Part 7

721 47 18
                                    

At night

Akshara saw Abhir talking to someone on phone. "Kya kar rahe ho Abhir?" Abhir looked at her anxiously. She took the phone and watched name Docman. "Tum inse kya bat kar rahe ho?" Abhir said, "Kuch nahi mumma, aisehi." Akshara said, "Aisehi to nahi, SSB. Sach sach bata." Abhir told her everything. Akshara looked at him shockingly. "I am sorry mumma." Akshara got angry. "Sorry? Agar tum hume wakt par bata dete to aise hospital janeki naubat aati hi nahi Abhir. Agar tumhe kuch ho jata toh papa aur mumma kya karte? Hum kitne dar gaye the tumhe behosh dekh kar. Agar tum hume pehlehi bata dete to ye sab hota hi nahi Abhir." Abhir started crying. "Mumma I am sorry na. mujhe laga ki aap mujhe match nahi khelne doge isliye aapko kuch nahi bataya." At that time Abhinav came there, "Kya hua aara? Ro kyu raha hai?" Abhir told him everything. Abhinav knelt down and hugged him. Akshara looked at him worriedly. Abhinav assured her. "Aara, mumma galat nahi keh rahi hai na?" Abhir agreed, "Haa papa isliye maine docmanse baat kar li." Abhinav said,"Nikkeji, mana aapne bhaijise baat ki, par beta unhone bhi to tumhe nahi dekha tha to unko problem nahi samaj me aaya. Agar tum hume tabhi bata dete to itna sab hota hi nahi. Ab jo hogaya wo hogaya lekin aagese yaad rakhna, kuch bhi ho jaye hume sari bate batani hai. Thik hai?" Abhir agreed. "Ab jao aaram karo." He went. Abhinav came near Akshara. "Aap shant ho jayiye." She said, "Kaise shant ho jau? Yaha humara beta humse itni badi baat chupakar uss Abhimanyuse bat kar raha tha, aur aap mujhe shant rehneko keh rahe ho? Chalo maan liya Abhir bachha hai par Abhimanyu to hume bata sakta tha na, uski ye responsibility thi ki hume sab kuch bata de. Me abhi usko phone karti hu."  Abhinav tried to stop her but she didn't listen. She called Abhimanyu. Watching caller ID Abhimanyu got happy somewhere. He picked up the call:

AM: Akshu...

AK: It's Akshara, Dr. Birla

AM: I am sorry. Bolo na Akshara

AK: Aapko mere bete ke condition ke bareme pata tha na, aapne mujhe ya Abhinav ko batane ki jaroorat nahi samjhi?

AM: Maine kaha tha Juniorse tum donose bat karne ke liye, par usne mana kar diya.

AK: Usne kaha aur tumne sun liya? Wo to bachha hai par tum to ek matured insaan ho na, tum to hume bata sakte the.

AM: Mujhe laga ki...

AK: Kya laga haa? Agar mera beta apni problem as a doctor tumhe bata raha hai to ye tumhara kam hai na humse bat karna? Tum ye mat bhulo ki me aur Abhinav uske parents hai, tum nahi.

She realized what she said. She looked at Abhinav. Abhinav didn't say anything.

AM: I am sorry Akshara. Mujhe bata dena chahiye tha. Ab kaisa hai junior? Usse ab saans lene me taklif nahi ho rahi na?

Akshara didn't say anything. She just looking at Abhinav. He understood her condition and took the phone from her.

AN: Bhaiji ab Abhir thik hai. Wo darsal match khelte wakt wo behosh hogaya tha, tab doctor ne kaha ki dehyderation hua tha aur Iron deficiency ke wajahse usse saans lene me taklif ho rahi thi. Abhi to uski treatment chal rahi hai.

Akshara looked at him angrily. Abhinav blinked his eyes.

AM: Sharmaji, ab kaisa hai Junior? Kash maine aapko pehlehi bata diya hota to ye sab nahi hota. He felt guilty. Aap mujhe uske reports bhejwa sakte hai please? Me bhi dekh leta hu ek bar.

Akshara snatched the phone.

AK: Dekha hume na bataneka anjam?

AM: I am sorry Akshara. Me ek kam karta hu kal subah ki flight se waha aa jata hu. Junior ko bhi achha lagega.

AK: Nahi, uski koi jaroorat nahi hai. Abhi wo bilkul thik hai, yaha par uske mumma papa hai uske sath. Tumhe yaha aaneki koi jaroorat nahi hai. She said it and cut the call quickly.

Akshara looked at Abhinav angrily, "Aapko kya jaroorat thi usse sab bataneki?" Abhinav said, "Wo doctor hai na ji, aur wo Abhirse bahot attach hai, unko uski fikar lagi rehti." She said, "Abhir ki fikar karne ke liye aap hai yaha. Usko itnihi fikar hoti to hume pehlehi sab bata deta." Abhinav said, "Akshara jo hua so hua aur aap ye mat bhuliye ki unka khoon ka rishta hai." "Aur aapka Dil ka rishta hai Abhinav." Akshara said quickly. "Ye aap kyu nahi samajte Abhinav ki khoon ke rishtese kahi jyada dil ka rishta mayne rakhta hai. Abhir aapko papa kehta hai, wo aapse behad pyar karta hai, aap bhi usse behad pyar karte hai. In sab me Abhimanyu ki jagah kahi bhi nahi hai Abhinav." He said, "Par Akshara..." "Nahi Abhinav, ab mujhe iss bat par koi behes nahi karni please." Abhinav remained quiet. At that time Akshara's phone rang:

AK: Badi mumma, itni raat phone kiya, sab thik hai na?

BM: Akshu sab thik hai, maine tujhe ye batane ke liye call kiya hai ki agle hafte Aarohi – Abhimanyu ke shadi ka muhurat nikla hai. Hum kal tumhare ghar Kasauli aa rahe hai niyota leke.

AK: Kya?

BM: Haa, tu ab packing karna shuru kar de. Tu humare sath hi Udaipur aa jana.

AK: Badi mumma, me kaise aaungi?

BM: Aisa kyu puch rahi hai beta? Manish took the phone.

BP: Dekh Akshu, tum Aarohi ki behen ho, aur tum apni behen ki shadi me nahi aaogi?

AK: Bade papa aap to jante hi hai ki pichli bar kya hua tha, aiseme me waha nahi aa sakti.

BP: Dekh beta, jo hona tha wo ho gaya. Me ab kuch nahi sununga. Me humare sath tum teenoki tikite bhi book kar raha hu. Tum log humare sath hi yaha aa jana. Phir aakar shaadi ki taiyariyaan bhi to karmi hai aur tere bagar to kuch bhi nahi hoga, isliye ab tum bhi apna saman pack karna.

AK: Par bade papa... Mimi took the phone.

Mi: Akshu dekh humare Kunwar saa, Jamai saa iss shadi me nahi honge to humara man bhi nahi lagega isliye ab kuch mat bol aur yaha aaneki taiyariyaan shuru kar. Manish aur Swarna kal aa rahe hai Kasauli. Thik hai beta, ab hum rakhte hai phone. She cut the call.

Akshara looked at Abhinav tense fully. "Aarohi aur Abhimanyu ki shadi the hui hai. Agle hafte me muhurat nikla hai. Isliye kal bade papa aur badi mumma yaha niyota leke aanewale hai aur wo keh rahe the ki wo humari teenoki tickets bhi kar rahe hai unkesath jane ki." She said all things in one go and took long breath. Abhinav said," Lekin Akshara, Abhir ki treatment yaha chal rahi hai aur mujhe bhi abhi abhi nayi naukri lagi hai, aise me hum waha kaise jayenge?" Akshara thought something, "Nahi Abhinav, hum nahi jayenge, waise bhi mujhe waha dekhkar Manjiri maa khush nahi hongi, khamkha wo tamasha karengi. Me nahi chahti ki Aaru ki shadi me ab meri wajahse kuch bhi apshagun ho. Hum nahi jayenge waha." He said, "Par Akshara wo aapki behen hai aur aap hi nahi jayengi to achha nahi lagega ji." She said, "Naa lage, par me nahi jaungi Abhinav." Abhinav didn't say anything. They went in the room to sleep.

AKSHNAV story Dil ka RishtaWhere stories live. Discover now