Haseena leaves Kausambhi

Start from the beginning
                                    

"Nahi batayenge...batao kya baat hain."

"Main kisi aur se Prem karti hoon bhabhi aur ussi k saath apna samagra jeevan vyatit karna chahti hoon."Anandi said slightly hesitating.

"Kon hain woh?"Haseena asked calmly.

"Aap janti hain usse.."Anandi said and at the same time there was a knock on the door and Anandi got visibily worried.

"Baitho yahi."Haseena said plainly and went to open the door.As she opened the door both she and that person got shocked to see each other.

"Bhabhi?!"

"Andar aao Anshuman."Haseena said and let him enter the room and she locked the door.

Anshuman and Anandi stood infront of Haseena bowing their heads.

"Kabse chal raha hain yeh sab?"Haseena asked sternly.

"Ek..ek varsh se bhabhi."Anandi said fumbling.

"Anandi tumhara vivah hua hain ek mahina pahele aur abb tak yeh baat chhupa rahi thi tum.Kya karne ka socha tha tum dono ne?"Haseena asked angrily.

"Bhabhi humne bhagya k bharose sab chhod diya tha...humdono ko pata hain ki humara Milan asambhav hain."Anshuman said controlling his tears.

"Accha...koushish kiye Bina hi haar maan li aur bhagya k bharose tumne chhoda hoga Anshuman par Anandi ne nahi... aatmahatya karne Jaarahi thi yeh...yadi hum samay par iss kaksh mein naa pohunchte toh abbtak iss mahel mein maatam manana shuru ho jata."Haseena said glaring at Anandi.

"Anandi,bhabhi yeh kya kaherahi hain?"Anshuman asked stunned.

"Main tumhare sivah kisi ko apna var nahi Maan sakti Anshuman."Anandi said crying.

"Anshuman tum toh Anubhav k param Mitra ho na...phir usse baat kyun nahi ki?"

"Bhabhi...bhalei main Anubhav ka param Mitra hoon,bhai jaise hain hum dono...parantu main Rajkumar nahi hoon,mere pita Mantri hain iss Rajya k aur Anandi Rajkumari hain,Anubhav kabhi sahemat nhi hoga.

"Bhabhi aap mere dono bhaiyon mein se kisi ko kuch mat batana woh log kabhi mere aur Anshuman k vivah k liye haan nahi karenge..."Anandi pleaded.

"Thik hain...tum dono chinta mat karo,hum kal yeh vivah nahi hone denge,vachan dete hain...abhi Anshuman tum apne kaksh mein wapas jao,kisine dekh liya tumhe yaha toh anarth hojayega."Haseena said worriedly.
"Aur Anandi tum bhi sojao aur kuch Aisa waisa karne ka nahi sochna...humpar bharosa rakhna."

"Par Bhabhi kal hi vivah hain...aap kya karengi?"Anshuman asked.

"Agar hum dono yaha se bhaag Jaye toh?"Anandi asked.

"Nahi Anandi...apne pita k samman ka khyal karo.Bhaagne ki avashyakta nahi hain...hum karte hain kuch."Haseena said and left the room not before warning Anshuman to leave early.

Anubhav's sleep broke due to thirst when he found the door of his room ajar and his wife wasn't anywhere to be seen.
He quickly went out of the room to look for her when she saw her coming from the side.

Haseena was startled seeing Anubhav  standing infront of her folding his hands on his chest.

"Tum yaha?"Haseena asked nervously.

ANUSEENA- A Marriage Of Convenience✓ Where stories live. Discover now