Part 26

300 35 17
                                    

Akshara came to Abhimanyu, "Aise kya dekh rahe ho tum? Ye sab tumhare wajahse hi to hua hai."

He asked, "Matlab?"

She said, "Tum ek doctor ho Abhimanyu, bachhonke psychology ke bareme to thoda bahot pata hi hoga na tumhe? Aaj abhi Ruhi ke behavior ke wajah tum hi ho. Tumhara uske upar dhyan na dena, bar bar Abhir ke pas jana ye sab usse jyada hurt kar raha hai."

He said, "Aisa kuch nahi hai. Tum iss custody case se mera dhyan hatane ke liye ye sab keh rahi ho. Lekin aisa kuch bhi nahi hoga, me ye custody case jeet kar hi rahunga aur apne bete ko yahase lekar hi jaunga."

Akshara nodded her head and thought that it will be useless to explain him.

He said, "Me yaha Abhir aur Rooh ko le jane aaya hu. Darsal maa ko junior se milneka bahot man kar raha tha isliye me yaha usse lene aaya hu aur saath me Rooh ko bhi le jaunga."

Akshara called them. Abhinav came with them. She told him about Manjiri's wish. He agreed for that. Akshara told Abhimanyu to drop kids by 6 in the evening. He left with kids.

Next day, at court

The judge came and asked two lawyers to start the trial.

J: Mr. Gupta hope so iss bar aap valid points batayenge jo sirf iss custody case ke related hi honge.

BL: Yes your honor. Jo pichli bar hua uske liye me adalat se mafi mangta hu.

J: Ok, now start the trial

BL: Your honor, me Mr. Abhinav Sharma ko witness box me bulana chahta hu.

J: Permission granted

Abhinav stood in the witness box.

BL: Mr. Sharma aap adalat ko bata sakte hai ki aapko Abhir ka baap kyu banna pada?

Abhinav: Ji?

BL: Mera matlab hai 6 sal pehle aisa kya hua ke aapko Abhir ka baap banna pada?

Abhinav told them everything.

BL: Wah kitna nek kam kiya hai aapne! Lekin Mr. Sharma aapko nahi lagta aap Abhirse jhut bolkar uska bharosa tod rahe hai?

Abhinav: Ji nahi your honor. Me Abhir se koi bhi sachhai chupake nahi rakhna chahta hu, lekin abhi wo bahot chhota hai, ye bat use samajhme nahi aayegi aur aisa bhi ho sakta hai ki sach janne pe wo itna baukhla jaye ki koi ulta seedha kam karle, isliye maine usse abhi kuch nahi kaha par jab wo bada ho jayega, sab samjhneki akal usme aa jayegi tab me usse khud sab sach bataunga.

BL: (mockingly) Wah kitne nek vichar hai aapke, well done. Abhir se aap sachhayi chupana nahi chahte, wo abhi chhota hai isliye aap usse abhi kuch nahi batana chahte, sab manta hu par jab usse ye sari sachhai malum hogi to kya asar hoga uspe? Kya aapko iss bat ka pura yakeen hai? kya aap iss bat ki puri guarantee le sakte hai ke jab bada hoke usse pata chalega ke jisse wo aaj tak apna baap samajhte aa raha hai wo uska asli baap nahi hai, to tab wo baukhlakar koi galat kadam nahi uthayega?

Abhinav kept mum.

BL: Aapki chuppi ko mai ha hi man leta hu. Achha Mr. Sharma aap to ye jante honge na ki kisi aur ke bachhe ko apnane se pehle usse legally adopt karna padta hai, to kya aapne Abhir ko adopt kiya tha?

Abhinav: (hesitatingly) ji nahi...

BL: Kamal hai, aapki biwi khud lawyer ki padhayi kar rahi hai aur aapko yahi nahi pata?

Abhinav: Ji hume laga ke...

BL: (cutting his words) Aapko laga ke chalo bachhe ke asli pita to aayenge nahi usse claim karne to chalo thoda mahaan ban jate hai, kyu hai na?

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: May 14 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

AKSHNAV story Dil ka RishtaWhere stories live. Discover now