Chapter 4

1.2K 93 45
                                    



Uth kar to aa gaye hain teri bazm se magar...!

Kuchh dil hi jaanta hai ke kis dil se aaye hai..

        💔FAIZ AHMED FAIZ💔

**************

"Assal mu alaikum "

Kisi aurat ne phone uthaya tha, aur jo alfaz saamnay se kahay gaye ,ye alfaz sarah ne Wahab aur kayi muslim friends ko ek doosray se kehte sunay thay , jub wo ek doosray se milte thay , lekin sarah ko is ka matlab sahi se nahi pata tha.

Sarah ko samajh nahi aa raha tha ke wo kya karay... Kya jawab de .

zaban thi jo bolne se inkaar kar rahi thi , lafz thay jo ek dum se mushkil lag rahay thay.

Ansuon ka ek aur silsila shuroo ho gaya tha, sarah ne apnay moon par haath rakh kar apni siskiyon ki awaz roknay ki koshish ki. aur aakhain bund karke ek lambi saans lenay ki koshish karnay lagi.

" koyi kuchh bolay ga bhi, goongay ho kya".

Wo aurat, urdu main pata nahi kya keh rahi thi par uska lehja bata raha tha ke wo sarah ki khamoshi se gussa ho rahi hai. Sarah ne kuchh kehna chaha to doosri taraf se ek doosri awaz sunayi di.

" is waqt kis ka phone hai ammi "

Uski awaz suntay hi sarah ke jism main ek sansani se phail gayi aur dil taze raftaar se dharakna shuroo ho gaya.

"Pata nahi beta .. Main namaz ke liye uthi to bell ki awaz suni aur phone uthaya, par ab doosri taraf se koi bol bhi nahi raha... Pata nahi kon pagal hai jo is waqt phone kar raha hai aur moon se kuchh nikaal bhi nahi raha "

" wrong number hoga ammi , aap rakhdain agar phir phone baja to main dekh loonga,  aap jaayian aap ki namaz ka waqt nikal jaaye ga" 

Sarah ko kuchh samajh nahi aa raha tha ke wo dono aapas main kya baat kar rahe thay par wahab ki awaz, uska narm lehja ,sarah ko uska naam pukaarnay par majboor kar raha tha, aur wo abhi kuchh kehnay hi wali thi ke phone bund ho gaya.

Sarah ne maayoos hoke phone ko table se phainkna chaha par uski dil usay minnatay kar rahi thi ke ek baar phir wo phone karay, ek baar phir Wahab ki awaz sunay.

akhir kaar apnay dil kay haathon majboor hokay usnay ek baar phir number  dial kiya, doosri taraf ring jaa rahi thi... aur wo dua karnay lagi ke is baar phone koi aur nahi par wahab uthaye... Aur us ki ye dua qabool ho gayi kyunke doosray hi pal wahab ki awaz uskay kaanon main goonj rahi thi.

" hello ..kis se baat karni hai aapko"

" W....Wahab......" Wo sirf uska naam hi keh saki kyunkay uskay baad wo bilaa zabt rone lag gayi.

Wahab ne bhi kuchh nahi kaha tha , uski taraf se bhi mukammal khamoshi thi . Sarah ki awaz na pehchanne ka to sawal hi nahi tha ,

is saari dair main sirf sarah ki ronay aur wahab ki sanson ki awaz goonj rahi thi.

Bil Aakhir wahab ne hi is khamoshi ko toda.

" Sarah.... Tum theek to ho... Tum is tarah ro kyun rahi ho "

sarah ko is tarah rotay sun kar wahab ke dil ko na jaanay kin andaishon ne aa ghaira aur wo Sarah ki khairiyat ke liye pareshan ho gaya , wo baichani se apnay balon main haath ghumanay laga. aur uper se sarah kuchh keh bhi nahi rahi.

Wafaye ishq. #Completed ✔️Where stories live. Discover now