Sid (helplessly): Par Dada, DNA Test karvaneke liye hume Veer ke blood samples lagenge. And as per I know him, he will never give them to us as vo humpe trust hi nahi karta. As as per to him, we are no one to him. Ye kaam sirf Kartik Bhai ya Mahir hi kar sakte hai. Isiliye we need to tell them the truth. We can't keep tham in dark and tell Veer the truth.

Sujay: I know baccha. But jaruri nahi ki DNA Test ke liye blood samples hi ho. Anything having the DNA of that person can work. Like Veer ka nail, baal ya saliva will also do. 

Sid: Sachme?

Sujay: Yes. And kyuki ab tumhare aur Veer ke beech acche relations ban rahe hai so try to be more friendly with him. Try to discover the real him. Try to befriend him and make yourself comfortable around him. Usse dosti karo and try to mend your mistakes. Use bharosa dilao that you won't hurt him or his brothers.

Sid: Yes Bhai. Par bhai, jab use sach pata chal jayega to vo humare saath yaha aayega na?

Sid's voice showed his fear. Fear of losing his brother again. Sujay smiled sadly.

Sujay: Ye chote hi decide karega.

Sid (shocked): What do you mean by 'ye chote hi decide karega'? Hum uske sacche bhai hai. Hume hak hai uske saath rehne ka. He has to come to us. After all we are his real brothers.

Sujay held Sid's hands in his own.

Sujay: Aisa nahi hota hai, Ashu. Tumhe pata hai na ki Shri Krishna ko Devaki Maa ne janm diya tha par phir bhi duniya unhe Yashodanandan kehke pukarti hai na ki Devkinandan? Aaj bhi duniya unhe Vasudevlal nahi balki Nandalal ke naam se sambodhti hai. Aisa kyu bhala?

Sid: Kyuki bhale hi janm Devki maa aur Vasudevji ne diya ho, par Bhagwan Shri Krishna ka sangopan to Maa Yashoda aur Nand Baba ne kiya tha. Unhe paal poske baada unhi ne kiya tha. Dusht Kansa se unhe gupit rakhne ka karya bhi unhine kiya tha. Itnahi nahi balki ye jante hue bhi ki Kanha unka beta nahi hai, phirbhi unhone use khudke bete jitna pyaar kiya. Unhe bada kiya. Vo saare kartavye, jo ki har ek maat pita ke apne bacche ke prati hote hai, vo Yashoda Maa aur Nand Baba ne paar pade jo ki Devki Maa aur Vasudev ji ko paar padne the. Par iska chote se kya lena?

Sujay: Vahi to mai tumhe samjhana chahta hu. Bhagwan Shri Krishna ke sage maa-baap the Devki aur Vasudev jaise ki Abhay ke sage bhai hum hai. Aur Yashoda Maa aur Nand Baba ne Shri Krishna ko paal poske bada kiya jaise ki Kartik aur Mahir ne Veer ko. Ant mai jab Bhagwan Shri Krishna ne dusht Kansa ka vadh kiya aur apne asli maa-baap ko uski kaid se aazad kiya, tab Vasudev Nand Baba se mile. Dono ke man me ek hi sawal tha ki Krishna Bhagwan kiske saath rahenge. Vasudev ji ne Nand Baba se kya kaha pata hai? Unhone kaha ki 'Nand, Krishna bhale hi mera beta ho, par use pal poske bada tumne kiya hai. Mai aur Devki bhale hi uske janmdate hai par uska sangopan tumne aur Yashoda Bhabhi ne kiya hai. Isliye humse jyada hak tumhara hai uspe. Isliye Krishna tumhare saath Vrindawan chala jayega.' Vo man ke itne bade the aur apne kartavye ko acchi tarah se jante the ki itne saal baad apne bete ko paane ke baad bhi vo use Nand Baba ko sopne ko tayar the. Par ispe Nand Baba ne kaha ki, 'Nahi. Itne saal baad tumhe tumhara putra mila hai, mai bhala use tumse kaise dur kar sakta hu? Tum aur Devki Bhabhi Kanha ke janmdate ho isliye uspe sabse pehle aapka hak aata hai kyuki use aap dono ne janm diya hai. Baaki Kanha kaha jana chahega aur kiske saath rahega ye uska faisla hoga.' Undono ne ye faisla Bhagwan Shri Krishna pe sop diya. Hume bhi vaisa hi karna chahiye. Hume bhi ye faisla Abhay pe chod dena chahiye. Vo jiske saath rehne ka faisla lega vo hum khushi khushi manenge. Vo 22 saal Kartik aur Mahir ko bhai samajh raha hai. Aise achanak se use pata chalega ki hum uske bhai hai to vo humpe vishwas nahi karega. Aur karbhi le to unke prati ka pyaar use chahke bhi humari taraf aane nahi dega. So hume apne aapko prepare kar lena chahiye. I hope tumhe meri baat samajh aarahi hai, Ashu? 

𝐁𝐡𝐚𝐢Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang