30. Main Aa Raha Hoon!

32 2 0
                                    

  Bela bhari man se rasmon ke liye tayyar hoti hai. Sonia, jo ab Bela ki saas hai, uske liye rasmon mein pehenne ke liye kapde layi thi. Bela un kapdon ko pehle lena nahi chaahti thi lekin Kunal ke kehne par usne kapde le liya.

  Dadi ke aadesh ke anusaar, Bela aur Kunal ko ek hi kamra share karna hai, jismein wo tayyar ho rahi hai aur Kunal pichhle do ghanto se gayab hai.

  Yeh to gayab ho gaye. Mujhe laga hi kyun ki yeh yahan rahenge mera saath dene ke liye. Gussa aur nafrat to inke naak par chadha rehta hai na. Uske aage inhe dikhta hi kya hai. Apne alawa kisi aur ka soche to na. Lekin nahi, mujhe pehle jabardasti ghar le aaye aur ab chhod diye akele. Aur mujhe us khadoos, akdu ka saath chahiye hi kyun? Bela, dimaag satiya gaya hai kya? Tum akeli mehsoos kar rahi ho iska matlab yeh nahi ki tum Kunal ka saath chaho. Wo aadmi kabhi tumhara saath nahi dega, tumhare taraf kabhi nahi hoga. Jitna jaldi samajh jao utna behtar hai.

  Dusri taraf, Kunal apne aur Bela ke Papa ke beech ka conversation bhula nahi pa raha tha. Wo jaanta hai ki Bela ke papa kabhi nahi chaahte the Bela ki shaadi uske saath ho. Jitna Bela uske liye galat hai, wo bhi uske liye utna hi galat hai. Dono alag duniya se hain.

  Wo jaanta tha ki Bela ke Papa ki tabiyat kharab hai, lekin use is baat ka andaaza nahi tha ki wo marne wale hain. Bela ke Papa ne jo usse kaha tha, use wo baat bohot jor se lag gayi thi. Wo family ka importance jaanta hai. Bachpan se wo Anshuman ko bina apne baap ke aur Maan ko bina Maa ke bade hote hue dekha hai. Duniya mein chaahe jitne log hamare liye ho, lekin Maa- Baap ke hone ka direct asar padta hai insaan par. Bela ki Maa uske bachpan mein hi chhod kar chali gayi thi, aur ab uske Papa bhi marne wale hain. Usne personally koi parent nahi khoya hai, is liye wo jaan nahi payega Bela parr kya beetegi, lekin wo jaanta hai use bohot mushkil hone wali hai.

  Bela ke saath shaadi nibhane ke reasons badhte hi ja rahe hain. Uske Papa ke marne ke baad main use akela kaise chhod sakta hoon? Pata nahi uska wo fiancé, Rishi, use help karega bhi ki nahi. After all, uski shaadi mujhse ho gayi hai aur kisi bhi ladke ko achha nahi lagega agar uski fiancée kisi aur ke saath shaadi kar le. Main bhi to Maan ke saath associate nahi karna chaahta hoon, though mere reasons alag hain.

  Anshuman apne bhai ko pool side mein join karta hai jahan dono saath mein baithte hain. "If you don't mind, main ek advice dena chaahta hoon tumhe," Kunal Anshuman se kehta hai. "Dadi divorce accept nahi karengi, she won't let it happen. So, give her a chance. Maybe things will work out."

  "Aur tu Bela Bhabhi ko apni wife accept karega?" Anshuman Kunal ko challenge karta hai.

  "Yes." Kunal kehta hai. Anshuman shock ho jaata hai.

  "Tu sach mein Bela Bhabhi ko accept karega? Tune aaj subah hi unhe ghar se nikaal diya tha."

  "Main use wapas bhi le aaya. And what's with 'Bhabhi'?"

  "Bade bhai ki wife ko Bhabhi kehte hain, aur Bela Bhabhi teri, mere bade bhai ki wife hai. Main unhe yahi bulaunga. Tu itni aasani se unhe accept kar raha hai. Why?"

  "Dadi chaahti hai main Bela ko apni wife ka status doon. You know Dadi ki baat koi nahi taalta hai, main bhi nahi. And I have my reasons too."

  "Aise kya reasons hain jiski wajah se tu jis ladki ko apna jaani dushman maanta tha aaj use apni wife banane ko tayyar hai?"

  "What banana, she already is my wife. Banana to aise keh raha hai jaise maine apni choice se usse shaadi kiya. This was not in my plan. Maine kabhi nahi socha tha aisa hoga, not even as a possibility. Lekin, ab yeh ho hi chuka hai to maine apna plan (life plan) badal diya. Make best of the situation." Kunal ek deep breath leta hai. "Her father's dying, man. She's got no one. Shayad uska ex fiancé bhi uska saath na dein. Uske dad ne last wish maangi hai mujhse, ki main use support karoon. I get it out of my head, Ansh."

The Mehrotras book 1: Uljhe DorWhere stories live. Discover now