Chapter 1

4.5K 125 27
                                    

Third person pov:

ghulam haider apne daur ke nehayat sakht mizaaj aur asoolon pe qaaim rehne wale shakhs the , un ka ek hi beta tha , Wahab ghulam haider jo apne baap ki jaaidaat ke akele waaris the , unhi ki khuahish pe wahab Oxford university main law ke liye England ayaa aur wahan us ki mulaqat kai logon se huwi jin main sarah bhi thi jo scholarship ship pe wahan taaleem pazir thi .wo apne group main mojood do aur ladkyon se bilkul juda thi jahan baaqi do larkian ,Ashly aur Anglina jo party wagera aur apni umar ke kai sahi aur ghalat kaamon main dilchaspi rakhtien wahan sarah ko sirf apni studies main intrust rehta.

wo wahab ke friends group main shamil bhi anglina ki wajah se thi kyunke anglina sarah ki childhood friend aur roommate thi . Aur is tarhan uski mulaqat Wahab se huwi thi.

Ek din sub friends ne exam khatam hone ki khushi main raat ko bahar jaane ka program banaya to sarah ne ye keh ke mana kar diya .

" come on sarah ek raat party se kuchh nahi hota aur aaj hi to exam khatam huwe hain aur tum aaj hi next course ko padhna shru kar do gi " anglina ne sarah ke haath se book lete huwe kaha tha us ne pakka irada kar liya tha ke wo aaj sarah ko leke hi jaaye gi , sarah chahe kitna chhupane
ki koshish kare par anglina usay bachpan se jaanti thi bachpan se sarah khamosh tabiat aur shy qisim ki ladki thi khaas tor par jub us ke parants ka car accident ho gaya jis main unki death ho gayi thi us waqt sarah sirf 9 saal ki thi 

, aur koi rishte daar na honay ki waja se anglina jo ke sarah ke father ke bohat achhe dost hone ki wajah se sarah ki custody khud leli aur tub se sarah un ke saath ek family member ki tarhaan reh rahi thi .

" jaanti ho wahan wahab bhi aa raha hai "

Angi ki is baat par sarah jo apne bed pe bethi notes sahi kar rahi thi Angi ki baat pe usnay ek dum se angi ki taraf dekha aur angi jise sarah ke isi reaction ki uneed thi wo sarah ko is nazar se muskuratay huwe dekh rahi thi ke jese keh rahi ho lo aa gayi machhli jaal main.

"Tumhain kya laga main itni stupid hoon jo tumhara crush us pakistani Boy pe na dekh sakoon ,
oh come on sarah tum mujh se to share kar sakti ho na ke tumhain koi pasand hai "

Jo baat wo khud nahi jaanti thi wo angi Se kesay share karti , wo sirf itna jaanti thi ke jub bhi wahab sarah se baat karna chahta to sarah ko ek ajeeb ahsaas aa ghairta jo usne pehle kabhi mehsoos nahi kia tha , wahab ki mojoodgi usay ek security ka ahsaas dilati thi jisay sarah kabhi chhorna nahi chhahti thi , ye sub kuchh tub shuroo huwa jub wo sub ek din mcdonalds par aye thay aur Angi aur john order denay gaye huway thay. aur  tub david ne sarah ki dressing pe comments karna shuroo kiya aur usay short dresses pehnne ka kaha taakay koi usay bhi notice karay.

david ki is baat par sarah ki ankhon main ansoo bhar aaye thay aur david ko koi jawab dene ke bajaye wo wahan se excuse karke uthne wali thi ke tab wahab jo ye sub khamoshi se dekh raha tha ke sarah khud apna defence karay par sarah ke is tarhan uthnay par usnay bina kuchh socay sarah ka haath pakar liya tha aur david ki taraf dekh kar usay ye kaha ke sarah ki modesty hi sarah ki aisi khubsuraty hai jo sarah ko baqi ladkiyon se juda rakhti hai , bilkul seep main mojood moti ki tarhan"

us din ke baad se sarah ne har baar wahab ko apnay paas paaya tha , jub bhi usay koi zaroorat hoti chahay phir wo assignment main help ho ya jub koi usay bully karta , 

lekin sarah ye bhi jaanti thi ke wahab ye sub kuchh jo kar raha tha sirf ek sympathy ya dosti kay  naam par kar raha tha par wahab ke liye wo ye sub kuchh jo mehsoos kar rahi thi sarah usay koi naam nahi dena chah rahi thi. par aaj Angi ka ye kehna ke sarah ka wahab pe crush hai Angi ke is baat ne sarah ko ye sochne par majboor kar diya tha ke itne mazboot ahsaasaat jo wo wahab ke liye mehsoos karti hai kya ye sirf ek crush hain? Ya us se kuchh barh kar.

Wafaye ishq. #Completed ✔️Where stories live. Discover now