Offspring

6 2 0
                                    


The stories may come true.

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Hi. Myself Abhishek. 17 years old. Took science stream, because my father wants me to crack the NEET.

I did take drop. My father said it will be good.

Bachpan se hi mujhe kabhi science, doctor, NEET, in sabh mai koi interest jhalka nahi.... Kabhi cricketer ya pilot banne ka socha tha aur mera passion New York best selling books! .... Pr bade hote hote samjho reality check mil jata hai. School mai 9th class mai sapne sapne hi hote hai bolna sikha diya jata hai. Especially ham middle, general class walo ko.

Rahul, mera classmate, usse archeologist bann na tha pr asse kese? Engineering mai hi to Jeevan basta hai. Kuch aur lo ge to ghar kese chlao ge? Jao Maths lo. Arts sirf padhai mai kamzor bacche lete. Inka koi furture nahi hota.

Mujhe bhi engineering kr ne kehete pr ma baap doctor hain

To bas. Meri kundali likhi hui aai thi.

Padhai mai kabhi itna accha nahi tha pr literature mai full na aaye to ro deta tha.

Pr 8th ke bad zindagi apke hato mai thodi reheti... haina? 9th se hi Presure aane laga Doctor banne ka. Basic standard maths chunte hue bhi bas doctor banne ke liye kya thik ho ga wo sunnai deta hai. Bahar janna to jese band hi ho gaya. Dosto ko akhri bar pata nahi kab dekha tha.

Papa ne to mujhe bhj diya kota taki padh likh kr Ek bar mai kr lu pass ye exam.pr Jab pahucha to 1 lash ja rahi thi kabristan.

Pucha to bataya teesra NEET attempt jab purra na hopaya

Baapu ne ghar se nikalne ki dhamki di kiyoki paisa to ja hi raha tha na...

Mummy ne rok ne ki koshish ki to unhe bohot marra... Behen message kr ke bolli ki hausla matt har na bhaiya... sabh thik ho jae ga... aur aane walle attempt mai apna purra laga dalna. Pr kab tak jhelta ye sabh wo?

Exam se pehele Darr darinde mai badal gaya aur

Assuo mai jab wo tha tab use daboch liya

Ladke rotten nahi kehete to the sabh pr jab wo lash ja rahi thi to andr se ro rahe the sabh

Aasu nahi tapke pr zinda lasho ki trha dekhte rehe gaya ek ek jo khada tha waha

Shabd aane ke pehele hi ruk gaya

"Kafi aam batt ho gai hai wese bhi abh wo, Kota mai aae hai to ye sabh dekhte hi raho ge"- kaha meri peche khadi awaz ne

Mud kr dekha to khadi thi ek ladki jo fir bol padi

"Myself anushka. Naye aae ho, isliye dukh aur khof dikh raha hai. Pr harr sal agr exam ke pehele suicide na ho to NEET hi kya"

Thodi hai rani hui kiyoki jo News mai dekha tha use asliyat mai hota dekha.

"Kota sunnte hi padhai ka bad mai aur suicide ka phele khayal aata hai fir balatkaro ka aur fir -huff-... drugs... pr himat thodi harr sakte hai do din bad bapis padhai"
Mai uski batto ko sunna raha... and that's how I met my first friend in kota. Sounds a little disturbing. 

Kota sunset (short story)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें