"Bhaiya, aise logon ko farak nahi padta hai. Ghar mein chaar wedding planners aaye, usne apna favourite chun liya."

  "Shut up, Veer. Tune apna dimaag wapas pack kar liya na."

  "Bela Di ka time hi galat chal raha hai. Pehle wo Bhaiya se mili, uske baad us aadmi ki nazar unpar padi aur uska nishaana ban gayi."

  "Shut up, Veer," is baar Kunal kehta hai.

  "Kunal, tujhe nahi lagta you owe someone an apology?"

  "Yeah, I need to talk to Aarohi. In sab mein bechari-"

  "Bela, Kunal! Tujhe usse maafi maangni chahiye. Gusse mein tune uski bohot bezzati ki aur usko company se bhi nikalwa diya. Ek to waise hi wo pareshaan rehti hai, agle mahine uski shaadi hai aur uske Papa ki tabiyat bhi achha nahi hai."

  "To ismein galti uski hai. She should have dropped it. Maine usse kayi baar bola ki wo hamare family matter mein apni taang na adaye, lekin usne meri baat nahi maani. She brought it upon herself."

  "Do you hear yourself, Kunal? Kaisi baat kar raha hai?"

  "Maine usse bola tha ki wo hamare ghar ke mamlon mein dakhal na de. Did she listen?"

  "But she thought Aarohi ki life ka sawal hai."

  "Ham uski family hain, Bela nahi. Hamse zyada Aarohi ki kushi aur safety ki chinta aur kisi ko nahi ho sakta hai. Hamne blindly Aarohi ka rishta nahi tay kar diya. Ham log Randhawas ko saalon se jaante hain, family friends hain, lekin phir bhi hamne yeh dekhne ke baad hi dono ke rishtey ko haan kiya ki Adhij hamari Aarohi ke liye theek hai ya nahi, wo use khush rakh payega ya nahi. Lekin Bela ne ham sab ko bewakoof samajha hai. Use lagta hai hamne aise hi rishta tay kar diya."

  "Bela Di ko laga she was helping Aarohi. It was all a misunderstanding, Bhaiya."

  "Kisne kaha usse ki wo hamare pariwaar ke logon ke liye faisla le sakti hai? Yeh ghar ka mamla hai, wo hoti kaun hai beech mein bolne wali? Kyunki ham usse upar hain, ham bade sheher se hain, abroad jaake aaye hain, use lagta hai ham sab bigde log hain jinhe apne ghar walon ki koi chinta nahi hai. Ham shallow nahi hain, we're just different from her. Hamare thoughts, opinions and lifestyle alag hain, lekin uska yeh matlab nahi hai ki ham apne family se kam pyaar karte hain and she's the only one who loves her family."

  "Yahi baat aapko bhi samajhna hai, Bhaiya." Aarohi Kunal ke kamre ke darwaze pe khadi kehti hai.

  "Aarohi? Tu yahan kya kar rahi hai?"

  "Bhai, aap bhi to Bela Di ko judge karte aaye hain? Unke lifestyle, unke education, unke class ke wajah se aapne unhe is ghar mein hard time diya hai."

  "Pata nahi tum sab ko kya ho gaya hai. Ek wedding planner hi to hai. It's fine agar wo chali gayi. We'll hire another one."

  "Bhaiya, baat wedding planner ka nahi hai. You wronged her, humiliated her. Wo insaan hai, unke paas bhi feelings hain, self- respect hai. Jo bhi baat tha, mujhe nahi pata kyunki koi mujhe batana nahi chaahta, lekin aapki galat fehmi ki wajah se unhe kitna tolerate karna pada. Unhone retaliate nahi kiya, chup- chaap sab sun liya. Bhaiya, aapko Bela Di ko wapas laana hoga. Agar aap unhe wapas nahi laye to kal meri shaadi to ho jayegi, lekin main utni khush nahi hoongi jitna unke hone se khush hoongi."

  "Aarohi, tu apni shaadi Bela ke wajah se kyun kharaab kar rahi hai?"

  "Kyunki she's also my friend, nahi more than that. It felt like meri ek badi behen hai. Aur unhone mujhe apni behen se kam nahi maana. We had so much fun together. Jab wo ghar par ruki thi, main unke kamre mein jaake unke aur Shaivi ke saath sleepover karti thi. Ham saari raat baatein karte the. Make up talks, movies and shows, aap log, restaurants, bachpan, ham sab ke baare mein baat karte the. Unki wajah se mujhe pre event jitters nahi hote the. Saare shaadi ke rituals mein wo mere saath thi. Ab last and important part mein wo nahi hain.

Uljhe DorWhere stories live. Discover now