A Letter that Reunited Us (Part 1)

1K 62 4
                                    

Dearest Kukki....

Jab tumhe ye letter milega tab tum jaa chuki hogi mujhse boht dur par don't worry tum kabhi mere dil se dur nhi jaogi. Humesha mere pass rahogi mere dil mein aur thik vaise hi mai bhi humesha tumhare dil mein rahungi. Jab tumhe pehli baar dekha tha tabhi se tumse ek connection sa ho gya tha. Tab pata nhi tha ki tumse itna gehra rishta jud jayega ek aisa rishta jo mere liye mere har rishte se upar ho jayega... ek aisa rishta jisse duniya ki koi takat nhi tod sakti... maa-beti ka rishta. Kehene ko to bas 3 mahine hue hain hume iss rishte mein bandhe huye par inn 3 mahino me tum meri duniya kab ban gai pata hi nhi chala.

Aaj tum jaa rhi ho apne papa ke sath. I know tum apne papa se naraz ho kyunki vo tumhe mujhse dur le jaa rahe hain par beta please papa se naraz mat hona. Unhe boht hurt hoga agar aap unse upset rahoge to. Aapke papa ki duniya aapse shuru hokar aap par hi khtam ho jati hai to agar aap hi unse naraz ho jaoge to unki duniya to suni ho jayegi na. Tumhare papa tumse boht pyar karte hain. Itna pyar ki unhone mujhse shadi bhi tumhare liye kari thi taki tumhe ek mumma mil sake. Tumhe pata hai mai bhi tumse dur Jana nhi chahti kabhi bhi nhi na tumse aur na hi tumhare papa se. Your father... pata hi nhi chala kab vo meri life ke worst insan se meri life ke most important man ban gaye. Pata hi nhi chala kab unki smile, unki batein, unka har ek gesture mujhe effect karne laga. Pata hi nhi chala ki kab mujhe unse pyar ho gya. Pyar karna mai janti thi lekin pyar nibhana mujhe tumhare papa ne sikhaya. And I know he loves me too. Unhone kabhi nahi kaha but mujhe samajh me aa gya. Unke actions unki aankhon ne sab keh diya.

Ab aap soch rahe hoge ki jab mumma papa se pyar karti hain papa mumma se pyar karte hain to dono alag kyun ho rahe hain ? Because your father is guilty. He thinks he destroyed my life by marrying me aur ye guilt unhe andar hi andar khaye jaa raha hai... itna ki agar mai abhi jakar unse apni feelings confess kar dun na tab bhi unka guilt kam nhi hoga. Aapke papa ko humesha yahi lagta rahega ki I never got a choice in the first place aur agar mujhe vo choice milti to mai unhe kabhi choose nhi karti which is somewhere right. We started on a sour note aur aage ki journey agar sweet ho bhi na to vo sourness khi na khi rahegi... vo guilt unme humesha kahi na kahi rahega. Isliye hume ye rishta todna hoga taki aapke papa guilt free ho sake. Ek baar ye guilt khtam ho jayega na tab unhe sari cheezen sahi se samjh aane lagengi. And I have full trust that your father will find me back. He will again let me in his life and this time with full consent from both of us. Par kab ye to mujhe bhi nhi pata beta. Thoda time to lagega aur isliye tab tak aapko mumma ki absence me apna aur papa dono ka pura khyal rakhna hoga.

I know meri Kukki good girl hai isliye vo apna pura dhyan rakhegi. Time se soyegi time se uthegi raat ko sone se pehle brush karegi aur doodh pine aur vegetables khane aur medicines lene me koi tantrums nhi dikhayegi. Par baby aapko to pata hai na aapke papa apna bilkul bhi dhyan nhi rakhte. Isliye aap mumma ka chota sa kaam karoge ? Aap na roz breakfast aur dinner papa ke sath karne ki zidd karna. Isse vo kbhi bina breakfast kiye office nhi jaa payenge aur raat ko bhi time se ghar ayenge taki aapke sath dinner kar sake. Aap na roz papa ke sath hi sona unhe tightly hug karke isse vo der raat tak study me kaam bhi nhi kar payenge aur ek dusre ko cuddle karke aap dono ko achhi si neend ayegi. I know aapko meri boht yaad ayegi mujhe bhi boht yaad ayegi aapki but hume ye karna hoga baby not for us but for your father.

You know aapke papa chahte hain ki mai unhe bhulakar aapke Anurag uncle ke sath move on kar jaun but what he doesn't knows is ki life me reverse ka koi option nhi hota. Mai Anurag ko bhulakar apni life mein boht aage aa chuki hun aur ab mai kbhi vapas jana nhi chahti. Mai Miss Prerna Sharma thi, phir Mrs Prerna Rishabh Bajaj bani aur ab phir se Miss Prerna Sharma banne jaa rahi hu. But ab ya to mai phir se Mrs Prerna Rishabh Bajaj banugi ya phir humesha ke liye Miss Prerna Sharma bankar reh jaungi. Par inn do naam ke alawa mai koi teesra naam khud se nhi judne dungi kbhi nhi.

Apna khyal rakhna beta aur please kabhi rona mat. Aap roge to mumma aur papa dono ko bahut bura lagega. I love you Kukki as much as I love your father. I am no longer going to be your father's wife but I'll always be your mother.

Lot's of love and blessings...

Your Prerna Maa

Kukki folded the letter and kept it back in the bed side drawer. It had been 4 months since she had been in Mumbai with her father away from her Prerna maa. She missed her everyday, every second, every moment and to feel her presence she used to read her letter which she had already read countless times but never told her father about it and Rishabh too never asked anything about it after all they both had promised her regarding that.

Flashback...

Kukki and Rishabh were leaving Basu Badi after Rishabh served Prerna the divorce deeds. They were in the hall, ready to leave when Prerna came down, her face looked pale and eyes were red and swollen. Prerna looked at her daughter who looked equally upset. She bent down to her level.

Prerna- Kukki baby... ye aapke liye letter hai. Isse na aap yaha se jane ke baad padhna. Aur iss letter me jo bhi likha hai na vo sirf aapke aur mere beech ki baat hai to aap isme kya likha hai vo kisi ko nhi bataoge... apne papa ko bhi nhi.

Kukki - Humara top secret ?

Prerna- Hn humara top secret.

Kukki - Okay, mai kisi ko bhi iss letter me kya hai nhi bataungi.

Prerna- Good. Mr Bajaj... (without looking at him) Aap bhi promise kijiye ki aap ye letter kbhi nhi padhenge.

Rishabh - I promise, mai ye letter tab tak nhi padhunga jab tak aap nhi chahengi.

Prerna - Kukki... apna khyal rakhna hn baby aur achhe se happy happy rehna.

They both hugged eachother as tears brimmed in their eyes but Prerna stopped them from falling. Rishabh couldn't look at both of them as he felt a pain in his chest for separating the mother daughter duo. So he gestured maasi and Tanvi to take Kukki out and sit in the car. Masi took Kukki in her arms and told Prerna to take care. The trio then went out.

Anurag - Mr Bajaj kuch din ruk jaiye. Atleast kal tak ruk jaiye. Maine socha hai ki kal meri aur Prerna ki engagement ceremony rakhenge. Aap vo attend karenge to hume achha lagega.

Rishabh - Thank you so much Mr Basu par mai ruk nhi paunga. Congratulations for your engagement in advance aur ek baat kehna chahunga aapse infact aap sabse.

Anurag - Ji kahiye na.

Rishabh - Prerna ka khayal rakhiyega.

As he said that Prerna looked up at him for the first time in this while. His gaze too shifted to her and after a few seconds he looked back at Anurag as he felt everyone's eyes on them and continued.

Rishabh - I know aap Prerna se boht pyar karte hain par pyar hi sab kuch nhi hota. Agar aapne unhe vo pyar, vo respect, vo care aur vo trust nhi diya jo vo deserve karti hain to aapka aur mera samna ek bar fir hoga aur aisa hua to aapko barbaad karne se mujhe koi rok nhi payega.

Anurag looked at him and he saw something in his eyes. Not just him but every Basu family member could feel that. There was something other than care and concern in his eyes for Prerna which made Anurag uneasy but he shrugged the feeling. He then looked at Prerna who kept on looking at Rishabh.

Nivedita - Don't worry... hum Prerna ka pura dhyan rakhenge.

Rishabh - Hmm. Chalta hu.... apna khyal rakhiyega (he said looking down but everyone could sense he was saying it to Prerna)

Flashback ends...

PreRish : Short storiesWhere stories live. Discover now