reh gae

Meri ChahatWhere stories live. Discover now